Part 22

1.3K 74 27
                                    

Sai fired the gun. Virat shouted. She started laughing. She laughed out loud. Virat opened his eyes.

Sai : (while controlling laugh) kitna dar gaye tum, ye gun nakli thi, yahi nahi vo jo gundo ke paas thi saari nakli thi. Vo hume nakli guns se dara rahe the. Areee mele me to 20 rupaye me milti hai.

He was standing quietly and staring at her with no expressions.

Sai : kya hua? Tum itna dar gaye ki, bol bhi nahi paa rahe ab.

Virat : (angrily) How dare you? Tumhari himmat kaise hui mere sath aisa majaak karne ki.

Sai : Mai to bas.

Virat : chup, ekdam chup. Mai tumhe warn kar raha huu, mere sath aise majaak bilkul mat karna, warna muzse bura koi nhi.

She was terrified to see his angry incarnation. He started laughing to see her face.

Virat : apna chehra to dekho angrybird,  tum to scarybird ban gyi.

Sai : ye aisa majaak kon karta hai, kitna dar gyi mai.

Virat : tumhare majaak ke saamne to ye kuch bhi nahi tha.

Sai : muze aise majaak pasand nahi.

She  was going from there with full anger.

Virat : Arre angrybird, tumhe ghar pe drop karu kya?

Sai : No need.

Virat : ajeeb hai ye, mtlab ye majaak kar sakti hai aur mai nahi ye kaha ka nyay hai.

He sat in his car and went towards home.
Sai was walking on the road. She was engrossed in thinking.

Sai : samajhta kya hai apne aap ko, mere saath maajaak kiya.

One car came from front. That was going to hit her. Driver stopped the car at right time.

He came out from car.

Driver : Sorry mam.

Sai : nahi, mai thik huu.

Ninad was in the car. He came out from car.

Ninad : Arre beta, tum thik ho?

Sai : haa, mai thik huu.

Ninad : Driver, maine kitni baar kaha hai gadi dhyan se drive kiya karo.

Sai : uncle, it's OK. Actually meri galti hai, mera dhyan kahi aur tha.

Ninad : tumhe kahi drop kare?

Sai : Mai abhi ghar jaa rahi thi, zaroorat nhi hai. Mai chali jaaungi.

Ninad : Mai bhi ghar jaa raha huu, chalo tumhe drop kar deta huu.

Sai : pr

Ninad : pr vr kuch nhi, tumhare uncle ka order hai.

Sai : accha, thik hai.

They all sat in the car. Ninad sat in front. Sai sat in back seat. Ninad was looking tensed.

Sai : kya hua uncle koi problem hai?

Ninad : problem meri nahi hai.

Sai : phir?

Ninad : mere bete ke friend ke dad ki hai.

Sai : Aur aap unke liye tensed ho?

Ninad : haa.

Sai : kya problem hai? Shayad mai kuch help kar du.

Ninad : uski company ke manager ne uski absence me uski company khud ke naam kari hai. Pr manager ke paas saree documents papers fraud hai. Saaf saaf zoot bol raha hai manager.

Sai : to phir aap company ke owner ko boliye original documents us manager ko dikha de. Agar vo phir bhi na mane to uske against complaint kari jaa sakti hai. Aur unko apni company vapas mil jayegi.

Ninad : tum ye sab kaise jaanti hoo. Mtlab ye aisi sari baate to police ya phir lawyers karte hai.

Sai : haa, mai lawyer hi huu.

Ninad : sach! Waise kaafi intelligent ho tum, ye problem chutki me solve kar di.

Sai : mere paas to isse difficult cases aate hai. Ye to kuch bhi nahi tha.

She saw out of window.

Sai : uncle, mera ghar aagaya. Thank you so much for lift.

She went out of the car and went towards the house. Ninad went from there.

Sai rang door bell. Varsha opened the door. Nupur came there.

Nupur : kaha thi tu? Aur mera phone kyu kaata tune? Tuze pata hai mai kitna pareshan ho gyi thi tere liye.

Varsha : pehle use andar to aane de. Sai beta, andar aaja.

She came inside.

Nupur : ab bata.

Sai in mind : ( ise batana thik nahi hoga, faltu pareshan ho jayegi waise bhi 2 din baad engagement hai iski)

Nupur : bata na.

Sai : tuze bataya to tha.

Nupur in mind : (accha, to golu ko dhundne gyi thi)

Nupur : mil gaya?

Sai nodded in rejection.

Varsha : kya mila? Kya baate kar rahi ho tum dono?

Sai : aunty, hum to kuch bhi baate karte hai.

Varsha : Sai, tum khana khalo.

Sai : kaku, mai baad me khalungi.

She went from there.

Virat reached home and directly went towards his room. After sometime,  Ninad also came.

At Ashwini and Ninad's room,

Ninad : (Excitedly) Ashwini, aaj maine ladki dekhi

Ashwini : Aapko sharam nhi aati Ninad.  Is umar me aap ladkiyo ko dekh rahe ho.

Ninad : Aree waise nahi.

Ashwini : Phir kaise?

Ninad : Virat ke liye.

Ashwini : arre Virat se yaad aya, aapko pata hai aaj mai mandir gayi thi. Aur waha maine Virat ki kundali pandit ji ko dikhayi.

Ninad : kya kaha pandit ji ne?

Ashwini : yahi ke virat ke Nakshatra thik nhi hai, uski ek mahine me shadi kara do.

Ninad : Ashwini, ye sab pandit ulloo banate hai.

Ashwini : nhi, pr muze un pr vishvas hai.

Ninad : waise ek mahine me shadi ka idea bura nahi hai.

Ashwini : aree mai uski shadi kara dungi vo bhi Sai se.

Ninad : Arre mai aj jis ladki ko mila na, vo itni sundar, intelligent hai. Aur lawyer hai vo. Agar tum isse mili naa to Sai ko bhi bhul jaogi. Itni acchi ladki thi ye.

Ashwini : arre Samrat ki engagement me Mai apko Sai se milvaungi. Aap apne us lawyer ladki ko bhul jayenge. Itni sundar sushil sankari hai Sai. Waise us ladki ka naam kya hai?

Ninad : shitt, naam to maine puccha hi nahi.

Ashwini : Aap rehne do Sai se milo, yakin maniye aapko bhi pasand ayegi vo hai hi itni acchi.




















❣❤🤞YEH VAADA RAHA🤞❤❣Where stories live. Discover now