An Exceptional Case?

2.3K 123 31
                                    

He was clear with his views but what led that he contradicted himself only....
Recap- Whole M.P.T along with Dsp sir celebrates their victory. Haseena collides with an stranger who later introduces himself as Dr Arhaan!

In M.P.T
CC- haan to bhaiya bataiye apka problem taki hum complaint likh sake !
Arhaan- Complaints to bahut hain janab par.....(dizzy) I Miss you Ms Bose!
Santosh- lagta hai so gaye ! Maddam sir ab kya karein ? Vese kitne cute hain ye ...inhe kon ladki chhod ke jayegi bhala?
Karishma- Amma tum apna bakaiti band kro aur inhe uthane ka intezam kro Hum itni raat ko isliye nahi aye thane .
Haseena who felt something wrong with Arhaan touched his hand and realised that he is having high fever .
Haseena- inhe to bahut zyada fever hai . Santu call doctor immediately!
Santosh- ji Maddam sir!
Arhaan holding Haseena's hand and saying- please don't do this Ms Bose !
Anubhav removed his hand from Haseena's hand and instead gave him his own hand .
PJ- dekhiye Karishma Maddam jalan!
KS- ho gaya apka?
Doctor comes and checks him!
Doctor- are Madam ye to Dr Arhaan Mallik hain !  Hamare hospital k number one Cardiac Surgeon
Santosh interrupting- Maddam sir apke rishtedar hain kya ?
HM gave him look ordering 'not now' and enquired further- Ji dr to bataiye inke bare me aage..
dr- beete kuch dino se bahut pareshan lagre hain ab reason pta nahin ! And Maddam apart from fever he had consumed some alcohol too but it wasn't much so he will be alright in few hours after this medicine!
HM- Ji shukriya! Aap jaa skte hain hum apko inform krenge aage !
He picks his bag and was about to leave  but was stopped by Haseena
Haseena- acha aap kisi Ms Bose ko jante hain ? Ye behoshi me unhi ka naam le rahe te !
Doctor- Maddam sir zyada nahin jante lekin i think ye Ms Nitara Bose ki baat kar rahe hain ...inki ex fiancee!
HM- oh! Thank you doctor!
Doctor takes leave from there.
AS who was busy in reading some cases in his phone comes to check the present situation.
AS- kuch pata chala Haseena ji?
HM- ji sir ! Jitna abhi doctor ne bataya uske according lagta hai ki inka abhi break up hua hai shayad isi wajah se dukhi hain !.....by the time AS could say anything Arhaan comes in senses!
Arhaan- ye mai kha hu? My head... ugh..
Santosh- aap police thane me hain! Aur aap aise kyu puchre hain aapne hi to bola ta yaha ane k liye. Ab apni prblm bataiye...raat k 2 bj gye apki wajah se ...hume sona bhi h !
Arhaan- aap police me hain?(out of doubt due to her antics)
CC- haan bhaiya ye Santosh Sharma hain ! Cyber department specialist aur myself inka Cheetah chaturvedi 😍
KS- abe topa log! Bahut hogya tum logo ka ! Aur haan to Mister Arhaan aap aj raat hume bahut pareshan mile the aur madad ka bat krne pe aapne kahan ki aapko yaha baat nahin karni...
Arhaan- ek min ....mene ...muje kuch yaad ku nahin hain ! Ek min (looking at Haseena) aap bahut sensible lag rahi hain ...pls aap bataiye ye sab kya ho raha hai?
HM- ji hum SHO haseena Mallik (She narrates him the whole story calmly) ab bataiye kya bat hai? Aap ek doctor hain aur aap khud aisi halat me honge to apke patients ka kya hoga?
Arhaan- sorry Haseena ji aur aap sab ko bhi sorry. Pata nahin kese mene ye carelessness dikhai . Aap logo ko hamari wajah se jo takleef hui uske liye maafi aur hame sahi salamat yaha lane k liye aur treatment ke liye shukriya! Hum chalte hain!
Anubhav- theriye Shreeman! Ab itna dur aagye to apni vyatha bi bata dijiye ki hum log aapki kya sahayata kar sakte hain ? (Poor he was unaware that he was digging his own grave asking this question)
Arhaan- ji shukriya! Lekin hamare dard ki na hamare pas dava hai na apke pas ilaj!
Pj - aisa koi pareshani nahi jo hamare thane me solve na ho. Hamari Maddam sir ke jazbaat ache acho k mann aur faisle badalne ke kabil hain.
Arhaan- na to ye mandir hai na masjid jo kisi ka faisala badal sake ! Aur wo Mujrim bhi to nahin jo tareek lagwaye, use saza dilwaye!  Khata hamari to saza bhi hamari! Aur dil ke faislon me zor khuda ka nahi chalta to hum to insaan thehre!
Santosh- aap to bilkul Maddam sir ki tarah baat krte hain ! Unki baatien bi mere sar ke 250 km upr jati hain aur aapki bhi . Unka bi dil toota hai(she bites her tongue looking at Anubhav and Haseena who have "you are gone now" look on their faces)
CC- uff ye m....(realises the seriousness of situation )sir aap santu ji ki baat mt suniye ye to bahut masoom hain ! Hume bataya doctor ne ki aapki fiancee chli gyi isliye aap nashe kar rahe hain!
Arhaan( coughing on his last line ) explains- hum nashe ...i mean drink nahin krte wo bas galti se ho gya aur apko kese pta chala...aur hum bas ye puchna chahenge ki kya aap unka faisla badal sakte hain?
KS- kya wo tumse pyar krti hain ? Matlab ye koi jabaran shadi ka .....
Arhaan interrupts-  hum pichle 10 saal se sath me the ...2 din baad hamari shadi thi fir.....
AS- fir kya Shreeman?
Arhaan- unka barso purana sapna pura hogya ! Unka Army me selection ho gaya aur unhone hume bs ye khat dia! Ham akele hote to shayad bardasht kar lete lekin hamare ammi abbu jinke bahut Armaan the hamare nikah ko leke ! Unhe pta chala to wo ....they are not physically and emotionally well to bear this...unhe kuch ho gya to ...
Whole mpt was listening to his sad story but someone was deeply crying inside ! She was feeling each and every word but didn't let anyone notice the tsunami of emotions going inside her while for someone else the whole incident was like being shown a mirror of how wrong he had done with someone?
PJ- 2 din baad shadi aur achank shadi tod di? Kaaran ? Army me jana garv ki baat h lekin isme shadi ku todna wo bi 10 saal ka lamba arsa bitane k bad
Arhaan- sawal to bahut hain par jawab me bas ye khat hai....
KS- Santu khat pdho
Santosh reads the letter-
" Samajh nahi araha kese kahu aur kya kahu...aur shuru kahan se karun....par ab ye shadi nahi kar sakti mai ! Haan janti hu bahut galat kar rahi hu aur tumhe aur khud ko bahut takleef de rahi hu lekin ye dard aane wale dard se kam hoga ! Meri zindagi mene watan ke naam kar di hai aur ab ise baat nahin sakti ! Pta nahin iska anjaam kya hoga par ab jo hai yahi hai.... please stay happy in your life and I hope you find someone jo tumhe bahut pyar kare ...haan mujse zyada koi nahin kar sakta Mr Akdu ! But meri last wish samajh lena ! Isse zyada kehne ki ab himmat nahin!
Yours  Ms Bose !"
Everyone in M.P.T was in tears except Haseena! It was like someone had pit salt on the old wounds. Everyone knew she is a strong woman but today she had turned into a stone figure , her face was blank , her brown eyes which spoke volumes were empty ! All one could see was a lifeless face . Anubhav was afraid to look in her eyes. He had no strength left to see her . He had sunk into his guilt.
Arhaan- kya aap kar sakte hain hamari madad? aap bataiye kya desh ke liye farz ke saath saath uska farz hamare liye nahin hai? Jab pyar hai to shadi se inkar ku?
Haseena- maaf kijiye! Hum is case me aapki koi help nahin kr sakte! ...
AS who hadn't seen his Haseena giving up so easily was scared and angry at the same time.
AS- Haseena ji aap kisi bhi case ki jad tak jaye bina itni jaldi haar kese maan sakti hain?
Haseena - ye aap keh rahe hain sir ? Aur isme case kya hai? Sab kuch us aaine ki tarah saaf h!
Santosh- Maddam par us aaine pe dhool hai ! Billu tune saaf ni kia ! Dekhiye Dsp sir !
AS- kripya karengi aap ek ? Kuch shan shant rahiye ! Santu was left with a puppy face.
Haseena- dekhiye sir , is case ko aapse behtar koi nahin janta ! Ab Nitara ki majburi aap ni samjhoge to kon samjhega? Arhaan ji maaf kijiyega lekin zindagi me aise mod pe insaan ka saathi sirf wo khud hota hai ! Pyar thopa nahin jata! Aur kisi ko force karke rishte nahin jode jate ! Aap unki feelings ko jitni jaldi samjhenge acha hoga!
Arhaan- aap sahi keh rahi hain Haseena ji ! Hum chalte hain ! Thank you everyone for everything !
Arhaan walks away from the place!
Everyone was shocked at Haseena! Their Maddam sir for the first time had gave up so easily ! Was the reason her heart break? Or something else was going in her mind?
Haseena- aap sab bhi jaa sakte hain ! Hum bhi nikal rahe hain ! Her voice was so bold that noone dared to argue with her and everyone left except DSP!
Haseena- sir aap nahin gaye ?
Anu- shayad aap bhul rahi hain ki hum aapke ucch adhikari hain aur aapke orders hum pe kaam nahin krte !
Haseena- ye hum bhala kese bhul sakte hain ? Infact aapse judi koi bi baat nahin bhule hain hum...
Anubhav- aaj aapne hume bahut nirash kiya hai ! Hume aapse ye ummeed katai bhi nahin ti . Ek insaan jiski ankho me ek umeed dikhi ti uske pyar ko pane ki aap ne use aur tod dia! Aap apne jazbaaton ko apne kaam ke aade kese aane de sakti hain ? Ye bahut nirashajanak ta Haseena Malik!
Haseena- sir ye aap keh rahe hain ? Aapne bhi to....
Anubhav- nahin ! In dono case ka koi tal mel nahin hai ! 10 saal ka rishta todna koi aam baat nahin ! Pyar aisa nahin hota .....
(Look who is saying about love ! The one who hadn't acknowledged his feelings ever )
Haseena- kesa hota hai pyar?
------------------------------****----------------------------

Precap- haseena- bahut hogya aapka ab hamari suniye ! Aaj na koi SHO na koi DSP sirf Haseena aur Anubhav!
(Scene shifts)
Anubhav's car is broken near a cafe and his eyes are shocked to see Arhaan and haseena hugging each other)

Note- since many may have Doubts that how someone can join army after 25 years of age so there are still some options one can do that ! Like territorial army and many others. Also there will be upcoming turns in the story so stay tuned and still if I go somewhere wrong please guide me .

Note- since the story majorly revolves around Anuseena I am not giving any Kareena or other scenes but if you all want then please do tell me ! Will give my best! Also I am not sure that whether should I introduce Karishma's husband or not so do give your suggestions and feedbacks as it means alot ❤️ keep giving your love and support and take care ! Love love 💖
Shaheer Sheikh as Dr Arhaan Mallik
Erica Fernandez as Nitara Bose










The RealisationWhere stories live. Discover now