Manik apni gari main nikal jata hay.Uss kay mind main bar bar nandini aur babies ka uss say dur ho jana ghom raha tha.Wo darny laga tha kay kahi nandini nay uss par trust nai keya tou.Uss kay bachy jiss nazar say ussy dekh rahy wo soch kar he ussy khud say nafrat hony lagi thi.Wo khud say ghun mehsos kar raha tha.Wo khud ko nandini aur apny bacho kay leye pure karna chahta tha par ussy pata tha kay har dosari larki nay ussy chuya tha.Wo apni zindagi say aur apni body say wo gandy touch mita dayna chahta tha but uss ka past ussy nai chor raha tha...
Manik ko abb pata chala tha kay uss kay past main keye gunha ussy say samnay aa kar uss ki zindagi kharab kar day gay tou wo yeh gunha kabi nai karta....
Wo jald iz jald ghar jana chahta tha.Nanfini ko batana chahta tha kay yeh sab uss ka past tha.Jisay wo bohot pehly chor chuka hay.Abb uss ki life main koi nai tha aur na he kabi koi aaye ga.Par sawal yeh tha kay nandini uss par trust kary gi.Uss nay itni mushkil say uss kar bharosa karny lagi thi..
Avni uss ki beti ko jab pata chaly ga kay uss kay papa ka past keya tha tou keya wo uss say nazar mila saky ga.Wo apni hawas ki bhook main yeh bhool geya tha kay yehi hawas yeh lust ussy kabi apni beti ki ankhon main apny leye nafrat dekha sakti hay tou wo yeh kabi nai karta....
Sach kahty hay insaan apny gunha aur hawas kay nashy main yeh bhool jata hay kay jab yeh nasha uttary ga tou ussy kay haat main kuch nai aany wala sawaye gult aur gunha ka na kabi na khatam hony wala bhoj.Insaan apni taqat ki power main yeh bhool jata hay...
Manik jaldi ghar aana chahta hay par ussy nai pata chala kay uss ki gari footpath say takra gi.Uss ka sar gadil kay steering say laga.Ussy chot lagi par abb uss ka ghar jana zayida zarrori tha.Wo thori dair khud ko sambhaly kay bad phir drive karny lagta hay...
Manik ghar kay samny gari khari kar kay jaldi say andar aata hay.Jahan raj neyo aur shweeta bethy hoty hay.Manik kay sar say khoon nikalta dekh kar teeno pershan ho jaty hay aur manik say...
R...manik yeh keya hua.khoon...
Ne...kisi say fight hui hay keya.doctor kay pass chalo...
M...mom dad mujhay kuch nai hua.nandini kaha hay.mujhay uss say bat karni hay...
Sh...par beta tumary sar say khoon beh raha hay.pehly doctor kay pass chalo phir nandini say mil layna...
M...nai mai theek hon.mujhay nandini kay pass jana hay....
Aur tezi say nandini kay room main jata hay.Jahan nandini bethi ro rahi hoti hay.Manik ko zakhmi dekh kar apna rona bhool kar manik kay pass ja kar uss say...
N...manik,manik yeh kaisay hua.khoon...khoon aa raha hay...
M...mai theek hon.mujhay tum say bat karni hay...
N...aisay kaisay app theek ho.ayyiappa itna khoon nikal raha hay.app bethiye mai first aid box lay kar aati hon...
Nandini jany wali hoti hay.Manik uss ka haat kar layta hay aur uss say...
M...kahain mat jao.pehly meri bat suno...
N...lekin khoon...
M...tum say zayida abi kuch important nai hay.meri khud ki jaan b nai...
Nandini chup ho kar manik ko dekhny lagti hay.Manik ko samjh nai aata kay bat say bat start kary.Nandini manik ko chup aur nervous dekh kar uss say...
N...manik I trust you.Mai nay app par trust kar kay he app ko chance deya hay.i know wo sab past tha...
Manik khud par nandini ka trust dekh kar uss ki bat sun kar nandini ko hug kar layta hay...
M...i am sorry baby.phir meri wajah say sab kharab ho geya.mujhay laga kay mai phir tumain kho donga.thank you,thank you so much for trusting me...
आप पढ़ रहे हैं
YE PYAR KAHAN HUM KO LE AAYA (Completed)
RomanceTwo family have come together for an alliance of their children.Will manik and nandini be able to lead a perfect life.