six (a): the martyrs' letters

151 14 3
                                    

(a/n: this chapter will contain letters written by aladdin and ginu. although the story line doesn't move a lot in this chapter, this chapter will influence the rebellion.)

Aladdin and Ginu's bodies were laid down on the bed. Yasmine, Ammi and Toli had cried enough now, the grief they were feeling was too much to be portrayed by mere tears. They were weighed down by the pain of separation and loss, going down into the void of guilt, hanging just by a string, the will and determination to bring justice to martyrs of war. The war between good and evil, or rather powerful and power-hungry.

Yasmine opened the envelope of letters by Aladdin and Ginu. She took and gave letters addressed to the respective people. Two to Ammi (one from Aladdin and one from Ginu), one for Yasmine (from Aladdin), one for Gini Mini (from Ginu) and two common letters.

Yasmine's letter (from Aladdin)

Nakchadi,

Jab tum yeh khat padh rahi hogi tab mai chala gaya hounga. Maine apni aakhri khwaahish (wish) tumhe batayi hogi, umeed hai tum voh puri karogi.

Yaad rakhna, meri khwaahish puri karte karte apna, Ammi ka aur Toli ka khyaal rakhna. Baghdad ke liye aisi Sultana banna jiske liye apni aavaam (citizens) se badh kar kuch na ho.

Aur ho sake toh apni zindagi mein aage badhna. Aisa zaroori nahi ki pehli mohabbat hamesha safal ho, lekin voh hamesha sabse khaas hoti hai. Aur voh jagah toh sirf meri hai. Lekin zindagi mein humesha ek sahare ki zaroorat hoti hai. Kisi aise ki zaroorat hoti hai jo hume sahara de, jiske kandhe par sar rakh ke ro sake, jiske saath hum sab kuch baat sake, apni aadhi zindagi bhi. Apne liye aisa koi dundh lena nakchadi, kyuki aage ka safar aasan nahi hai. Lekin meri Nakchadi bhi mushkilon se dat kar saamna karne vali jaan hai.

Meri maut ka maatam mat manana jashn manana, kyuki agar tum ro dogi toh tumhare aasu pochhne ke liye mai vaha nahi hounga. Iss baat ka jashn humesha manana ki iss kalechor ki pehli, aakhri aur akeli mohabbat sirf uski Nakchadi hai, uski aakhri saans tak.

Tumhara Kalachor

End of Yasmine's letter

Gini Mini's letter (from Ginu)

Sara ji,

Jab aap yeh khat padh rahi hongi toh mai nahi hounga. Aap soch rahi hogi ki mai toh jinn hu toh mujh par us zeher ka asar kaise ho sakta hai? Woh zeher bohot hee purane kism ka tha, usme jinno ko khatm karne ki bhi takat thi isliye mujh par bhi uska asar hua.

Khair yeh sab baate chhodiye, mai aapko yeh bataana chahta hu ki aapke paas hone se mera dil hua awaara ji, mere matlab Sara ji mai aapse...kehna chahta hu ki mai aapse... mohobbat karta hu, pure dil se. Mai aapko yeh khud bolna chahta tha lekin kismat ko manzur nahi tha. Aur haa apko pata hai maine ek aisa jaadu sikha tha jisse mai likh sakta hu matlab kalam mere khyalo ko likh sakti hai, jiski madad se maine yeh likha hai.

Sara ji bhai aur mai vaha nahi rhe isiliye ab aapko ammi ko sambhalne mein aur bhai aur abbu ki sachai sabke saamne laane mein pyaari pareshani ji aur toli ki madad karni hai. Aur vaada kijiye ki inn sab mein aap khud ka khayaal bhi rakhengi, aapko mirchi ke halwe ki kasam. Aur apni khushi aur khwahishon ka dhyaan rakhiyega, jaise aapne mujhe sikhaya tha. Apne machli vale roop mai vakt par jaana mat bhulna.

Aapka Ginu

End of Gini Mini's letter

Ammi's letter (from Aladdin)

Ammi,

Aap yeh padh rahi hai matlab ki mai jaa chuka hu. Pehli baat toh mujhe maaf kar dijiye. Kisi bhi ammi ko apni aulaad ki maut ki khabar nahi milni chahiye aur voh bhi unse pehle aur use marte hue nahi dekhna chahiye aur mere maamle mein toh dono cheezein hui hai isiliye maafi.

Dusri baat, ammi mai begunaah hu, maine Baadshah Shahnawaz ko nahi maara, Nakchadi aur Toli ne aapko bataaya hoga. Mujhe pata hai ki aap Ginu aur mujhe bohot yaad karengi, lekin ab do beto (sons) ki jagah par aapke paas do bete aur do betiyan hai jo aapko kabhi bhi meri aur Ginu ki kami mehsoos nahi hone denge.

Aur Ammi mai Nakchadi se mohobbat karta hu aur Ginu ke baare mein aapko uske khat se pata chalega. Ammi Nakchadi bohot hi achchi hai, yeh toh aapko pata hee hoga lekin voh bohot samajhdaar aur naik bhi hai. Uske hote hue aapko meri kami bilkul mehsoos nahi hogi, lekin mujhe bhul bhi mat jaana. Voh aur Toli milkar aapka bohot khayaal rakhenge lekin aap bhi achchi ammi ki tarah unhe daat te rahiyega varna bigad jayenge.

Mujhe aapke sheer khurme ki bohot yaad aayegi lekin jab bhi aap sheer khurma banaye toh mohole ke bachchon ko meri jagah sheer khurma khila dijiyega aur aasmaan mai dekhkar ek baar muskura dijiyega.

Jaisa ki maine aapko pehle bhi kaha tha, meri maut ka maatam mat manana, lekin jashn manana. Aur mujhe yaad kar aasu mat bahana lekin meri taraf se kisi ke chehre par muskaan laana.

Aapka beta Aladdin

End of Ammi's Letter

//

That was it for the chapter! Hope you liked it! I know it's very short but including all the letters in one chapter was making the chapter too long, so I decide to write the other three letters in a separate chapter so the next chapter will be about that.

Vote and Comment.

Stay tuned for the next chapter! Now Bye!

saving noori | SLOW UPDATESWhere stories live. Discover now