epi 2

4 0 0
                                    


WALEED se milne ke baad wo apne dost ANAS ko call karne laga.Ek wahi toh tha jisse woh apna har ghum baant leta tha,use sab keh jata tha aur wo bhi use sun leta tha.

ANAS janta tha ki ZAIN har kisi ke saamne apna aap khol kar nahi rakhta.Isiliye wo khamoshi se uski har baat sun leta tha.Aaj bhi wo janta tha ki ZAIN yaha koi khaas baat batane aaya hai.

Wo coffee ka mug liye uski or badha aur fir samne bane sofe pe khud baith gaya.

"kya baat hai yaar,kuch pareshan lag raha hai?"

"Haan !baat to hai magar mujhe kuch samajh mein nahi aa raha ki mujhe kya ho gaya hai!"

"Matlab?"

"Matlab pehle jab main use dekhta tha  to mujhe lagta tha ki ye sab bas waqti taur par ho raha hai,usse dur jaunga to sab thik ho jayega,magar mujhe lag raha hai jab main usse dur jata hun toh aur udaas ho jata hu,main apne jazbe ko koi naam nahi de paa raha hu ?Akhir ye mere sath kya ho raha hai!" Wo aise baat kar raha tha jaise  aas paas koi ho hi nahi jese wo khud se hi kuch keh raha ho.

ANAS ne uske aage hath hilaya to jaise woh hosh mein aaya!

"Yaar tu kiski baat kar raha hai?mujhe kuch samajh nahi aa raha hai,pehle bhi ek baar teri aisi kaifiyat thi magar tab tune khud ko sambhal liya tha fir is baar aisa kya ho gaya hai....kya firse tujhe wo ladki mil gai hai jise tune kch waqt phle dekha tha?"

"Haan!"

"Kab,kahan dekha aur mujhe ab kyu bata raha  hai baad mei bta dete!"usne shikwa kiya tha!

"mujhe bhi pehle kahan pata tha ki mere sath bhi aisa hon sakta hai!"

"Tujhe usse muhabbat ho gai hai naa???"

"Haan!bahut zada muhabbat karne laga hu usse.Jab use dekhta hu to ek alag sa sukun milta hai mujhe.Mujhe wo auron se bilkul mukhtalif lagti hai.Wo bahut bimaar rahti hai,bahut zada khubsurat bhi nahin hai fir bhi jab wo mere samne sar pe dupatta liye khadi rehti hai tab....tab mai kho jata hun mujhe uske siwa koi chehra acha nahin lagta hai!"

"Kya wo bhi tujhse itni hi muhabbat karti hai jitna tu usse karta hai?"
"Muhabbat ka to pata nahi,Haan magar mera bahut khayal rakhti hai!"

"wo kon hai uska naam to bata sakta hai naa????"

"NOOR"

"Tumhari cousin?"

"HAAN!"

"Magar wo to bahut ziddi hai naa?"
"Haan! magar main use mana lunga!"wo khushi se keh raha tha.

Fir donon sath lunch karne lage.

************************************

Noor college pahunchi to sabse pehle uski nazrein Rayyan par padi jo apni kitabei padhne mein masroof tha.Noor muskurati hui uski or badhi  aur uske samne bani bench pe baith gai.

"RAYYAN?"Noor ne use pukara jis par wo sar utha kar use dekhne laga!Ankhon ke gird siyaah halke ,dubla,jhukta wajood dath ki dikhti hui nasein, ye woh NOOR to nahin thi h=jise wo pasand karta tha ye to koi aur hi lag rahi thi.Wo use aaj pure 10 din baad dekh raha tha aur in 10 dino mein uski sehat aur kharab ho gai thi!

"Kya hua aise kyu dekh rahe ho mujhe?ab pehle jaisi nahi rahi isliye aise jaizaa le rahe ho mera?"usne sawal kiya.

Wo kaise uski har baat jaan jati thi aur wo usse muhabbat ka dawa karne ke bawajood bhi use samajh nahi saka tha.

"Nahin!Ab aisi bhi koi baat nahi hai.Main bas ye soch raha hu ki itne dino mein tum aur kamzor ho gai ho!Kya hua hai tumhe jo tumhari sehat guzarte din ke sath kharab hoti jaa rahi hai?"Wo sawal kiye bina na reh saka,kyu ki pichle 6 maah se wo uski aisihi halat dekh raha tha!

AAGHAZ E MUHABBATHikayelerin yaşadığı yer. Şimdi keşfedin