In hall
Sarla- preeta pragya thik hai na aur uska baccha
Preeta- ha maa dono thik hai
Sarla- abhi beta ab na aap use jaldi se ghar le aao...main uska itna dhyaan rakhungi ki vo chutkiyo me thik ho jayegi
Rakhi- sarla ji...mujhe maaf kar dijiye...mujhe sach me nahi pata tha ki pragya ice cream nahi kha sakti
Sarla- pragya ke sath galti hui hai lekin meri dusri beti ke sath jo hua vo galti nahi thi rakhi ji
Everyone get silent. Karan looks away.
Sarla joins her hands- khair hai toh aap meri beti ke sasural wale
All look at her. Sarla realises what she spoke.
Sarla- meri pragya ke sasural wale...usne khushkhabri sunai hai...aap sab ko badhai ho...uske maayke ki taraf se mithai
Sarla forwards some boxes of sweets. Rakhi takes them.
Rakhi- aapko bhi nani banne ki bohot badhai ho...sarla ji...main chah rahi thi agar abhi aur pragya kuch din yaha ruk jate toh
Sarla- jaisa aap chahe...mujhe mere bete par pura bharosa hai...vo kabhi pragya ko chot nahi pohochne denge...isiliye pragya ka haath abhi ke haath me diya tha...ham chalte hai
Preeta- maa mujhe di ke uthne ke baad unhe injection lagana hai...unhe dawai bhi deni hai
Abhi- sarla maa agar aapko thik lage toh preeta yaha ruk jaye...main khud use drop kar dunga ghar
Sarla nods hesitantly. She leaves.
Preeta- jiju main di ke paas jati hu
Abhi nods.
Rakhi- sarla ji bohot upset thi
Rishabh- sirf sarla aunty nahi...arora family ka har member bohot upset hai aur hona bhi chahiye...unki naarazgi galat nahi hai
He leaves from there. Karan too leaves.
In karan's room
Karan enters and sees rishabh lying on his bed.
Karan- tu yaha kya kar raha hai
Rishabh- vo mere room me pragya ji hai isliye main yaha aa gaya
Karan nods- aur Sherlyn
Rishabh- uska kya
Karan jumps on other side of the bed and lyes beside rishabh.
Karan- are vo kaha rahegi
Rishabh- mujhe kya pata
Karan- kamaal hai...teri biwi hai vo aur tujhe nahi pata
Rishabh- tujhe bhi toh nahi pata ki teri biwi kaha hai kaisi hai
Karan gets silent.
Rishabh- karan ek baat bolu
Karan- hmm
Rishabh- preeta ji se shadi karna teri life ka best decision tha
Karan- what nonsense...maine usse shadi sirf use barbaad karne ke liye ki
Rishabh- ki toh sahi...preeta ji bohot acchi ladki hai...aur teri shadi kam se kam meri shadi jaisi toh nahi hai
Karan looks at him- matlab
Rishabh- bhai tujhe pata tha ki sherlyn aur meri arrange marriage thi...mujhe laga tha ki vo meri family ka hissa banegi...she will agree with all my decisions lekin ham toh dono toh aaj tak curtains ke colour par bhi agree nahi kiye
Karan chuckles- vo toh mujhe pehle se hi pata tha...sherlyn tere liye thik nahi hai
Rishabh smiles- ye toh main bhi janta tha
Karan surprised- toh shadi kyo ki
Rishabh- kyoki main apni family ki khushi chahta tha
Karan sits on bed- aur teri khushi...uska kya
Rishabh sits and cups his face- nahi mili...isliye keh raha hu tu vo galti mat kar jo maine ki...family ke chakkar me apni khushi barbaad mat kar karan...preeta ji ko vo saare hak aur khushi de jo vo deserve karti hai...unhe mrs karan luthra hone ki respect de
Karan- mujhe is baare me baat nahi karni
Rishabh- karan tere paas do bade bhai hai...seekh unki galtiyo se...abhi ne pragya ji ke sath kitna galat kiya...shadi ke baad bhi tanu ke sath affair kiya...pragya ji ko humiliate kiya...insult ki...aur jab abhi ko realise hua look how happy they are...aaj saari khushiya unke paas hai...sab jante hai abhi sabse zyada khush tab hota hai jab vo pragya ji ke sath hota hai...tu bhi apna best version tab hota hai jab tu preeta ji ke paas hota hai
Karan looks at him.
Rishabh- mujhe dekh le...sherlyn ke sath shadi karke mujhe kya mila...daily uske sath arguments hote hai...sar dukhne lag jata hai...main koi problem share nahi kar pata uske sath...tu bol main kya karu...i am fed up of her
Karan- tu chod kyo nahi deta use
Riahabh- aasan nahi hai...dhero sawal uthenge aur unke jawab mujhe dene padenge
Karan- tujhe kabse logo ki fikr hone lagi
Rishabh- sawal sirf log nahi ghar wale bhi uthayenge...aur unke jawab dene padenge
Kran- toh tu ye kehna chahta hai ki abhi aur teri life se seekh kar mujhe preeta ko apni wife maan lena chahiye
Rishabh- exactly...aaj jo hua about the legal notice usme clear ho gaya ki preeta ji ya unki family ko paiso me koi interest nahi hai
Karan- paiso me bhale hi interest na ho lekin usne dad ke sath jo kiya uska kya
Rishabh- tujhe sach me lagta hai karan preeta ji dad ke sath aisa kuch karengi...itna sab hone ke baad bhi preeta ji ne aaj ham me se kisi ko kuch bola tak nahi...jab maine baat kari toh mujhe koi taunt nahi kiya...haa ek minute ke liye unka gussa tujh par zaroor nikla lekin unhone khud ko sambhaal liya...vo chali gayi...samajh mere bhai unse accha tere liye life partner ho hi nahi sakta
Karan is in thoughts which is broken by a knock on the door. They see sherlyn there.
She comes inside.Sherlyn- rishabh ji vo hame hamara room kab milega...mujhe kuch samaan lena hai
Rishabh- toh jakar le lo...just make sure pragya ji ko koi disturbance na ho
Sherlyn- rishabh ji mera ye matlab tha ki ham apne room me kab shift honge
Rishabh lyes on bed- jab tak pragya ji aur abhi yaha hai tab tak vo vahi rahenge...meri mom aur bua se baat ho gayi hai
Sherlyn- toh ham kaha rahenge
Rishabh- ghar me itne guest room hai kahi bhi chali jao
Sherlyn- chali jao matlab aap kaha ja rahe hai
Rishabh- main yahi rahunga
Sherlyn- par ye karan ka room hai
Riahabh- mere bhai ka bhi hai...aur use koi problem nahi hai mere rehne se toh tumhe kya hai...karan bol...tujhe koi problem hai
Karan- mujhe kya problem hogi...in fact accha hi hai ham dono late night tak video games khelenge
Rishabh smiles- done
They hi-fi.
Sherlyn- main aapki patni hu rishabh ji
Rishabh- maine kab mana kiya sherlyn aur isilye agar main mere bhai ke sath rehna chahta hu toh tumhe koi problem nahi hona chahiye...now please leave...main thak gaya hu...i need to sleep
Sherlyn leaves angrily. Karan jumps on rishabh.
Karan- i love u bhai...tu na isi tarah uske sath reh...vo apne aap tujhe chod kar bhaag jayegi...aur fir tu aazad
Karan laughs imagining sherlyn left rishabh. Rishabh also laughs seeing him saying this. Karan too lies on the bed.
YOU ARE READING
TERE LIYE 4
FanfictionIt is continuation of serial track of kundali bhagya when karan married preeta and left her on the road with some changes....