Episode 5

0 0 0
                                    

Jab se Abdullah ne Zain ko bura bhala kaha tha tabse ab tak Zain aur Noor ka samna nahin hua tha. Zain saara din ya to kaam karta ya fir apne dost ke ghar jaa kar padhai karta. Noor exams ki tayyari mein sab bhul chuki thi to wahin Rayyan ne ek nai girlfriend dhund li thi jiska maam Jiya tha. Noor ko jab ye baat pata chali to use is baat ka dukh to bahut hua magar fir usne socha ki main ek aise shaks k liye apne jazbaat apne ehsasat luta rahi thi jise meri parwah hi nhi thi! Jo hua thik hi hua, kal ko agar mai is shaks ke sath sari zindagi guzarne ka faisla karti to ye to mujhe dhoka dete rehta aur mai iski bewafai mein khud ko khatm kar leti.

Wo ab faisla kar chuki thi ki use ab Rayyan ke sath ek hi university mein nahi padhna hai. Jab tak wo use dekhegi tab tak wo uska khayaal apne zehen se nahi nikal sakegi.Isilie aaj wo Zain se is silsile mein madad mangna chahti thi ki wo usko ammi ko kaise bhi kar ke raazi kar le aur uska college badal liya jae. Zain pehle se hi us din wale waqie ko bhoola nahi tha, upar se Mariyam use call aur message kar kar ke uska dimagh kha rhi thi, jiski wajah se use bahut jaldi gussa aa jata tha.

Noor halka sa knock kar ke andar chali jati hai jab k Zain use itne dinon baad apne saamne dekh kar hairaan reh jata hai. 

“Zain bhai mujhe aapse ek help chahie!”Noor ne use dekhe bina apna sawal kiya. 

“Kaho jaldi kya bat hai?”

“Main chahti hu aap ammi se baat karei aur mera dusre college mein transfer karwaei.”

“Dusre college me kyu?”

“kyunki mera ab us college me dil nhi lagta hai.”

Us ke is tarah yu saaf goi se kehne par Zain bhadak gaya tha. 

“Dil nahin lagta tumhara wahan par tumhara, Kyun??? Wo jagah dil lagane ke lie hai ya fir padhai karne ke liye??? Mujhe tum samajh mein nahi aati ho Noor ki aakhir kya chahti ho tum????

Uske is tarah chillane se Noor dar gai aur wapis jane lagi thi jab Zain ne uska hath thaam kar use apni taraf kheencha tha. 

“Tumhei kya lagta hai Noor ul ain? Tum sab se chhup kar kisi se milti rahogi aur ghar wale is baat se bekhabar rahenge? Tumhein kya lagta hai ki tum us ladke se jab Cafe me mili thi to kisi ne nahi dekha tha??? Maine dekha tha tumhein!” uski girift aur mazboot hoti jaa rahi thi aur wo dard se karaah rahi thi.

“Tumhein us ladke mein aisa kya nazar aaya ji mujh me nahin hai, kya main handsome nahi, kamata nahi ya fir........”usne apni baat adhoori chhod di aur sath hi uski girift bhi dheeli ho gai.

Noor beyaqeeni se use dekh rahi thi

aur uski baat ki samajhne ki koshish kr rhi thi magar use kuch nahi samajh me aa raha tha to wo Zain ko takne lagi. 

Zain anjaane mein hi usse apni muhabbat ka izhaar karne wala tha magar wo ye nahi chahta tha ki jab tak uski zindagi mein koi aur ho tab tak wo use ye baat bataye. 

Isiliye kuch soch kar usne fir khud ko normal karte hue kaha ki“Thik hai, mai khala se baat karunga.”

*****************

Zain aaj raat ghar nahi aaya tha wo apne dost ki bike lie bina koi wajah aisehi bike lie ghum raha tha. Fir bike side me park kar ke wo Noor ke baare mein sochne laga, us ke samne wo manzar ghoom gaya jab usne Noor ko kisi k sath cafe mei dekha tha. 

Wo janta tha ki Noor thik nahi hai use kuch hua hai, magar usne ye nahi socha tha ki uskii zindagi mein koi aur bhi ho sakta hai. 

Phir aaj uska achanak college badalne ki baat karna usr laga kuch hai jo wo usse bata nahi rahi hai fir khud usr apne ravaiyye pe sharmindgi hui kyu ki wo kabhi bhi usse gusse se baat nahi karta tha aur aaj usne use apni baaton ki wajah se hurt kiya.

AAGHAZ E MUHABBATWhere stories live. Discover now