Relatives

161 12 1
                                    

The next day when Neil came to Mini's house she was talking to somebody at phone looking very angry.

Mini: (on the call) Yes yaar! I hate her..... I don't understand ki relatives ko har cheez mein interfere kyun karna hota hai..... Thank you yaar Chhutanki tumne bata diya mujhe..... Bye.

Neil: Kya hua?

Mini: Relatives kitne gande hote hai naa... Irritating, ajeeb se

Neil: 🤭

Mini: Tumhe hassi aa rahi hai? I am serious.

Neil: Okay.... Bolo

Mini: Yaar yahan par aane ke liye maine itni mushkil se babes ko manaya tha and Saroj mami ne bas............ I hate her. You don't know unhone kya kiya..... Abhi call aaya tha mujhe Chuttanki ka and she said ki Saroj Mami ghar pe aayi aur unhone Babes ko bola ki ladkiyon ka akele jana safe nahi hota and all. Karate isliye toh seekhe the maine, had hoti hai matlab. Ab babes faltu mein tension karne lag jayegi. Mere sarre relatives itne stupid aur irritating hai.

Neil: I know right, Jab mushkil ka time hota hai tab sabh gayab ho jate hai aur jab hum koi new cheez start karte hai tab aa jate hai taki unhe kuch material mile aur woh uski gossip bana sakein.

Mini: Yes!

After the cooking session of the day.

Mini: Tumhare relatives bhi aise hai kya? Gande aur ajeeb....

Neil: You can say that, because mere pas apne relatives ke liye words nahi hai.....There was a time jab mujhe apne relatives ache lagte the.... Lekin dhere dhere sabh kuch samajh aata rehta hai. When you need support, every single person is against you.

Mini: Duniya aisi hi hoti hai.... nothing new in that

Neil: Mere father ki ek bahut badi company thi. And jab unka accident hua tab mere relatives ne kabhi mere paas aakar yeh nahi kaha ki it's okay, hum hai tumhare paas... Infact unki nazre unki company par thi lekin, will mein unhone mera naam likha tha so. That day I realized ki kaise apne paraye ban jaate hai aur paraye apne.

Mini could not say anything.

Neil: So, chalo kafi late ho raha hai...... Bye.....

Mini: Bye

At night in Neil's house. Neil was getting those dreadful flashbacks of the time of his father's death.

Flashback:

Neil's Chacha: (to Neil's Mom) Yeh sabh kuch aapki wajah se hua hai..... Ab pata nahi na ki Bhai ki itni badi company hai, koi dushman wagera toh hoga hi unka. Ho sakta hai naa kisi dushman ne hi maar diya ho unko. (Don't Worry, He is stupid.... Nothing like that) Acha bhala unko job mil rahi thi ki aapne startup ki baat ched di. 

Neil: Chacha ji! Aap mujhse bade hai, mai apki bahut respect bhi karta hun but you can't talk like that....

Neil's Mami: (to Neil) Lekin yeh sach keh rahe hai... Abh itni badi company hai ek do dushman toh honge hi naa... Mai toh kehti hun yeh company naa tu bech de Neil nahi toh kabhi pata chala unki company ke dushman tere peeche padh gaye toh? Dekh mujhe bhi pata hai ki yaddein toh judi hi hoti hai toh tu ek kaam kar naa apne Mama ko hi bech de.........

Neil looked at her with anger in his eyes.

Neil's Mama: Haan haan Neil... Agar tu yeh company mujhe bechega naa toh mai toh pata bhi nikal lunga ki konsa dushman tha... agar aisa kuch hai toh..... Dekh hame na teri fikr hai... Ab didi ke paas bhi toh tu hi hai na aur agar unka koi dushman tere peeche padh gaya toh bas......

Neil's Masi: Haan Neil, Waise tujhe toh pata hi hai naa ki kisi valuable cheez ki rakhwali karni mujhe family mein sabse zyada aati hai..... Tere liye aur sabke liye yahi best rahega ki tu yeh company mujhe bech de.

Flashback Ends

On the other side Mini was talking to Babita.

Mini: Babes, Dekh it's alright.... Saroj Mami ne news wagera mein dekh liya hoga naa yeh sabh............ I totally agree ki hoti hai aisi cheezein.

Babita: Mini.... Mujhe naa teri bahut fikr ho rahi hai.... tu please dhyaan rakh apna aur ho sake toh jaldi aa ja yahaan.

Mini: Babes yaar! I am a karate black belt.... Don't take tension please.......... Ek baar Arya se baat karwa de....

Babita: Haan ek minute......

Arya: Haan Bolo!

Mini: Woh.....

Arya: Jaldi bolo! 

Mini: Tum bolne dogi tabhi toh bolungi naa

Arya: Acha theek hai...... Batao kya baat karni hai?

Mini: Tum Babes ko convince karne ki koshish karo.......

Arya: Mai subah se wohi soch rahi hun ki kaise convince karun mumma ko.......

Mini: Acha? Kya baat hai!

Arya: Mujhe pata hai ki yeh tumhara Dream hai isliye mai mumma ko convince karna chahti hun........ Mai chahti hun ki tum aaram se apna dream follow karo........ Tum dekhna, Mai aaj hi Mumma ko convince kar lungi.

Mini: Thank you yaar Chuttanki..... I miss you...

Arya: I miss you too.... Bye!

Mini: Bye

Which relative of Neil was the most irritating? Comment Down.

TBC

Stay Tuned



The Journey of Acceptance and LoveWhere stories live. Discover now