iadnanshaikh

Jab khwab sai ankhe khuli
          	To dekha wo bahot door jaa chuke the. 
          	                                               Adnan

iadnanshaikh

Yai dil naa ummidi kaa maara hai, 
          Ab jaane do yai khud apni aas sai haara hai. 
          
          Gilaa kru bhi to kisse gham-e-dil ka,
          Hum to duniya bhar mein keh bethe the wo sirf hamari hai. 
           
           Koi  humein to kya barbad krta, hume to apni hi zid ne maara hai
          
          Yai dil Jo tere bichadne k khyaal  sai bhi darta tha, 
          Aaj tuje bhul jaane ki duaain mangi hai.
          
          Ab ishq k aalam mein kya hota hai hum kya batlaaye, 
          Khair Yai bimaari to poore shaher ( city) bhar mein jaari hai. 
               
            
                                                                -   Adnan 

iadnanshaikh

Ishq ne wo mera haal krdiya! 
          Zindagi bhar ka ek malaal krdiya! 
          
          Tanhaa hogaya hu is duniya me teri, 
          Tonai jeena bhi ek mohaal krdiya! 
           
          Ishq ne wo mera haal krdiya. 
          
          Jab tu jaanta  tha chaht meri, 
          Fhir kese todi tonai yai aarzu meri, 
          
          Ishq ne yai mera wo haal krdiya! 
          
          Sahil par khade reh kar teri raah takta rehta hu, 
          Jis tarah samandar ki lehro k jese to ajaayen kahi sai, 
          
          Ishq ne wo mera haal krdiya!  
          
          
          Bachaln saa mehsos krne lagta hu khud ko , 
          Jab yaad krta hu bewafai ko teri !
          
          Agarche kahi mil gaya to zaror puchge tujsai, 
           K Bewafa to pehle se thaa, yaa koi kami reh gayi thi wafaa me meri ! 
          
          
          
                                                                          - Adnan 
          
          
           its just a small beginning hope you guys like it

iadnanshaikh

Chahaa tha use bhulaana par use bhulaa na sake,
          Rehna tha door unse par aazma naa sake, 
          
          Ishq kiyaa tha  dilon jaan sai bahot, 
          Par wo hai k khanjar aazma ne sai katraa na sake, 
          
          Ishq he to thaa unse, Wehshat to naa thi.
          Par wo hai k aitbaar kr k bhi sath dai naa sake ! 
          
          Too bhi bhul jaa unhe ab jise too yaad nahi,  
          Kyu ki usi ko wo he hai aziz jo kabhi usi k naa the !  
          
                                                                           - Adnan