Sherlyn- ham bhi tumhari behen se chutkara hi chahte hai...in fact karan use divorce bhi de rha hai...aur jo tumhari behen ki demands hai na vo toh kabhi puri nahi hogi
Shrishti shouts- meri di koi demands nahi kar sakti...pragya di main yahi jaan ne yaha aai thi ki preeta di ne us notice me kya likha hai...sach
Pragya calmly- toh mujhse puch leti shrishti...yaha kyo aai
Everyone are shocked hearing her.
Sherlyn- dekh liya aap sab ne pragya ko ye notice ke baare me pata tha matlab sab aroras ko pata tha...aur ye shrishti yaha jasoosi ke liye hi aai thi
Shrishti in shock- di aapko pata tha notice ke baare me
Pragya- haa mujhe pata tha
Shrishti- lekin kaise...preeta di ne toh kisi ko nahi bataya tha toh aapko kaise pata chala
Pragya- kyoki ye notice maine bheja hai preeta ne nahi
Everyone are shocked.
Rishabh- what...matlab ye notice preeta ji ne nahi aapne bheja lekin kyo
Pragya- kyoki main chahti hu ki meri behen is dhoke ke rishte se aazad ho
Sherlyn- uske liye tumhe ye demands karne ki zaroorat kyo pad gayi...karan aise bhi preeta ko divorce de deta
Rishabh sternly- one second sherlyn...main baat kar rha hu na pragya ji se...do not interfere
Pragya sarcastically to sherlyn- bhagwan ne jitni acchi shakal di hai na kaash utna hi accha dimaag bhi diya hota
Sherlyn glares her.
Pragya glares her back- divorce hone ke liye ek couple ko kam se kam sath me 6 mahine rehna padta hai aur in dono ki shadi ko 6 mahine toh chodo 6 din bhi nahi huye...court me inka divorce hona mushkil hai...isliye maine inke mutual divorce ke papers banwaye hai taki court tak jana hi na pade
Sherlyn- toh fir demands kyo kari tumne is notice me
Pragya- maine kaha na tumse tumhe bhagwan ne dimaag nahi diya hai...koshish mat karo samajhdaar banne ki kyoki aur bevakoof lagti ho...khair dimaag nahi diya par aankhen toh di hai...papers pad lo jawab usi me hai (looks at everyone) aap sab bhi agar ye pehle pad lete toh itna tamasha nahi hota aur na hi kharcha (looks at three lawyers standing there)
Rishabh immediately takes the papers and starts reading it while sherlyn didn't understand pragya's words.
Sherlyn- what do u mean
Pragya casually- ab kya karu...middle class family se hu na...toh vo middle class soch jati nahi...paise bachana bhi janti hu aur kamana bhi...ye sanskar ham sab aroras me hai...hamari maa ne diye hai
Sherlyn- agar itni hi sanskaro ki parwah hai toh apni hi behen ki shadi me kyo nahi thi tum
Pragya sternly- main vaha kyo nahi thi vo vajah meri maa aur preeta ko pata hai aur vo khush the main vaha nahi thi...mujhe tumhe koi explanation dene ki zaroorat nahi hai
Rishabh shocked but still politely- i am so sorry pragya ji...ham sab ne bina pade hi kya kuch nahi soch liya aur itna bada tamasha bana diya...i am really sorry for everything
Sherlyn- rishabh ji aap is pragya se kyo maafi maang rahe ho...maafi toh in sab aroras ko ham se maangni chahiye
Rishabh shouts- just shut up Sherlyn...shut up...ye sab tumhari vajah se ho rha hai...ye notice tumne hi pada tha na aur sabko aroras ke khilaaf bhadkaya tha
Sherlyn- aap kehna kya chahte hai rishabh ji
Rishabh- is notice me ye likha hai ki ya toh karan apni aadhi property preeta ji ko as alimony de ya fir unhe divorce dekar ye vaada kare ki vo preeta ji ko apni shakal dobara kabhi nahi dikhayega...ye hai asli notice jo hamne padha hi nahi
YOU ARE READING
TERE LIYE 4
FanfictionIt is continuation of serial track of kundali bhagya when karan married preeta and left her on the road with some changes....