Confronting her

182 36 16
                                    

Raghbir - Kya bolra Karan tu..

Karan - (,to Pragati) I understand Pragati tumhara point of view bilkul Sahi hai.. Dekho jo bhi decision lene hai tumhe lena hai.. So decide and hume bata do! We'll be with you..

Pragati - Maine decision le liya hai!

Preeta - Aur tu Raghbir ko kya bolegi..

Pragati - Jab tak Raghbir ayega tab tak toh kuch soch hi lungi mai. tab tak do baar shaadi ho jaayegi meri!

Karan - Pragati ye mazaak nahi hai..

Pragati - I know Karan.. Mai nahi jaanti mai kya bolungi . par kuch toh bol dungi.. Kuch toh reason de dungi.. Mai usse baandhna nahi chahti..

Karan - Fine.. Raghbir se bola .??

Pragati - Abhi nahi.. Ek baar sab tay ho jaaye.. Phir bolungi.. Please Aaplog v mat batana please..

Karan - Okay.. Babydoll mai aata hu zaraa kaam hai mujhe..

Karan leaves and goes outside..

Raghbir - Hata waha se?

Karan - Haa..

Raghbir - Dagabaaz.. Dhokhebaaz.. Tu Pragati ka saath de raha hai.. Aur vo kya kuch bhi bole jaa rahi hai?!

Karan - Dekh bhai.. Bol toh vo sahi hi rahi hai.. Tu hi chahta tha na bold bane vo? Dekh liya na ban gayi bold.. Aaj se nahi pichle bohot dino se.. Kaam, office pdhai oh god kya kya nahi karri vo.. Friends ko bilkul hi chhor diya hai.. Hmesha busy rehti hai, aur bas Preeta se roz baat hoti hai uski.. Pta hai abhi tak 5 baar mujhe movie ke liye reject kar chuki hai..

Raghbir - Ise bold hona nahi bolte! Aur tune mujhe bataya kyu nahi?

Karan - Kyuki mai chahta tha tu khud dekh le. And I know ise bold hona nahi kehte but u know aisa uska nature nahi hai.. Toh use lagta hai ki work oriented ho jaane se insaan bold and mature lagta hai. Vo poora pretend karti hai ki vo bohot mature ho gayi hai. Bohot zyada hi change ho gayi hai Pragati. Just because use aisa lagta hai tujhe uska vo wala character accha nahi lagta tha irritating lagta tha..

Raghbir - Yaar tum use samjha toh sakte the na ki ye sab karne se insaan bold nahi ho jaata..

Karan - Mujhe samajh nahi aata tujhe vo aisi chahiye kyu? Listen, zaroori nahi har insaan mature dikhe hi. Agar vo relationships ko samajhti hai toh vo already bohot zyada mature hai. Tujhe phir v jo chahiye jo karna hai karo. Mai ab nahi samajhna chahta ye sab. What I know ki tum dono hi apni apni jagah pe sahi and galat ho. Pragati ko ye samajhna chahiye ki agar tum dono relationship mein ho toh marriage is not a big deal. And tumhe ye samajhna chahiye ki agar tum dono relationship mein ho toh ise ek naam de dene se kya dikkat hai?

Raghbir - Yaar baat vo nahi hai.. Dekh mujhe bhi nahi pta kya drama karra hu mai, kyu drama karra hu mai.. Tu ek kaam kar sakta hai? Mere liye kal ki flight book kar! Aur kisi ko batana mat.

Karan - Fine..(cuts call) Sab aake bolke jaao kisi ko batana mat. Itna hi kaam bach gaya hai mera!

2 days later..
Pragati was in her room..

Pragati - Dad ko kaise bolu! I don't want to wait! I just want to leave this place as soon as possible.! But Raghbir ko pta chala toh use kitna bura lagega.. Kya karu mai?! Ek kaam karti hu.. Yaha se chali jaati hu and then sabko request karke bol dungi ki Raghbir ko bol de maine shaadi karli.. Lekin mai uske bina kaise rahungi! Rehna prega Pragati.. Jaise abhi tak rahi waise hi rehna prega! Control karna hoga use dekh ke..
Haa! Kal hi dad mom jab wapas aayenge tab hi bolungi!

Suddenely she heard the balcony door opening.. She turned back and saw Raghbir getting in..

Pragati was shocked to see him after 8 months.. She literally jumped in happiness and without saying anything, ran and hugged him very tightly...

Raghbir - (hugging her back and lifting her up from the ground a little bit) Kaisa laga mera surprise?!!

Pragati - (sobbing happily) Bohot accha! (Realized something and broke the hug) Par tum achanak se yaha?

Raghbir - Haa mai toh yaha specially tumhaare liye aaya..

Pragati - Mere liye?

Raghbir - Tumhe congratulate karne.. I know you are getting married.. Toh mera congrats toh banta hai naa..

Pragati - (shocked) I'm..not..

Raghbir - (happily) Aree nahi nahi don't worry I know everything.. Uss din jab tumne unhe bataya naa.. Tab mai Karan se hi baat kar rha tha.. All of a sudden tumne itni badi good news de di.

Pragati - (controlling her tears) Yes.. I'm getting married!

Raghbir - Waoo.. Kiske saath? Aree tumne abhi tak ladka nahi khoja na? Let me help you out.. Mai apni girlfriend ke liye dulha dhoondh deta hu..

Pragati - (turns back) Maine.. Jaan bujh ke nahi kiya!

Raghbir - (clapping) Jaan bujh kar nahi kiya? You know what.. I'm very happy.. I mean jo ladki pehle mujhe din bhar call karte rehti thi, na milne pe itna gussa karti thi, subah ko jab tak use good morning na boldo vo naashta nahi karegi.. Wahi ladki itni asaani se mujhe chhor ke move on karne ko ready hai..

Pragati - Koi asaani se move on nahi kar rahi mai!

Raghbir - But move on toh kar rahi ho na?

Pragati - (finally breaking down) Haa.. Kyuki mai nahi chahti zabardasti tumhe relation mein bandh kar rakhna. Mujhe pata hai tum kya sochte ho kya feel karte ho, kyuki mai bhi ab vo soch sakti hu! Mai na pagal thi jo zabardasti ka tumhe bina tumhari feelings jaane propose kiya! Tumne sirf mera dil rakhne ke liye haa kaha.. Aur abhi tak sirf mujhe bardasht kar rahe ho! I know I am not your type! Mai na aisi hu jo bohot jaldi kisi ko bhi irritate kar sakti hai! aur mai tumhe karti v hu! Isiliye tum London v gaye! Aur isiliye mai ab tumhari life se door Chali jaana chahti hu! Taaki tum apni life araam se enjoy karke jee sako! That's it!

End for today!

Ek mai aur Ekk tu ✔Where stories live. Discover now