6: Challenge

97 7 2
                                    

In the morning Jay comes down to see everyone watching the news.

News: Huge landslides causes disruption in traffic... Roads closed for a week...

Jay: Kya hogaya

Dev: lagta hai humara stay lamba hogaya...

Jay (in his mind): mera khuda bhi mere saath hai...

Jay sees Lokhande watching from far and goes up to him

Jay: ek baat bolun... Aap mein aur mujhme koi farak nahi raha... Maine apne pyaar ke liye jhoot bola tha... Aap bhi ussi ke liye jhoot bolrahe...

Lokhande: kehna kya chahte ho?!

Jay: yehi ke main jaanta hun ke aapne Dev ko sach nahi bataya hua...

Lokhande leaves

Karan comes up to him and stops him.

Karan: Ma.. Mera matlab hai Lokhande ji... Main to kehraha hun Rumi ki shaadi tak ruk jaaye...

Lokhande: tum kon hote ho mujhe yeh bolne wale!?

Karan: aapka bhan... Mera Matlab aapka shubchintak... Aur waise bhi Dev aur Jay ki dosti bohat gehri hai. Jay aur PC uncle ke bohat ehsaan hai uspe... Woh unko kabhi na nahi bolega...

Lokhande: kehna kya chahte ho... Mujhe blackmail karrahe ho?!

Karan: nahi nahi, meri itni himmat aur aukaat kahaan... Main to aapko yeh ehsaas dilana chahta hun ke aapki lakh koshishon ke bawajud Jay Jaya alag nahi hosakte...

Lokhande: Tum...

Zoya interrupts them

Zoya: Karan, Rakhi maasi ka phone araha hai...

Karan: mom ko bolo ek minute

Lokhande: Rakhi?

Karan: meri MOM hain LOKHANDE ji.

Karan leaves to attend the call

Rakhi: beta tum sab theek to ho?!

Karan: haan mom humein kya hoga...

Prachi keeps hitting Karan to give her the phone to which he passes it to Prachi

Prachi: Maa aapko pata hai!! Humein kon mila!?

Rakhi: aisa kon milgaya??

Karan understand and snatches the phone

Karan: koi nahi maa

And he cuts the phone

Karan: Prachi kya karne lagi thi?! Hum mom ko Lokhande ji ki sachai nahi bata sakte...

Lokhande: aisa kya sach hai?!

Lokhande comes in shocking Prachi and Karan

Prachi: woh uncle...

Karan: yehi ke aap...

Zoya walks in

Zoya: humare mamaji hain

Lokhande's eyes widen

Arjun and Zara also walk in

Arjun: aur yeh baat hum aapni moms ko kabhi pata nahi lagne denge

Karan: aapki wajah se sirf aapki wajah se humari moms khush nahi reh payin. Unke paas sab kuch, pyaar, izzat, dolat sab hone ke bawajud khushi nahi reh payin. Kyun? Kyunki aap badkismati se unke bhai hain...

Lokhande: kehna kya chahte ho!

Zara: yehi ke hum jaante hain ke aap aapni behenon se kitna pyaar karte the.. lekin utna pyaar nahi karte the ke unki khushiyon ko samjhe...

Prachi: aur yehi cheez aap apni beti ke saath bhi karrahein hain...

Zoya: agar aap apni beti se sach mein pyaar karte to woh jisse bhi pyaar karti, aap usko khushi se apnate...

Karan: Jay ne jo in 4 saalon mein saha hai, uski jaga koi aur hota to sab kuch chor ke nayi zindagi shuru karleta.... Lekin Jay abhi tak Jaya ke intezaar mein tha... Kyunki uski mohabbat sachi hai...

Lokhande: bas! Tum logon ke gande khoon se aur kuch umeed rakh bhi nahi sakta main

Karan: yeh mat bhoolein ke humari ragon mein Lokhande parivaar ka khoon bhi hai.. isiliye jitne ziddi aap aur aapki beti hai usse kayi zyada humlog hain... Jay ke pyaar ko haarne nahi denge...

Jhanvi walks in with Preeta

Preeta: Kya horaha hai idhar...

Jhanvi: aaj mera birthday hai aur sab log apne mein hi busy hain😐

Karan (while looking at Lokhande): Jhan, tumhare baba ke liye kuch karrahe the hum... Umeed hai sab hojaye....

Jhanvi: oh wow! Baba ke liye surprise!

Arjun: aisa surprise ke jaise unki zindagi complete hojaye

The Truest LieWhere stories live. Discover now