Chapter Eight

445 24 1
                                    

Raat ke har ek peher pe bondita sirf apni karwatein badal rahi thi ,. Kese ajati usy neend , kese sojati wo yeh janty hoye ke aj wo anirudh ke samne hokar bhi ussy itni door thi , wo khud nahi janti thi ke kya kiya usny or kyun kiya yeh sab , wo chahti thi ke wo unhei batayein ke wo bondita hai , wo miley unse , gale lage unky , or bohut roye , itne saal itny door wo kese rahi hai  yeh bus wo hi janti thi or koi nai...

Lekin shayed us wadey ny usy rokliya jo usnein khud se kiya tha , kiya tha us din jab anirudh usi hostel mein chorkar gya tha , is bharosy ky sath ky wo apny dil or jan se mehnat karegi .. or jab Barrister banjayegi , to wo degree apny sakha babu ky hath mein degi or btayegi unhein ky apny khwab ko sach kardiya usney ..

Jhoot to nahi bolna chahti thi wo anirudh se , lekin yeh zarur chahta tha uska mann ke jab wo miley aniridh se to usky hath mei wo degree ho , usky sir pe wo graduation ki cap ho .. usky naam mein wo izzat ho , Barrister ho wo ..

Or yeh sab hony mein abhi waqt tha , wo raat bhar bus yehi sochrhi thi ky anirudh yaqeenan kuch dino ky liye hi yahan aya hoga ya hosakta h sirf conference ly liye aya ho or chala jaye subah , agar esa hoga to asaani hojayegi usky ky liye ..

Bondita ki ankhein to band nahi hoi , lekin waqt ke guzarte suraj ny apni ankhein khol li thi , asmaan mei ek nami si thi , shayed barish hony ka andesha tha .. suraj ki kirnein nachti hoi jab bondita ki ankho per pari , ehsas hoa usy ke raat nikal gyi hai , din charh gaya hai or uski sath hi chari hai wk umeed , shayed jany se pehly ek bar dekh paye wo anirudh ko ..

Is umeed ky sath sath ek pareshani bhi thi , wo. 2 log jinse pichly 5 saalon mein shayed hi kabhi haal chal ki khabar li ho , aj zindagi ki us sachai ke bare mei batana parega , jisko aj tak bondita ne dil mei daba kar rakha , na apni baton mei jhalakne diya na apni ankhon mei , logon ne uski ankhon ke peeche ke khali pan ko dekha zarur , lekin kabhi jann nahi paye ke iski wajah kya hai ..

Or aj usky ek jhoot ki wajah se , usy un do logon ko sachai batani paregi jinky bare mei kabhi bondita ne socha bhi nahi tha ..

Bondita yehi sochrhi thi or ek dum se hans pari , jese khud per hi hans rahi ho , ke jo kisi ke sath nahi hota bondita ke sath hojata hai. Wo apne bistar se uthkar , sheeshay ke samne gyi , or apne ap ko dekhti rhi , aj ek alag hi chamak thi uski ankhon mei ho bhi kun na , apne barriater babu se jo mili thi wo ..

Usny apna track suit pehna or apni pani ki bottle utha kar , guest house ke garden mei jane ke liye ready hogayi , shoes pehen hi rahi thi ke itny mei seema ki ankh khuli ,

"Kahan jarahi ho subah subah" seema ne apni ankhein mali or bht hi sote hoye lehje mei pucha ..

Bondita usko dekh ke hans pari ,," chand pe "

Seema ne karwat badli or kaha " jaldi ana " or keh ke phir sogayi. Bondita yeh sunky hansne lagi , "pagal ladki"

Bondita Apne shoes ki laces bandh kar khari hoi , or apne chehre pe muskurahat liye usny apne room ka darwaza khola .. ab isy coincidence kaheinge ya destiny , je us hi moment mei samne waly room ka bhi darwaza khula , or us room se bahar ane wala or koi nahi Anirudh hi tha ..

Bondita ki to sansein hi ruk gayi , kal to logon ke samne control karliya usne khud pe , lekin  aj kese karegi ..

Anirudh ko bhi ek ajib si bechaini feel hoi , bondita ko dekh ke , lekin wo yeh to nahi janta tha ke jisy wo apni ankho je samne dekh rha hai wo hi usky jeene ki wajah hai , halanke uska dil usy kuch to kehrha tha is ladki ke bare mei ..

Anirudh ne ek smile pass ki , "kesi hain ap miss Das" uski awaz sunke jese bondita hosh mei ayi ho , usny ek dum se nazrein neeche ki " mein ?" Usny ek dum se kaha jese ghabra gayi ho wo ..

Barrister Babu Bondita 💖Where stories live. Discover now