Nazool-e-Hassan

47 6 1
                                    

Late Nineties mai ek choti si city ki busiest road ke pass rehne waly do rooms ke choty se flat mai Irfan ki moat hony waali thi.

Irfan akhri din aas paas apny beloved logon ko akhri baar dekh k hamesha k lye apni muskurahat khony jaa raha tha. Irfan ko samaj ni aara tha ke woh apna amal-nama samait kar duniya se jane ki tyari kare ya akhri baar jee-bhar ke khud ko uss duniya se jata dekh le.

Irfan abhi yehi soch raha tha ke usko Allah ke taraf se bulawa aagya aur wo abb apny death-bed se permanent bed (qabar) ki taraf jaany laga.

Death waly din, Same building mai 4,5 flats k baad, neighbours mai uss shaam aik baby-boy ka janam hua. What a co-incident k wo baby 8th-month ki 8-tarikh ko rat 8 bajy peda hua. Kitny mazy ki baat hai na ke aik hi building kay aik ghr mai Irfan ki rooh nikalny k lye Hazrat Izraeel (Angel of Death) prepration kar rahy ty. Jab ke dosry ghr mai se kisi ke jism mai rooh phoonki jaani thi.

Log kehty k aik insan peda hota toh kisi ki jan le ke peda hota. Sunne mai aaya tha k Hassan ki pedaish py marne wala Irfan aik acha admi tha. Hassan right side ki fourth (Last) floor mai peda hua. Jab ke irfan ka ghr same building mai left side k 2nd floor mai tha..

Hassan jis kamre mai peda hua wo 15 feet ka aik rented room tha, hassan ke aany tak uski family ke pas sarr chupany ke liye bas wohi aik property thi. Uss choty se room mai aik bara trunk aur 2 charpai (bed) aa sakty thy. Hassan ki pedaish kay waqt usky choty se room mai 15 females thi jo uski maa ko normal delivery ke lye hosla de rahin thi.

Hassan ke 2 siblings ki delivery hospital mai hui thi. Hassan ki delivery kay waqt, uske maa baap ke pas government hospital ki 10 rupee admission fee ke pese nahi ty, ya shayad uski maa ke pass hospital mai submission ka time ni tha. Ajeeb mahool hai ke kisi ke peda hony se phele hospital mai 2 month phele se booking karwani parti. Aese hi insan saalon phele apni qabar khud qabaristan ja khud book karwa lete..

Aksar Log kisi kay murder ki planning karte waqt phele hi qabar ki booking karwa lete, so that uska murder karne k bad uska post-mortem karwae beghair, within few hours janaza parha kay usko sedha qabar mai phenk aayen, taky kuch arsy tak log uss qabar ka raaz na jan sake, but ajeeb fact hai ke insan jese hi qabar mai jata, farishte khud bata dete k uski moat kese aur kyun hui.. uss waqt marne wala qabar mai yeh soch raha hota ke apny murderer ko maaf kar ke abhi qabar mai saanp bichu kuch kum karle ya qayamat kay aany tak ka wait kare jab wo billions of people k samny uss murderer ko nanga kar k apni moat ka badla lega lakin wo mara hua insan kabhi kabhi isse soch mai apny murderer ko maaf kar deta

Hassan jis building mai peda hua uss building mai 16 flats thy, har flat mai 2 kamre thy, aik chota sa kitchen aur chota sa bathroom tha. Hassan k duniya mai aane k bad uss 15 feet k kamry mai mojood family k 4 logon k elawa 25,30 guests mai meetha distribute kiya gya.

Insan bhi ajeeb hai k apni paidaish py meetha khaany se mout k namkeen rice tak ka safar karta. Farishty shayad hamari durations likh lete hongy k aaj hassan k peda hony ki khushi mai log meetha kha k celebrate karenge, aur jaisy hi Hassan ka lifespan complete hoga, log isky "akhri" khany par log namkeen biryani enjoy karenge.

Hassan k 2 rooms k ghar mai aik room flat k onwer ka tha. Hassan k aany k bad usky 15 Feet k ghar mai wo 4 log muskil se reh pate thy. Hassan k rony py usky flat-owner, Hassan ki maa ko bura bhara kehte taa kay hassan ko chup karwaya ja sake. jab k hassan ki maa unhi home-owner kay ghr ki maid thi, so that hassan ki family ko free-of-cost ghr mai rehne ki jaga mill sake.

Hassan aaj aik insan ki jaan le k duniya mai aaya tha, lakin wo bilkul ni janta tha aany waly years mai wo bauhat se logon ki life badle ga.

Author's note
So guys this is the very first chapter!!
How much do you all like it?!
Share, comment, & vote.

Happy reading

-NA

Alif Se Ishq Tak Ka Safar ✓Where stories live. Discover now