1-Aaj phir wo mujhe yaad aaya behad,
Phir usne anjane me mujhe sataya behad,
Jiske tasawwur se hi khil jati thi labon pe tabassum,
Aaj uski yaad ne humein rulaya behad,
Kabhi ek wakt tha humein mahfil-e-raunak pasand thi
Ab ye tanhai ye wiranapan
Humein teri yaad ki tarah raas aaya behad....
(Tabassum---smile)
2-Ab ye ahsaas hua ki wo mera nahi hai,
Uski aankho me jo kabhi dikha tha mujhe
Wo jazba shayad sacha nahi hai,
Main uski thi,uski hun,uski rahungi
Lekin use apna kahna achha nahi hai,
Ab to wo dhadkan ban gaya hai meri
warna mehman koi to dil mein musalsal rahta nahi hai,
Usne agar uthaye hain kuchh kadam mazbuti se
To mera bhi faisla shikasta nahi hai,
Har cheez bikti hai sare bazaar ab to
Ek pyar hi hai jo bikta nahi hai,
Teri izzat ke khayal se jhuka li hum ne jabien
Warna ye sar kisi ke aage jhukta nahi hai....
(Musalsal---continue/Jabien---forehead)