ek azaad desh ke , ek azaad rajya ke , ek azaad sheher , ek azaad ghar ki ek azaad chatt pe baithi ek nanhi si ladki apne aap main qaid mehsoos karti hai..


qaid zimmedaariyon ke bhoj tale , qaid ek ghinone sparsh ke tale , qaid sahi aur galat k bhoj tale , qaid chuppi aur shor tale


uske azaad hone ki had hai aasmaan , par rivayaton ki zanzeeron ne usse jakda hua hai ... woh kehna chaahti hai , woh chillana chaahti hai , kuch galat usse nazar aaye toh woh sabse Pehle shor machaana chaahti hai .. par shaayad woh apni hi awaaz mein qaid hai


woh chuppi tod bataana chaahti hai ki woh na kissie ki beti hai , na kissie maa hai , naa kissie behen hai , naa hi woh kissie ki biwi hai woh toh mehez ek behaya , badtameez , aur badlihaaz ladki hai zamaane ki nazar se jiske khayal azaad hai ..jiska mijaaz azaad hai


tumhe lagta hai tum usse qaid kar sakte ho , bandh sakti ho uske azaad vichaaron ko .. yeh gehne yeh zewar jinke bhoj tale tum unhe laade huye ho .. tum lagta hai yeh usse rok sakte hai .. agar haa toh bhulo nahi woh jwaala hai , amba hai , agni hai , durga hai , Lakshmi hai , woh swayam kaali hai .. woh mrityu hai woh daivik hai

woh ladki tum ho .. woh ladki mai hu
by arthala das
  • dwarka , NEW DELHI
  • JoinedOctober 1, 2024



Story by AuthorArthalaAchaarya
Anusuya : His sacred Bride by Arthala3811das
Anusuya : His sacred Bride
"love is patient . isn't it ? " He asked tears were flowing through her eyes continuously so he ge...
1 Reading List