Continuing ,
Preeta : karan tumhare ghar mein ya tumse related kuch bhi hota hai toh tumhe ye kyun lagta hai ki preeta arora ne kiya hai ab toh mujhe ye bhi darr lagta hai ki agar tumhe ya tumhare ghar valon ko choti si kharoch bhi aayi na toh naam kiska preeta arora ka aur rahi baat photos display hone ki toh ye koi meri chaal nahi thi tumhe kya laga haan mujhe tumse shadi karni hai lekin nahi mujhe tumse shadi nahi karni thi mera bass chalta main kisi asli gadhe se shaadi kar leti lekin tum jaise gadhe se toh bilkul bhi nahi
Saying this she leaves for the washroom
Karan : ye meri itni beizzati karke gayi , mujhe gadha bhi bola , (shouts ): you preeta arora agar main gadha toh tum gadhi meri biwi toh ab ban chuki ho so agar pati gadha toh patni hogi gadhi ,aage se mujhse aise baat mat karna samjhi
Saying this he leaves the room
Sameer's room
Sameer : kya hua bhai aap itne gusse mein kyu lag rahe hain
Karan : gusse mein lag nahi raha hoon vo preeta arora kitni chaalbaaz nikli mere ghar mein ghusne keliye humari photos chala dee projector par Kyunki usse pata tha ki meri mom vo photos dekh kar samjhegi ki humara chakkar chal raha hai aur vo uski shaadi mujhse kar degi aur vahi hua
Sameer : bhai calm down itna gussa sehat keliye acha nahi hai
Karan : kya calm down haan kya calm down vo preeta arora jo aajkal mere gusse ki vajah hai toh obviously gussa nahi nahi nafrat toh hogi naa
Sameer : bhai please itna gussa aur nafrat bhabhi (karan glared him) I mean preeta se mat kariye she is very achi , aur ye lijiye aap paani pijiye aur gussa shaant kariye (he hands him the water) aur aap yahan bathiye aur meri baat dhyaan se suniye , koi bhi ladki apni aur kisi ladke ki close photos kyun projecter par lagayegi vo bhi tab jab uski shaadi ho rahi ho
Karan : taaki vo mujhse shaadi kar sake ,aur Sammy jaise meri aankhon par parda tha na vo teri aankhon par bhi hai ki preeta bohot achi hai ek baar ko main yeh keh sakta hoon ki Sherlyn bohot achi hai lekin yeh kabhi nahi keh sakta ki preeta arora now preeta karan luthra achi hai
From the window preeta who was going to meet Mahesh listened them arguing because of her :(in mind) pehle tumhari aankhon par parda nahi tha karan ab tumhari aankhon par parda hai , mujhe nahi pata tum kuch samajh kyun nahi paa rahe ho yaa emotions mein beh rahe ho , tumhe yeh tak samajh nahi aaya ki Sherlyn ne keise tumhe hospital mein emotional blackmail karke mujhe jhootha thehra diya aur tumne uss par vishwas bhi karliya meri baat tak nahi sunni , I will never forgive , tumhari vajah se meri maa mujhse naaraz hai jo bhi vahan hall mein hua lekin tumhe toh vo bhi naatak lagega ab toh mujhe ye lagta hai ki ek din tum mujhe keh doge ki tum khud hee ek chalta phirta naatak ho sar se pair (leg) tak
(Chuckles bitterly and wipes her tears and leaves)Mahesh's room
Preeta : Mahesh uncle (holds his hand) uncle aap ko toh pata haina ki maine kuch nahi kiya toh aap uthkar please karan ko bataiye vo mujhe aapke accident ka aur Rishab jii ki shaadi ka gunegar maanta hai , aap toh mere dad jeise hain main aapka accident karne ka toh kabhi sapne mein bhi soch nahi sakti aur Rishab jii toh mere dost hain jinko kabhi kabhi main apna bada bhai maanti hoon main unki zindagi se keise khilvaad kar sakti hoon , karan mujhe unn cheezon ka zimmedar samajhta hai jo maine nahi kiya balki Sherlyn ne kiye hain aur aaj hall patani kesi karan aur meri pictures chalne lagi jiski vajah se hum dono ko shaadi karni padi aur uska bhi zimmedar karan mujhe samajhta hai (cryingly)
Screen freezes on her crying face
Sorry for a short one
Precap : letter ?
Words :733
- signing off
YOU ARE READING
But I don't want you |✔️
FanficC O M P L E T E D !! what if karan hates preeta & then both are forced to be married , will be on track of rishlyn (Rishab+Sherlyn) marriage but with many twists .......