"Chupi Mohabbat" teen jodon ki kahani hai, jismein har ek apni mohabbat mein alag mushkilein jhel raha hai. Pehli kahani mein ek aadmi hai jo sabse durr ho gaya hai lekin ek aurat se chupke mohabbat karta hai. Wo uska anjaan saya ban jata hai, usse phool aur khat bhejta hai magar apni shanakht chupata hai. Apni sachi mohabbat ke bawajood, wo apni pehchaan zaahir karne mein mushkilat mehsoos karta hai, iss tarah se wo uske pyaar ki gehrayi se be'khabar rehti hai. Issi dauran, ek dilchasp aur khoobsurat videshi uss ladki se pehli nazar me pyaar kar baithta hai jiski shaksiyat uss parchayi jaise aashiq se bilkul mukhtalif hai. Ye bahot hi khulle tareeqe se apne pyaar ka izhaar karta hai, lekin ye jaane baghair ke uss ladki ke dil mein kisi aur ki yaadein ab bhi basti hain jo uski pehli aur sacchi chupi mohabbat hai. Dusri kahani mein, ek rahem dil maalik apni shokh assistant se apne jazbat chhupata hai. Woh dusron se mazak aur flirt karna pasand karti hai lekin asal rishte se darti hai. Dono ke darmiyan mazboot rishta hone ke bawajood, wo apne aap se usse durr rakhti hai kyunki usse rishte banane se darr lagta hai. Wo usse beintehaa mohabbat karta hai aur ye baat sacchi hai jaante hue bhi wo usse durr bhaagti rehti hai. Teesri kahani ek naujawan dulhan ki hai jo apne shohar se unki shaadi se pehle se hi pyaar karti thi, magar uska shohar iss rishte ko bojh samajhta hai kyunki wo zabardasti shadi ke bandhan mein baandh diya gaya tha. Wo usse mohabbat karti hai lekin wo apne jazbaat se durr bhaagta hai. Jab wo uske office me internship ke liye aati hai, toh unke rishte ki pechidgiyan aur bhi samne aati hain, aur wo apni beintehaa mohabbat se iss faasle ko kam karne ki koshish karti hai. "Chupi Mohabbat" junoon, khwahishat, aur mohabbat ki mushkilein samjhati hai. Har joda apne darr aur raaz ka samna karta hai, aakhir mein ye faisla karte hue ke kya unka pyaar inn rukawaton ko paar karne ke liye kaafi hai ya inke gehre raaz inhein alag hi rakhenge.