I feel like this story might be getting boring for you all, which is why no one seems to be liking it. I'm considering whether I should continue or stop writing this book.
Please share your thoughts as they give me the motivation to keep writing! I just want to hear your views! I don't set any targets before uploading - I just want to know if you think it's a good book or not. At least leave a comment, even if you're not interested in voting... Please don't be a silent reader!
Also, add me on Snapchat: happyfairy7 to become my friend.
Follow me on Instagram: happyfairy7_ and engage with my reels!
Thank you, and happy reading!
♛┈⛧┈┈•༶♩✧♪●♩○♬☆♪●♩○♬☆༶•┈┈⛧┈♛
"Bhai nikah ke liye maan gaye." Safoora nicche bhaag kar aati hui boli.
"Haan mai jaanta hoon." Ishtiyaq ne kaha.
"Kaise? Mujhe toh unhone abhi bataya hai." Safoora ko samajh nahi aaya.
"Hamari baat hui thi kuch der pehle." Ishtiyaq ki baat pr Safoora usse hairath se dekhne lagi.
Kuch der pehle:
"Kya faisla kiya hai tumne?" Ishtiyaq ne sawaal kiya.
"Mera faisla wahi hai jo tha. Mujhe kisi se shaadi nahi karni." Ishaq ne sakhti se jawab diya.
"Theek hai phir mai dusra ladka dekh lunga Mahnoor ke liye aur dono ka nikah ek saath hojayega." Ishtiyaq muskura kar bola.
"Kya matlab?" Ishaq ne sawaal kiya.
"Matlab mera ek dost hai jo Safoora ki shaadi apne bete se karna chahta hai toh mai Safoora aur Mahnoor ki shaadi karwa dunga." Ishtiyaq ne araam se apni baat batayi.
"Dad!!" Ishaq gusse se chillaya.
Ishtiyaq bas aankh chadha kar Ishaq ko dekhne laga.
"Daddd aap kyun apni hi aulaad ki zindagi kharab karna chahte hain? Wo abhi bacchi hai sirf 15 saal ki." Ishaq apne gusse ko daba kar bolne laga.
"Haan jaanta hoon isliye bas nikah hoga. Ruqsati 5 saal baad hogi." Ishtiyaq muskura kar bola.
"Nahi mai apko Annu ke saath nainsaafi karne nahi dunga. Agar Annu ki shaadi karana hai toh apko mujhse guzar kar jaana hoga kyunki mai kabhi ye shaadi nahi hone dunga." Ishaq ne gusse se kaha.
"Humne tumhe paida kiya hai tumne humein nahi. Toh mai jo chahunga wo hoga." Ishtiyaq ab sanjeeda tha.
"Theek hai aap chahte hain na mai Noor se shaadi karlu toh mai karlunga Noor Se Nikah aur badle me aap Annu ki shaadi ka khayal ab apke zehen se nikaal denge!" Ishaq bhi sanjeeda tha.
YOU ARE READING
Chupi Mohabbat (Roman Urdu/Hindi) {ON HOLD}
قصص عامة"Chupi Mohabbat" teen jodon ki kahani hai, jismein har ek apni mohabbat mein alag mushkilein jhel raha hai. Pehli kahani mein ek aadmi hai jo sabse durr ho gaya hai lekin ek aurat se chupke mohabbat karta hai. Wo uska anjaan saya ban jata hai, usse...