Episode 6

0 0 0
                                    

Zain shock mein tha report dekhne ke baad use is waqt Noor pe betahasha gussa aa raha tha ki aakhir usne itni badi baat gharwalon se kyu chhupai aur na jane kitne arse se wo is taklif ko jhel rahi hai. Usne ek nazar doctor ke naam par daali fir file dobara jagah pe rakhte hue wo uske kamre se nikal gaya.
Apne kamre mei pahuch kar usne hamesha ki tarah sabse pehle Anas ko call ki.
"Hello Anas wo thik nahi hai use stomach tumor ho gaya hai maine uski reports dekh li aur ab mujhe samajh nahi aa raha ki mai kya karu? " Wo pareshani se use bata raha tha.
"Tum uski doctor se baat karo ya fir kisi dusre doctor ke paas uski reports le jao aur dekho ki kya ho sakta hai uska elaaj. Tum khud pareshan nahin ho sakte agar tum pareshan hue to Noor ka khayal kon rakhega? abhi waqt hoga, ho sakta hai ki wo dawa se hi thik ho jae aur operation ki zarurat hi na pade!"Anas hamesha ki tarah apni baaton se use tasalli de raha tha aur ismei wo kafi had tak kamyaab bhi tha.
"Thik hai, mai baat karta hu kisi doctor se! Main baad me baat karta hu, Allah hafiz!"
Fir wo call disconnect kar ke Waleed ko call karta hai aur usse kisi ache doctor ka pata karta hai.
"Mujhe ab ammi se baat karni hi hogi Noor ke baare mein, bina kise rishte ke agar maine uska khayal rakhne ki koshish ki to Abdullah bhai use apni baaton se bahut hurt karenge, aur maine chahta ki ab wo aur takleef sahe, wese bhi ab to mjhe job bhi mil gayi hai Pune mein, fir mai use le kar wahi chala jaunga!"
********************
"Kya hua Waleed? tum itne pareshan kyu lag rahe ho?" Jab se Zain ne use apni cousin ki tabiyat ke baare me bataya tha wo tabse pareshan ho gaya tha.
"Dad, Zain ki cousin hai ek uski tabiyat nahi thik hai use stomach tumor hua hai aur wo mujhse kisi ache doctor ka appointment lene ke lie keh raha tha, lekin mujhe koi aisa doctor ab tak nahi mila to kya aap meri help kar denge?" usne Kamal saheb se madad lena chahi.
"Haan, thik hai. Dr. Sarwat Munir ek achi Doctor hain tum unka appointment le lo.Infact ek kaam karo tum mujhe us ki cousin ka naam bta do main abhi appointment le leta hu!"
"Thik hai, uski cousin ka naam hai Noor-ul-ain!" Waleed unhei bata raha tha aur Mariyam jo Kamaal saheb se koi baat karne aa rahi thi Noor naam sun kar ruk gai use is tarah kamre ke darwaze pe khada dekh Kamaal saheb ko hairani hui kyunki aisa kbhi nahi hua tha ki Mariyam ko unke paas aane k lie ijazat leni padi wo hamesha be jhijhak ho kar unke paas aati aur apni farmaish unke samne rakhti.
Waleed, Zain ko appointment ke bare mei bata kar phone rakh deta hai jab ki Mariyam aadhi adhuri baat ko samajhne ki koshish kar rahi thi.
"Kya hua Mariyam? Tum aise kyu khadi ho?" Kamaal saheb ne use awaaz di to uska zehen unki taraf gaya fir wo qadam badhati un tak pahuchi aur unse kehne lagi ki
"Dad, mujhe aur mere friends ko trip par jana hai 5 din k lie to aap please Mamma ko convince kar lein?"
"Thik hai mai baat karta hu Yashfa se!" wo uska sar sehlate hue kehne lage aur unka jawab sun kar wo khushi khushi kamre se nikal gayi.
"Mariyam!" abhi wo kamre k bahar qadam rakhi hi thi jab Kamaal saheb ki aawaz par wo ruki.
"Ji dad?"
"Trip par kab jana hai?"
"Parsu shaam mei jana hai!" wo jawab de kar ruki nahi aur apne kamre mei aa gayi.
"Noor, Zain ki cousin hai iska matlab wo apni cousin ko pasand karte hain! Strange! ab to us ladki ko dekhna hi hoga ki aakhir usmei aisi kya baat hai jo mujh mein nahi hai."
*****************
"Aaj akele yaha?" wo hall mein baithi coffee bana rahi thi jab Zain wahi aa gaya.
"Ammi kisi ki ayadat karne gayi hain, kafi der se unka intezar kar rahi hu magar wo nahi aai!"
"Noor mujhe tumse kuch baat karni hai!" Zain ne apni baat ka aaghaaz kiya.
"kahiye kya kehna chahte hain aap?"
"Agar kabhi koi tumse muhabbat karega to tum kya karogi?"
"Mujhse koi muhabbat nahin kar sakta Zain kabhi bhi nahi, kyunki main bimaar hun aur bimaar shaks se kon muhabbat karta hai bhala?"
"Main karta hu tumse muhabbat!" use ehsaas hi nahi hua tha ki wo rawaani mei kya bol gaya tha.
Uski baat sun kar uska coffee mix karta hath ruka ek lamhe ko usne apni nazrein uthai air samne baithe shakhs ko takne lagi.
"Kya kaha aapne?"
"Yehi ki mai karta hu tumse muhabbat!"
"Sab kehne ki baat hai koi muhabbat nahi karta bas waqt guzari hoti hai dil ka behlawa hota hai, kuch din ka sath fir kon kon hai ye kise yaad rehta hai?" Wo talkh ho rahi thi!
"Main un logo mein se nahi hu Noor jo sath chhod jaye, jo muhabbat ko waqt guzari samjhe, Main hamesha tumhara sath dunga, zindagi ke har mod par chahe to aazma kar dekh lo!" usne apna hath uske aage kiya. Noor ne uske haath ko dekha fir kuch soch kar apna hath uske hath par rakh di! Jise Zain ne mazbooti se thaam liya tha.
"Main nahi janta ki tumhei mujhse muhabbat hai ya nahi lekin main itna janta hu waqt guzarne ke sath tumhei mujhse muhabbat ho jaegi!" wo dhire se kehta hua uska hath chhod deta hai.
Wo beyaqeeni ki kaifiyat me ghiri use dekh rahi thi aur wo uske yun dekhne pe muskuraye jaa rha tha!
"Tum aise bhi bahut achi lagti ho!"
"Kaise?"
"Aisehi jaise abhi baithi ho!"
"Aap line maar rahe hain mujh pe?"
"Nahin!"
"Fir?"
"Tareef kar raha hu tumhari! "
"Acha?"
"Haan!"
"Tumse kuch kehna tha mujhe!"
"Haan kahiye!"
"Tum mujhse muhabbat karo ya na karo lekin mai hamesha tumse muhabbat karunga, fir ek waqt aisa aayega jab tumhein bhi mujhse muhabbat ho jaegi"
wo keh kar use dekhne laga jis par wo muskurayi thi.
"Kya aap mere bare mein kuch janna nahi chahte?"
"Nahin, jo maazi tha tumhara use maazi hi rehne do, jo haal hai uske baare mein socho, mujhe yaqeen hai mera sath tumhare sare dukh ko kam kar dega, main waada to nahi kar sakta lekin itna zarur kahunga ki tumhein hamesha khush rakhunga!" wo apni baat keh kar waha ruka nahi jab ki Noor wahin baithi uski baaton ko sochne lagi.
Wo thik hi to keh raha hai mujhe maazi se bahar nikal kar aagr badh jana chahie jis insaan ne meri muhabbat ki qadar nahi ki mai uske piche kyu khud ko aziyat du, jo mujhse muhabbat karne ka dawa kar raha hai kyu na us par ek baar aitbaar kar ke dekhu! Wo zakhm bhi dega to mera apna hi hoga naa!!! To kya mujhe Zain se muhabbat hai??Wo khud se sawal kar rahi thi lekin uske dil ne jawab diya"Nahin"
Wo abhi bhi apne hath ko dekh rahi thi jo kuch der pehle Zain ki giraft mein tha.
"Pata nahi kyu dil keh raha hai, ki tum par yaqeen kar lu, magar mujhe waqt lagega! abhi to mai bas itna chahti hu ki jaldi se thik ho jau aur sidhe tarah se apni padhai mukammal kar lu."
****************************
Parishay aaj apni Khala ke ghar aa gayi thi ab use do din baad college jana tha aur apna admission karwana tha, Wo yaha aa to gayi thi lekin Anas ki yaadein use yahan bhi pareshan kar rahi thi.
"Maine kab socha tha Anas ki mujhe tumse muhabbat ho jaegi, lekin main tumhare liye apne rishte, apne maa baap bhai behen ka maan nahi tod sakti! sirf tumhari khatir apne upar aanch nahin aane de sakti! kaash mai tumhei ye baat bata sakti ki mujhe tumse muhabbat ho gai hai!" wo bed crown se take lagae khud se Anas ki muhabbat ka aitraaf kar rahi thi use ehsaas nahi hua tha ki wo kya keh gyi aur jab ehsaas hua to usne aankhein khol kar sar nafi mein hilane lagi.
"Nahi, aisa nahi ho sakta hai main......main...main usse muhabbat kaise kar sakti hu?? Nahi nahi mujhe nahi hai usse muhabbat!"
wo apne baal ko mutthi mei jakde jaise apne hosh mei nahi thi!
"To aakhir tumhein mujhse muhabbat ho gayi PARISHAY WAQAS?" use laga Anas uske aas paas hai aur wo ye sawal usse kar raha hai!
"Haan karti hu muhabbat bas ab khush ho gye naa??? mil gaya na tumhein sukun to plz chale jao yaha se!" wo jaise us pe chilla rahi thi.
kamre se shor ki awaz sun kar khala andar aayi to use apne sar ko thaame dekh kar wo pareshan ho gayi.
"Pari, beta kya ho gaya hai? tabiyat thik hai naa tumhari? is tarah sar thaame kyu baithi ho sar dard kar raha hai?"
Usne asbat mei sar hilaya to Khala waha se uthi aur tel ki bottle apne sath laayi aur uske sar ka massage karne lagi.
"Abhi kuch hi dair pehle aai ho tum, tumhei kuch der so jana chahie tha, safar ki thakan se tumhara sar dard kar raha hoga lekin abhi mai tel se massage kar rahi hu naa to kuch der mein ye dard bhi khatm ho jaega aur tum sukun se so jaogi!"
wo khamoshi se unki baat sun rahi thi, kuch der baad wo wahi so gayi.
Khala uske kamre ki light off kar ke bahar chali gyi.
********************
"Dear dairy, Aaj zain bhai ne mujhe propose kiya, mujhe thoda ajeeb laga lekin fir maine socha ki ismei ajeeb kya hai? wo mere khala zaad bhai hain aur acha hi hai jo mujhe pasand karte hain! unhone ne jab apna hath aage badhaya to maine apna hath un k hath par rakh di! Nahi nahi nahi mujhe unse muhabbat nahi hai lekin wo ek ache insaan hain helpful hain. Handsome bhi hain koi bhi ladki unhei apna ideal bana sakti hai, lekin mujhe unka handsome hona attract nahi karta mujhe hamesha se unka behaviour acha laga, wo rishto ko balance karna jante hain, wo bhai ki baaton ka bura bhi nahi manate, wo ache hain dear dairy, aur mai chahti hu wo hamesha aisehi ache rahein
ab meri zindagi mein koi Rayyan nahi hai ab si zindagi se un logon ko nikal diya hai maine jin k lie mai zaruri nahi thi.
Kal se nayi jagah hogi jaha mujhe saari tawajjah apni padhai par deni haiaur sabse zaruri ye ki mai ab thik ho rahi hu.
Zain ke sath zindagi ka naya Aaghaz karne mei mujje koi problem bhi nahi hao wo ache hain aur meri care bhi bahut karte hai.ummeed karti hu ki kal college mei mujhe ek achi partner mil jaegi!" aaj k lie itna kafi hai.
wo apni dairy band kar ke so gayi.
****************
"Khala jaldi karein naa, aaj college ka pehla din hoga aur main nahi chahti ki pehle hi din main class ke lie late ho jau!" PARISHAY subh uth te hi jaldi jaldi college jane k lie shor karne lagi.
"Pari! abhi waqt hai aur wese bhi college zada faasle par nahi hai. Tum aaraam se nashta kar lo fir main tumhein sath le chalungi." Khala use kehte hue kitchen mei chali gayin aur jab wapis aayi to unke hath mein nashte ki tray thi.
"Khala kya zarurat thi aapko nashta banane ki ab mai aa gayi hu naa to ab se aap mere hath ka bana nashta karna!" wo unke hath se tray lete hue muskura kar kehne lagi!
"Tum yaha bas apna final year mukammal karne ke lie yaha aai ho, fir to tumhare jaane ke baad mujhe akele hi rehna hai, tum meri adat kharab kar dogi Pari!"
Khala ki baat sun kar wo muh banane lagi kyu ki wo yaha rehna chahti thi tab tak jab tak wo apne zehen se Anas ki yaadon ko na nikaal sake.
"Kyu khala? kya aap nahin chahti ki mai yaha aap k paas ruku? apni padhai ke baad kuch din yaha reh kar kuch courses nahi kar sakti?aap janti to hain jo facilities yaha mujhe muhya hongi wo waha nahi hai." wo apni baat kehne ke sath sath nashta bhi kar rahi thi.
"Agar tum aisa kuch soch rahi thi to bata dena tha naa main to ye soch kar pareshan ho rahi thi ki tum jald hi yaha se chali jaogi!"
Khala ko PARISHAY se bahut muhabbat hai kyu ki unki apni to koi beti nahi thi.
"Ab tum jaldi se tayar ho jao, mai aaj tumhare sath college chalti hu fir kal se to tumhein akele hi jana hoga!" wo PARISHAY se kehte hue uthi aur khud bhi tayar hone lagi.
PARISHAY nashta kar ke uthi aur tayaar ho kar 10 min baad apna bag liye unke samne thi blue colour ka burqa aur uspe hum rang hijab lie wo hamesha ki tarah bahut pyaari lag rahi thi.
"Ab chalein?" usne ek nazar khala ko dekha fir unse sawal kiya to unhone sar asbaat mein hilaaya aur dono sath mein ghar se nikal gayi.
Darwaza band kar ke Khala ne ek chabhi PARISHAY ki taraf badhai aur kehne lagi ki,
"Agar kabhi tumhare ghar aane pe main soi rahi ya kabhi bazaar gayi rahi to tumhein bahar khade ho kar mera intezaar nahi karna hoga!"
"Thik hai khala!"
*******************
"Noor, are kitna sona hai tumhein? Zain kabse tumhara intezaar kar raha hai, aaj tumhare college ka pehla din hoga aur tum...... tum ab tak so rahi ho!" Saira khatoon ki awaz par usne kambal hata kar ek nazar unhei dekha fir wo muh bana ke uth baithi.
"Ammi bas kuch der aur sone dein naa college yaha kareeb mein hi to hai, isilie to yaha dakhila liya hai ki aaraam se jaa saku lekin aap hain naa apkoto mera aaram karna fekha hi nahi jata hai!" Noor uth te hue unse kehne lagi jis par wo ghur kar use dekhna lagi!
"Tum final year mein pahuch gayi ho aur ab tak tumhari harkatein bachon wali, tumhari dono behnon ne kabhi mujhe itna pareshan nahi kiya hai jitna tum karti ho!"
"Mamma, wo dono to mujhse badi bhi hai naa, to wo kyu karengi pareshan aur unhei konsa meri tarah koi bimaari hai jo unhei aaram ki zarurat ho, allah na karei ki kabhi unhei meri tarah kuch ho! khair mai tayar hone jaa rahi hu aap mera aur Zain ka nashta lagaein!" wo ye kehte hue uthi aur attached bathroom mein chali gayi jab ki Saira Khatoon uski baaton ko sochne lagi.
Wo thik hi to keh rahi hai Hoorain aur Nureen kabhi bhi Noor - ul-ain ki tarah nahi rahi, sab kuch to thik tha Noor ki zindagi mein bhi lekin do saalo se jabse wo bimaar hui tabse bahut kamzor bhi to ho gai hai!
Wo jab bahar aai to Saira Khatoon ko waise hi khada dekh kar hairaan hui.
"Ammi, akhir kab tak aap yehi khadi rahengi? lagta hai ab aap ye chahti hain ki main aaj nashta khud bnau, to fir thik hai aap mere sath chaliye aur ye btaiye ki aap nashte mein kya lena pasand karengi?" wo unke kandhe pe hath rakhe unke sath apne kamre se bahar aa gayi aur fir dono sath mein kitchen mein nashta banane lage.
Zain Hall mein baitha ye sab dekh raha tha, lekin uska zehen abhi bhi uljha hua tha use Noor ko college pahucha kar uski reports le kar Dr. Sarwat ko dikhane le jana tha aur unse ye confirm karwana tha ki uski jo dawa start ki gayi hain wo sahi hai yaa nahi.
"Zain nashta kar lo!" Noor uske samne anda paratha rakhte hue kehne lagi aur khud bhi ek plate mein anda paratha lie wahi sofe par baith gayi.
"Ummeed karta hu ye utna acha nahi bana hoga jitna tumne pehli baar banaya tha!" Zain use pareshan karte hue kehne laga.
"Maine tab bhi acha hi banai thi bas us waqt aap ne aa kar saara kaam bigaad diya tha mera, pata nahi kya kya milane lage the ande mein jaise anda nahi chicken rakha gaya ho aap ke samne!" wo chidh kar use kehne ke sath paratha bhi kha rahi thi.
Abhi Zain kuch aur bolne hi wala tha jab Saira khatoon chai ki tray lie unke paas aa gayi.
"Tum nashta kar ke jaldi se ise college chhod aao, pata nahi kab iska mud badal jae aur ye pehle hi din college na attend kare." unki baat sun kar Zain hansne laga jab ki Noor apni maa ko dekhne lagi!

.
.
.
.
.
To be continued

AAGHAZ E MUHABBATDonde viven las historias. Descúbrelo ahora