PART 8

1.3K 67 12
                                    

In car

Karan was in deep thoughts. Rishabh notices him.

Rishabh- ab kya soch raha hai karan

Karan- yaar preeta ne kuch kaha hi nahi...mujhe laga tha ki vo mujhse ladegi...taane sunayegi

Rishabh- jaise pehle karti thi

Karan nods.

Rishabh- karan pehle tu preeta ji se ladta tha...unhe pareshan karta tha...chedta tha lekin unhe kabhi hurt nahi kara tha tune aur na hi dhoka diya tha lekin is baar un sab ke saath tune unhe dhoka diya aur hurt kiya unhe...tujhe lagta hai vo tujhse normally behave karengi

Karan- ok fine galat kiya maine lekin usne kaunsa sab sahi kiya

Rishabh- nahi kiya hoga lekin aisa bhi kuch kiya tha jo tune unki zindagi barbaad kar di karan...main abhi bhi keh raha hu le aa preeta ji ko ghar apni biwi banakar

Karan looks at him- sirf bolega ya saath bhi dega

Rishabh looks at him- matlab

Karan- maine preeta ko apni wife maan bhi liya toh gharwalo ko kya jawab denge

Rishabh excitedly- gharwalo ko sambhal lenge na...tu bata tu preeta ji ko ghar laayega

Karan nods hesitantly- par main uske lecture puri life nahi jhel sakta

Rishabh chuckles and hugs him- trust me ye tera best decision hai...ab chal...mere brother ki dulhan lene

Rishabh takes a u turn and goes to arora house. They ring the bell and janki opens the door.

Janki- oye tum dono yaha kya kar rahe ho...pragya ki tabiyat fir kharab hui kya

Rishabh- nahi nahi pragya ji thik hai

Janki- toh fir tum dono yaha kya kar rahe ho

Sarla preeta dadi and shrishti also come hearing janki.

Sarla- tum dono yaha

Rishabh- sarla aunty ham yaha aapse kuch baat karne aaye the

Sarla- ab kya baaki reh gaya hai baat karne ke liye

Rishabh and karan enter the house. Rishabh gestures karan who nods. Karan goes in front of sarla and seeing her glares he gets nervous and immediately kneels in front of her. Everyone gets shocked.

Karan holds sarla's hands and pleads- i am sorry sarla aunty...mujhse galti ho gayi...dimaag kharab ho gaya tha jo preeta ke sath vo kiya maine...i am so sorry...main yaha preeta ko ghar le jane aaya hu...is baar rishabh bhi mere sath hai...i promise preeta ko saare haq milenge (looks at a crying preeta and grabs her hand surprising her and now he is holding sarla and preeta's hand) tumhe bhi sorry preeta...dad ki aisi haalat dekh kar mujhe pata nahi kya ho gaya tha...i am sorry...mujhe maaf kar do...agli baar aisa kuch kaand kiya na toh aap aur preeta ko mujhe jitna maarna ho maar lena mere favorite bat se...main kuch nahi kahunga...promise

Everyone was teary eyed. Rishabh was having a proud smile. Sarla makes karan stand up.

Sarla- pichli baar bhi tumne isi tarah hamara dil jeeta tha aur preeta ko apne sath le gaye the...kaise vishwaas karu tum par

Rishabh comes forward and joins his hands in front of her.

Rishabh- sarla aunty is baar karan yaha akela apni dulhan lene nahi aaya balki main bhi apne bhai ki dulhan lene aaya hu baraati bankar...karan apne vaade pura karega is baat ki guarantee ke sath main aapse vaada karta hu ki preeta ji ko unke saare haq main dilwaunga...luthra khandan ki choti bahu aur karan luthra ki patni hone ka haq unhe zaroor milega...ye mera vada aapse

Rishabh looks at preeta- preeta ji aapne mujhe aaj tak apna dost maana par aaj ham dono ke beech ek rishta aur jud gaya...vaise toh main aapka jeth kehlaunga...aur aap acche se janti hai main karan ka bada bhai hu aur is baat ki wajah se ye karan mujh par apna pura haq samajhta hai aur jamata bhi hai...aap bhi mujh par vahi haq samjhiye aur usi tarah jamane bhi lag jaiye...ye meri choot hai aur aapse vaada ki agar mujhe aap me aur karan me se kisi ek ko chunna pade toh main aapko choose karunga

Preeta smiles through her tears.

Rishabh- sarla aunty aap se request kar raha hu please hamare ghar ki bahu aur mere bhai ki patni ko vida kar dijiye...preeta ji ko vida karke hamare sath bhej dijiye...ham bohot lucky hai ki aapki ek beti hamare ghar ki bahu already thi aur ab ek aur bahu aap hi ke ghar se aa rahi hai

Karan- aunty please ek last mauka de dijiye

Sarla wipes her tears- preeta ko agar maine aap dono par vishwaas karke bhej bhi diya toh aapke parivaar wale apnayenge

Rishabh- nahi bhi apnaya toh bhi preeta ji akele toh nahi hongi...main hu...sameer kritika mom dad and most importantly karan hai unke sath...mujhe nahi lagta preeta ji ko aur kisi ke sath ki zaroorat hogi

Dadi- kya soch rahi hai sarla...damaad beti le jane aaya hai...le jane de karan ko...karan rishabh tum dono le jao preeta ko...shrishti ja iska samaan pack kar

Sarla cups preeta's face- preeta tujh par zabardasti nahi hai...tera faisla mera faisla...tu jayegi karan ke sath

Preeta thinks about all the happenings and looks at sarla's hopeful eyes. Preeta nods in yes. Everyone gets happy. Rishabh hugs karan. Sarla hugs preeta. Shrishti joins sarla and preeta.

Sarla- ja preeta packing kar le

Shrishti- are maa di ke kapde toh hamne unpack hi nahi kiye...time hi nahi mila

Shrishti brings preeta's suitcase. Preeta hugs everyone and leaves with karan and rishabh. This time preeta was at back seat rishabh was driving and karan was in passenger seat. All were quiet.

Rishbh- ab kyo chup ho dono...it's time to celebrate...mere bhai ki shadi hui hai

Karan- ghar walo ko kya kahenge

Rishabh- sab preeta ji ko accept kar lenge...sirf dadi aur kareena bua hi toh hai...dadi toh maan bhi jayegi aur bua toh vaise bhi sabko sunati rehti hai...i am sure ab tak toh preeta ji ko unki daat ki aadat ho gayi hogi

Preeta looks at him nervously.

Rishabh- are aap dar kyo rahi hai...abhi aur pragya ji bhi vahi hai...aapka sath dene ke liye

Karan- haa aur aaj jitna pragya di ne mujhe daata na main unse badla lunga...apni saari favourite dishes banwaunnga unse

Preeta- pragya di ko zyada stress nahi dena hai...bhul gaye...vo pregnant hai

Karan- haa toh baby aane ke baad banwa lunga...isme konsi badi baat hai...and by the way sirf dadi aur bua nahi hai...teri pyaari biwi bhi toh hai...sherlyn bhabhi ji

Rishabh- sherlyn ki baat se tum dono ke rishte par koi asar nahi padega...she is not important for u both

Karan chuckles- she is not important for anyone

Preeta's phone rings. She looks at it and cuts the call. The phone rings again and she again cuts it. She keeps her phone on silent.

TERE LIYE 4Where stories live. Discover now