Chapter Six

551 27 1
                                    

Kuch der ki clapping ke bad sab bethgaye , lekin bondita abhi bhi khari thi ,anirudh ka attention phir usi per gaya , is bar usy ek ajib si hansi agayi .. anirudh ko is baat ki herani bhi horahi thi , ke itni young ladkiyan conference mei mujood thi , lekinn usny socha shayd kisi ki family member hon ..

Seema ne bondita ko dekha or usko kheench ke neeche bithadiye .. "kya hogaya hai bondita , tum thik to ho , sab dekhrhy hain tumhei " usny whisper kiya bondita ke kan mei , hassan bhi awkwardly hasne laga or sabko dekh ke nodd karne laga ...

"Kuch nahi , sorry " halke se keh kar bondita apni seat pe settle hogayi , lekin uski ankhein nam thi , or kisi bhi waqt uske ansoo uske chehre pe girne waly thy ...

"Namashkar , mein bht abhari hun , ap sab ka , a sabne itni izzat itna samman diya mujhy " anirudh ne bolna shroo kiya ..

"Mein washroom jake ati hun " bondita ne halke se kaha ..

"Mein sath chalun ?" Seema ne pucha "nahi mein ati hun " yeh keh kar bondita jhat se uth kar hall ke end ki taraf gayi or us deewar ke peeche chup gayi jahan se usy koi dekh nahi pata , lekin wo dekh pa rahi thi ek khirki se stage ko or sun pa rahi thi anirudh ko

"Meim janta hun , ke agar kahaniyon mei suna jaye to mera yeh safar bht mahan or kathin lagta hai " anirudh ne age kaha " lekin yeh safar mera shroo hoa tha ek chote se qadam se , ek masoom ki zindagi se , ek masoom se rishte se " anirudh muskuraya , or yeh sunte hi bondita ne apni ankho mei jo ansoo rok rakhy thy akhir kar gir hi gaye usky chehre pe ...

"Mein nahi janta tha ke mein apne is fitoor ko le kar kahan jaunga , or shayd kahin ja bhi nahi pata , mere ghar walon ne tak mera sath chor diya tha " anirudh ne ek second ke liye neeche dekha

"Per us waqt mera sath dene ke liye mere pass esa sathi tha , jo shayd kehne ko na haq ke bare mei kuch janta tha , or na haq cheen ne ke bare mei .. lekin kabhi bhi us ek insaan ne mere sath nahi chora , or shayd sirf usky liye meine apne fitoor ko apna laksh banaliya " anirudh halky se hasna or uski ankho mei ansoo agaye ..

Bondita ke ankho se to jese ansoo ruk hi nahi rahy thy , yeh wo lamha tha shayd jisky liye usny socha tha or intezaar karna parega usy , wo chup gayi thi barrister babu se , kahin agar wo abhi usy yahan dekhlete , to shayd apne dil ki bat ma keh pate , nahi sun pati bondita ke apni zindagi ka itna ehem hissa samjhte hain wo usy. , Apni kamiyabi ka hissa samjhte hain usy.

"Wesa hi mazboot or pakka sathi mein banna chahta hun un sab aurton ke liye jinke haq unse cheena jata hai , jinka haq unhe bataya tak nahi jata is samaj mei , mein chahta hun ke aurtein , har lehaz se apne kiye faisla karsakein , parh likh kar , hamari tarah barrister , doctor , engineers bansakein " anirudh ke chehre per ek gaurav si smile ati hai , bondita ke bare mei sochke

"Mein chahunga ke ap sab jinhone mujhy mere efforts ke liye sammanit kiya hai. Jab bhi hosaky jese bhi hosaky mere is laksh mei mere sath judein , is badlav ko shroo karein , apki zindagi mein jo aurtein hain unhein unky haq adhikar batayein , or unhy age badhne ka hausla dein .."

Bondita ko agar koi is waqt dekhleta to shayd pareshaan hojata , wo bus roye ho chaly jarahi thi apne barrister babu ki awaz sunte sunte ..

"Thankyou so much , everyone " Anirudh yeh bolkar peeche hata , or cheif guests ne usy flower bouquet present kiya or tasweerein khinchne lagi..

Seema ko bondita ka khayal aya or wo usy lene ke liye darwaze ki taraf bari

Bondita ne ate hoye dekha seema ko ,. Or jaldi se apne ansoo saaf kiye , or apne apko samjhaya ke bondita agar barrister babu ne usy ese dekhliya to unhein kitna bura lagega , usny apni ankhein band ki or yad kiye wo sare pal jab anirudh ne himmat di thi bondita ko har chiz se ladne ki , har dard ko sehne ki.

Barrister Babu Bondita 💖Where stories live. Discover now