Begunah Bachpan

14 5 1
                                    

Kehty hain ke insan ka bachpan tab tak rehta hai, jab tak wo kamany layak ni hota.

Hassan kay abbu normally magrib ke waqt ghar aa jaty thy, lakin uss roz wo apny abbu ka wait karty huye soch raha tha kay shyad usky abbu ko wapsi ki bus nahi mili hogi, thats why abbu late hogae hongy. Raat ke 10,11 bajy usky abbu ghar aae toh unky haath mai tri-cycle thi. Hassan ki khushi dekhne layak thi usny jaldi se abbu kay cheeks py kiss karty huye tri-cycle chalana shuru kar di.. Usky abbu hanste hue dekh ke isha ki namaz parhne chaly gae. Hassan itna khush tha ke continously tri-cycle ka horn bajae jaa raha tha... Hassan ki ammi usko bar bar mana kar rahin thi ki apny abbu ko sakoon se namaz toh parhne do, lakin hassan ki thinking senses toh abhi tak develop hi ni hui thi. Achanak usky abbu ny tri-cycle roki aur hassan ko zorse thappar raseed kar diya. Wo raat hassan roty roty soya.

Sunne mai aaya ke insan jitna hansta hai, utna hi royega, so inshort agar hum aik din mai 10 Ghanty achy mood mai guzaren toh itna hi time apka mood off bhi reh sakta. Agar hum 10 ghanty hanste hain aur 10 ghante bure mood mai rehte toh baaqi k 4 ghante apki aany wali life ko design karte hain.

Kuch arsy bad, Hassan apny first home ko chor ke aik rural area mai shift hogya. Uski new neighbours ke pas horse bhi tha, Hassan uss horse ki waja se sara sara din ghr mai chupa rehta tha. Hassan sirf tabhi gali mai tri-cycle chalany jata tha, jab wo horse gali mai nahi hota tha.

Kuch arsy baad Hassan ki ammi ko kisi bauhat bary ghar mai, maid ka kaam mill gya toh uski family uss cottage mai shift hogae. Wahan Hassan nay bauhat sary "Toads" ko apna friends banaya tha. Wo itna bara ghar tha ke toads jisko bhi dekhte thy wo unky pechy pechy aany lag jaty thy. Uss bary se ghar mai aik female senior police-inspector rehti thi jo sara waqt hassan aur uski family ko taunt karti rehti thi. Jab kabhi wo police-inpector office gayi hoti toh hassan usky gardan mai jee bhar k akele frisbee khela karta tha. Hassan kay ghar ke paas Islamabad ki sabse famous food street thi, jahan bary bary log khana khaany aaty thy. 2,3 saal ka Hassan kabhi kabhar ghar walon se chup kar akele food-street ja kar logon ki gaariyan dekhta tha.

Hassan ke abbu ki shop unke ghar ke paas mai hi thi, Aik din Hassan ghar se ghayab hogya, Hassan ki ammi ny ussy pory ghar mai dhonda, lakin uska kuch pata nahi chala. Sham ko thak haar ke ammi ny Hassan ke abbu ko phone kiya toh Hassan ke abbu phele pareshan hogae ke hassan kahan chala gya, thori dair baad abbu ny notice kiya ke aik bacha unki shop ke samny kaafi dair se matti mai khel raha hai. Abbu ny ja ke check kiya toh wo hassan tha, Abbu ko samaj ni aaya ke wo apny bachy ko itni dair ghayab rehne py maaren ya usko pakar ke pyar karen. Wese bhi usky abbu ka pyar thora hard tha because wo pyar karte karte bhi do teen laga dete thy ke usky aansu nikal aen.

Aik dafa Hassan apny gaaon gaya tha toh usky chachu ny usko bus stop py welcome karty huye pyar se Hassan ki kamar py 2,3 barthapki di.. kuch lamhy baad Hassan ny rona shuru kar diya toh pata chala ke usky chachu ka hath itna bhari tha ke bechara hassan rony laga.

Hassan sabse chota hony ki waja se bauhat shararti bhi tha. usky ghar mai chatt/roof mai jany kay liye detached wooden-stairs use karty thy. Aik din hassan chatt/roof py ja raha tha toh wooden-stair slip hony ki waja se hassan ki nose-bone toot gae. Sometime lagta uski nose-boogers nazar aa rahy but actually wo uski terhi-bone nazar aati. Aese hi aik bar Hassan market se cheez le kr aa raha tha aur Hassan ny ghar ke samny neighbors ki khari gaari ko pechy se dhakka dene laga kay achanak se driver ny gaari aagy ki, Hassan k disbalance hony se hassan uski zaban teeth mai aa k throat tak cut hogae. Hassan ko hospital le ke gae aur ussy choti si zaban py 12 to 15 stiches ae. Uss waqt ambulance toh hoti nahi thi, toh hassan ki ammi usko public transport mai hospital le ke jaari thi, at that time wo adhi se zyada katti hui zaban se driver ko jaldi jaane ki instructions de raha tha.

Hassan hamesha se shararti tha but wo saary experiments khud se kiya karta tha, lakin usny kabhi kisi ko dis-obey nahi kiya. Elders samjhty ke agar chota bacha shararti ho toh wo kabhi zyada acha ni ho sakta. Iss tarah ki baaten bache ko de-motivate karten jiski waja se bacha jab bara hota toh society ke bury tags ki waja se natural opportunities py bhi deliver nahi kar pata. Har insan ko khud ko better karne ke liye time chahye hota hai. har insan aik din (24 Hours) mai 86,400 seconds guzarta hai. Agar parents ya siblings kisi bachy ya expect karenge ke wo 24 ghanty sharafat se guzar de toh aesa toh sirf farishta sift insan hi kar sakta. Allah ny insan ko apna naib/governor/Khalifa banaya hai. Insan ko angels/Jinns py dene ka maqsad hi yahi tha ke insan ko azadi di gae taaky wo khud ko aur apny khuda ko dhond saky. Insan ko Ashraful makhluqt khate hai q ki hum insanon ke pass choices hai achi ur buri ki. Angels sirf achy kaamo k lye hoty, on the other hand, Jins ki kuch generations buri bhi ho sakti. so thats why Allah ny Insan ko apna assistant banaya k wo duniya mai ja k kuch experiments kary aur khud ko aur apni aany wali generations ko aik achi life de saky. So jab aik bacha kuch ulta/galat kam kar raha hota, wo apni aqal ke hisaab se actions perform kar raha. so usko threat karny ke bajae usko lightly samajhaya jae toh he can perform well. Baqi hum insano ki qismat toh Allah ke hath mai hai wo chahy toh kisi naik ko sharabi bana de aur kisi bury insan ko qabool karle. So thats why kisi bury act ko dekhte huye khud ko judge karen, na ke uss bande ko character certificate dene chalen jaen.

My favorite quote "Shareef sirf wohi hota hai, jisse moqa na mily".

Author's note

How much do you all like it?!
Share, comment, & vote.

Happy reading

-NA

Alif Se Ishq Tak Ka Safar ✓Where stories live. Discover now