Chapter 14

2.6K 350 43
                                    

Hi guy!! I know I am delaying the updates but I was just busy with all school stuffs. I haven't officially passed 12th till now.

HERE WE GO.......

Third person's POV:

"Suno!!! Kal roke ki shopping per jana hai. List bana lete hai ki sidharth ki family ko kya kya gift dene hai." Shehnaaz's mom said.

"Haan!!! Main bhi yahi soch raha tha." Shehnaaz's dad replied.

"Main kehe rahi thi ki sidharth ke liye gold chain lene se aacha hai ki jo gold chain aur locket Shehnaaz ki dadi ne diya tha aapko aur vo chahti thi vo apne pote ko de vo, hum sidharth ko de dete hai. Akhir hai toh vo bhi humare bete jaisa hi. Usse aachi chain aaj kal mil bhi nhi sakti."

"Sahi kehe rahi ho tum. Vo toh kaafi achi chain hai. Thik hai fir."

"Guptaji ke liye gold chain hi lete hai. Aur vishakhaji ke liye gold ka set lelugi acha sa."

"Srishti ke liye bhi gold ka set le lena. Akaash keliye gold ki chain. Arre Haan, aur riya ke liye earrings le lena."

"Ji ji thik hai."

"Aur Haan mera dost rampal haina uska kaafi aacha banquet hall hai...."

Tring Tring Tring.....

"Hello" Shehnaaz's mom picked up the phone.

"Hello Amrita! This is vishakha" Sidharth's mom replied.

"Namaste!!!"

"Namaste!! Vo maine isliye phone kiya tha kyuki main kehe rahi thi ki aaj kal ke fashion ka toh hume pata nhi, toh roke ki dress ki shopping ke liye Sidharth aur Shehnaaz ko saath bhej dete hai. Srishti bhi help ker degi dono ki."

"Ji ji, hum log bhi abhi roke ki baate hi ker rahe the. Apni roke ki dress bache kudh hi select ker lenge. Acha!! Aap yeh bataiye ki roke per aapki side se kitne log hoge. Hotel ussi ke hisaab se book kerege."

"Ji! Humari taraf se roke me bus 60-70 log hoge."

"Ji ji!! Humari taraf se bhi lag bhag itne hi log honge. Acha!! Aap yeh bataiye ki roke ki teyyari kese kese kerni hai? Aapke yaha kya kya hota hai?"

"Ji! Hume koi dikat nhi hai jaisa aap chahe vese ker sakte hai. Humari aesi koi demand nhi hai. Haan per Srishti ki saari ceremony humne 5 star hotel me ki thi. Ab sidharth bhi humara ek lota beta hai. Toh yahi hai ki koi kasar na rahe jaaye."

"Ji ji!!! Shehnaaz bhi humari ek loti aulad hai. Humara sab kuch ussi ka toh hai."

"Srishti ke sabhi sasural walo ko humne gold hi diya tha. Vo Sharma Hotels haina, us time ka 5 star hotel tha. Waha kiya tha roka uska. Srishti jo hai na vo gold nhi pehenti, toh humne toh saare occasions per usko diamond hi pehenaya tha. Baaki aap dekhle humari taraf se koi pressure aur demands nhi hai."

"Ji ji. Chaliye fir. Main inse baat kerke aapko hotels ke baare me batati hu."

Shehnaaz's mom cuts the call.

"Batao, kya kehe rahi hai vishakha ji?" Shehnaaz's dad asked.

"Vo 60-70 log hai roke per aur itne hi humare honge."

"Chalo thik hai. aur?"

"Ji! Unki expectations thodi zyaada hai jitna humne socha tha. Vo chahte hai ki saare functions 5 star hotel me ho. Dekho directly toh kuch nhi bola unhone par unki baato se paata chal raha tha. Aur Srishti toh gold pehenti nhi hai, fir toh diamond ka kuch dena hoga kyuki usse kam toh hum jaa hi nhi sakte. Aur agar Srishti ko diamond ka kuch denge toh Vishakha ji ko bhi diamond hi dena hoga."

ARRANGED MARRIAGE 1313 (On Hold)Where stories live. Discover now