Moving to Delhi

231 15 2
                                    


Hanuman, Babita, Mini and Arya were sitting in the balcony discussing about Mini's Project.

Mini: Babes yaar, Tu itni tension kyun le rahi hai? Maine tujhe kaha naa sabh kuch sorted hai.

Babita: (while crying) Arre tension kaise naa lun? Mujhe dekhna padhega na kaise manage karegi tu sabh kuch. Roz Roz TV par dekhte toh hai hum. Kaise kaise cases aate hain. Mini tu naa please apna dhyan rakhna🥺

Mini: Babes yaar, What is this? Baat baat par emotional ho jati hai tu. Tujhe mere upar trust nahi hai kya?

Hanuman: Arre chori tu samajh naa rahi. Dekh mhare ko aur thari mummy ko dekhna padhega ki tu kaise manage karegi sabh kuch. Thara khana-peena, safety sabh kuch. Khane- Peene ka dekhna bohut zaroori hai kyunki naa hi tu jaldi uthti hai aur naa hi tane khana banana aawe hai(😆). Kyun ji? 

Babita: Haan Bilkul

Mini: Arre aap log pehle meri baat toh sun lo. Main Delhi jaa rhi hun, Delhi okay? Kisi aisi waisi jagah nahi jaa rhi. Kal raat ko meine apni needs ke hisab se research wagera ki thi. Usme mujhe ek Restaurant + Catering Place mila hai. Uspar sabse zyada reviews hai. Mai uss mein hi dekh lungi.

Hanuman: Khane ka toh badiya hai phir. Thare Khane- peene ki koi tension nahi.

Babita: Khane kaa theek hai Mini par tu naa kisi se zyada baat mat karna. Aur dekh jab tu apni boss se milegi naa mujhe call karke sabh kuch batana uske bare mein.

Mini: Okay fine.

Babita: Mini tu please apna dhyan rakhna.

And before Mini could say something...

Arya: Mumma aap tension mat lo. Mujhe pata hai ki agar koi Veer Balika ko tang Karega naa toh voh usko Karate se maregi. Haina Veer Balika, Bolo Bolo?

Mini: Yes babes, she is right. Tu tension mat le.

Babita: Chal theek hai, lekin mai tujhe roz call karungi aur tujhe naa humein sabh kuch batana padega ki tera din kaisa gaya.

Mini: Haan pakka promise.

At night, Mini and Arya were sitting in their room. Mini was packing her clothes.

Mini: Finally yaar, Babes maan gayi... Mai sach mein iss project ke liye bohut zyada excited hun.

Arya: Mumma meri wajah se maani hai. Maine mumma ko bola tab vo maani 😌

Mini: Haan toh kya maine tumhe bola tha ki mujhe support karo, meri help karo. Main bhi maana hi leti Babes ko.

Arya: Nahi mana paati... Mumma kaahan man rahi thi tumhari baat?

Mini: Whatever

Arya: Chalo Chalo Jaldi se packing karo, kal subah jana hai naa tumhe?

Mini: Pata hai, Dadi Amma.

The next morning Mini left for Delhi.

Shaame malang si
Raatein surang si
Baaghi udaan pe hi na jaane kyun
Ilahi mera jee aaye aaye
Ilahi mera jee aaye aaye

Kal pe sawaal hai, jeena filhaal hai
Khaanabadoshiyon pe hi jaane kyun
Ilahi mera jee aaye aaye
Ilahi mera jee aaye aaye

Mera falsafaa kandhe pe mera basta
Chala main jahaan le chala mujhe rasta
Boondon pe nahin
Gehre samandar pe woh

Ilahi mera jee aaye aaye

Ilahi mera jee aaye aaye 

After reaching there, she called Babita and told her about her room and her Landlady.

Mini: Haan, babes Mrs. Hooda is really very nice. Sirf 3 mahino ki hi toh baat hai, Woh haar mahine ke end mein mujhse rent le lengi

Babita: Chal theek hai Mini apna dhyan rakhna... Bye

Mini entered her room.

Mini: Oh my Goodness, Matarani yeh kaisa kamra hai? 😲 Kitna ganda hai... Chal Mini lag jaa kaam pe.

She cleaned the whole room and was obviously very tired. So, she slept.

The next morning she woke up.

Mini: Oh my God! 11 baj gaye😲 Kitna so gyi main? Mujhe toh 10:30 par pahunchna tha

She got ready and left.

Mini: Oh my God 11:30? Ek toh yaar yeh auto bhi nahi mil raha. Mein paidal hi chali jati hun

She was running as she was already very late. As she came near the Oberoi House...

To Be Continued

Stay tuned

The Journey of Acceptance and LoveWhere stories live. Discover now