Five days later...
Pragati was waiting for Raghbir in a park...After sometime he came there..
Raghbir - Sorry baby I'm late..
Pragati - Kaha reh gye the.. Mai kabse wait kar rahi thi..
Raghbir - Sorry bba.. Aree friends ke saath tha..
Pragati - Friends ke hi sath raho din bhar..
Raghbir - Sorry.. Aree office ka kaam kar kar ke itna thak gya tha.. Isiliye thoda refresh hone ke liye chala gaya..
Pragati - Mujhe yaha bula kar!
Raghbir - Ab tum chalogi bhi ya sirf gussa hogi?
Pragati - Chalo... waise ek minute.. Sorry..
Raghbir - Sorry kyu?!
Pragati - Vo.. Zyada react kardiya maine..
Raghbir - Chalo yaar.. Koi nahi..
Raghbir sat in the front on the bike and Pragati sat behind him hugging him..
Raghbir - Chale?
Pragati - Jii haa..
They went to Preeran's house..
Both the couple were having lunch together...Pragati - Pree tumlog honeymoon ke liye kaha jaa rahe ho?
Karan - Mandir! Ye kaisi sanskaari behen paal ke rakhi hai tumne Pragati!
Yaar bolti hai itni kya harbari hai araam se jaayenge naaPragati - Haa bilkul hi romantic nahi hai ye! Kabhi seekhti hi nahi hai mujhse kuch! Maine abhi se apna poora honeymoon trip plan karliya hai!
Preeta - Haa tu baithi hi velli hai par mere paas kaam hai aur bhi duniya bhar ke!
Karan - Use kuch bolo mat balki seekho usse.. Sach mein Raghbir kabhi kabhi mujhe teri kismat se bohot jalan hoti hai.. Shaadi ki baat hui nahi ye madam honeymoon tak pahuch gayi hai..
Raghbir - Overexcited (chuckling)
After they had their dinner...
Karan and Raghbir were sitting in the drawing room whereas Preeta Pragati went to Preeran's room...
Raghbir - Mujhe tujhse kuch bolna hai!
Karan - Kya hogya?
Raghbir - I'm planning to go to London.. kuch time ke liye..
Karan - Sahi hai.. Kis khushi mein waise .
Raghbir - dekh ek industry toh udhar bhi set up karna hi hai.. So mai sich rha hu vo bhi kar hi leta hu!
Karan - But usme toh bohot time lagega yaar..
Raghbir - 2 saal..
Karan - Haa itna toh lag hi jaayega.. Kab jaane ka plan hai?
Raghbir - Agle hafte..
Karan - What? Abey tu pagal hai kya.. Maine expect kiya tha ek do mahine baad..
Raghbir - Nahi yaar next week..
Karan - Mujhe ek baat bata.. Tu kyu jaana chahta hai London?
Raghbir - Bola toh..
Karan - Sach bol!
Raghbir - Abey yaar mujhe na thoda inn family dramo se door jaana hai.. U know shaadi! Mom dad phone karke shaadi shaadi shaadi.. Tujhse baat karo toh shaadi aur Pragati ne toh bacchi tak ke naam soch liye hai yaar! Nahi karni mujhe abhi shaadi.. U know very well Pragati mujhse pyaar karti thi isiliye maine use haa bola tha taaki uska dil na toote aur phir dheere dheere mere andar bhi feelings jaag gayi uske liye.. Mai ye nahi bol rha ki mai bhaag raha hu.. But I need time.. Vo poori wife material hai but mai husband material nahi hu atleast abhi.
YOU ARE READING
Ek mai aur Ekk tu ✔
RomanceFalling in love was not really a choice, it just stuck me ❤️🤞