9: Banter

77 2 11
                                    

Arjun: You are looking cute.

Rumi: Thank you hehe

Arjun: mujhe bhi boldo

Rumi: larke cute nahi hosakte

Kabeer: yeh kisne Kaha Tumhe? main cute nahi?

Zara: No.

Kabeer: Acha phir kyun Shaadi ki thi mujhse

Rumi: naseeb kharab tha bechari ke...

Rumi, Arjun and Zara burst out laughing leaving Kabeer speechless

Kabeer: agar yeh baat hai to I'm sorry Arjun, I thought you were very lucky lekin Rumi se Shaadi Karne se zyada unlucky Kuch nahi hosakta

Rumi: hawww bhai aapko sharam nahi aati

Kabeer: N-A-H-I

Zara: dikhraha hai

Ranbir: arey kyun bechare mere Bhai ke peeche pargaye ho saare

Kabeer: yeh! yeh! he is my real family. Tum logon pe to criminal bhi attack Karne se pehle hazaar Baar sochega

Prachi: Is Ranbir se behtar hi hain yeh log. Kabeer Bhai you are making a mistake

Zara: Dekha humari popularity. So dear husband 4 against 2.

Rumi: Waise aap log mujhe ek baat batayenge?

Kabeer: Kya?

Rumi: Jay Bhai itne ajeeb kyun behave karrahe? I mean jab Se main aayi hun and his friend Dev. don't you think something is wrong.

All of there faces clock 12.

Ranbir: arey Tum yeh sab Kya sochrahi... Kuch bhi to nahi hai... he is fine

Prachi: yeah what he said

Dhwani: calm down everyone he is completely ok.

on the other hand Aditya is still tensed when Lokhande notices him

Lokhande: sab theek hai?

Aditya: ji... haan... sab theek hai

Lokhande: koi masla hai to mujhe bata sakte ho... itna bura bhi nahi hun...

Aditya: choriye na Lokhande ji...

Lokhande: waise tumhara personal matter hai lekin jab main Zoya ko bulane aaya tha to Tum log Kissi raaz ki baat karrahe the...

Aditya: aaj Jo aapne jhanvi ke saath Kiya ussi baat se Zoya darr gayi hai...

Lokhande: lekin usko darne ki Kya zaroorat?

Aditya: Kuch baatein saamne Nazar nahi aati iska yeh Matlab nahi ke woh baatein exist nahi Karti.

Misha interrupts this talk and Aditya picks her up

Aditya: kabhi sochna ke mujhe us baat pe itna ghussa kyun aaya tha. Aapko aapka jawab miljayega.

Aditya leaves behind a confused Lokhande

Aditya: Yahan pe har kissi ko jasoos banna hai uff

Aditya says this in a rather cute irritated way.

Zoya comes in his way and is confused at his antics

Zoya: Aditya? Kya hua?

Aditya: kuch nahi waise hi

Zoya: Kya baat hai

Aditya: Zoya Tum sahi kehrahi thi. Yeh baat khulte zyada der nahi lagegi.

Zoya: Kuch hua hai kya

Aditya: Lokhande ji me Kal humari adhi baatein sunli thi

Zoya: ya Allah! ab?

Aditya: abhi to Maine unke dimag pe stop dala hai but I think before this gets out in the worst way possible, Humein khud hi sabko bata Dena chahiye.

Zoya: But...

Aditya: Zoya try and understand. agar yeh baat Kissi teesre bande ke haath lag gayi then it'll come out very negatively.

Zoya: Sahi baat hai...

Jay: koi zaroorat nahi hai.

Aditya: but Jay..

Jay: No Adi. yeh baat har haal mein negatively li jayegi. Tumhe Kya lagta hai Rumi waghera ko jab pata lagega to unko Tum logon pe shak nahi Hoga? ofcourse Hoga! because ek offender se zyada victim ko blame Kiya jaata hai in this world. I'm not saying ke kabhi na batao. lekin har baat Ka ek waqt hota hai ek jagah Hoti hai Jo Yahan is waqt nahi

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Sep 26, 2022 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

The Truest LieWhere stories live. Discover now