Part 5

696 35 22
                                    

Hearing Dr. Uncle's words, everyone gets tensed.

"Dr. Uncle" Uday holds his hand.

"Dr. Uncle! kya hum Manyata se mil sakte hain?"

"Uday beta, iss waqt unhe aaram ki sakt zaroorat hain. Aise mein aapka unse milna..."

"Hum aapki baat samaj sakte hain Dr. Sahab. Lekin aap bhi toh hamare jazbat samajiye na" says Dadi Sahab.

"Lekin Rajmata!" starts Dr. Uncle.

"Ha, Dr. Uncle, please hume Moniya se milne dijiye na. Hum vada karte hain hum unhe bilkul bhi disturb nahi karenge" Unnati interrupts Dr. Uncle.

"Thike! Aap sab itna keh rahe hain toh. Aap Manyata se mil sakte hain par iss baat ka khaas dhyaan rakhe ke unhe disturb na ho. Aap ek ek karke mil sakte hain Manyata se" says Dr. Uncle.

"Jee, Dr Uncle" saying this Uday rushes to the meet his princess.

Entering the room, the scene before his eyes catches him off guard.

Seeing his Bubbly Princess' lonely figure amidst the various machies with hand wraped in a cast, Uday's eyes are filled with tears.

He quitely walks towards her lonely figure and settles beside her.

Taking her hand in his hands, he whispers.

"Manyata! Princess ye kya kardiya aapne?

Kya zaroorat thi aapko iss tarah se apni jaan khatre mein dalne ki.

Hum aapke Prince Charming hain. Hume aapko har musibat se bachana chahiya, aapko hume nhi.

Par aapke iss kadam se hume itna toh pata chal hi gaya ki aapke dil mein bhi kahi na kahi hamare liye jagah hain. Aapko bhi hamari parvaah hain.

Yeh dekh kar hame bohot khushi mehsoos hui. Ab hum aapko kabhi bhi humse dur nahi hone denge. Hamesha aapke kareeb rahenge.

Aapko nhi pata princess par hamari Maa ke jane ke baad hum ekdum akele pad gaye the, ek Choti hi hain jisse hum itna pyaar karte hain, jo hume samjti hain.

Baki sab logo ko humse koi matlab nahi, unhi matlab hain toh sirf hamare taaj se, hamare rutbe se, hamare riyasat se.

Par jabse aap hamari life mein aayi hain, sab kuch badal raha hain.

Aapke saath vo nok jhok, vo aapki naak gusse se lal hona, ya phir aapki rang berangi gaaliya, ye saari cheezo hamari life ka ek hissa ban chuki hain.

Aapke saath hamara har din interesting ban jata hain.

You know, you are breath of fresh air for me.

Wese manna padega hamari princess hain toh badi bahadur aur thodi si cute bhi, ah nhi, actually tum bohot cute ho.

Chalo ab itni taarife tumhare liye kafi hain ya aur sunne ka irada hain - Miss
Haan Nhi Toh.

Chalo ab dekho Yuvraaj Udayveer Singh ne tumhari itni taarif ki hain toh ab utho bhi.

Aur kitna itezaar karvaoji hamse. Hum 16 saal se tumhara intezaar kar rahi hain, ab hamara intezaar khatam bhi karo.

Humse aur intezaar nahi hota. Please hosh mein aao princess".

Hum phirse aapse dur nahi reh payenge. Please princess get up.

Get Up Princess! Get up!

I Love You,

I Love You God damit! Please get up." and hugs her.

******
"Ha. Manyata jiji, abhi bhi critical situation mein hain" - informs Jay to a mysterious caller.

"Kya? Par Goli toh uss Udaybeer par chalane ke liye kaha tha. Toh phir Moniya ko kese lag gayi, vo kese hospital pohoch gayi." - the mysterious caller gets shocked.

"Kya? Tumhari himmat kese hui Uday par humla karne ki. Humne tumse kaha tha na ki hamare Uday ko kuch nhi hona chahiya.

"Tumhe yeh seedhi si baat samaj nhi aati. Hamari baat dhyaan se suno, agar Uday ko kuch bhi hua na, toh hum tumhe chodenge nhi samjhe tum"

Tumhari sachai sabke samne lane mein hame der nahi lagegi samjhe tum" - warns Jay Nandini to the mysterious caller and exits from there.

While vijay evasdrops Jay Nandini's conversation.

"Wow etna bada khulasa. Thanks Jay Bhai.

Ab aayega story mein bada sa twist. I Tell You."

******

"Dada Manyata ki tabyat kesi hain ab wo thik toh hain na. Unhe hosh toh aajayega na.

Bataiyena dada, sab thik toh ho jayega na" Unnati voices her concern.

" Ha Chotti, tum dekhna Manyata jaldhi thik ho jayegi. Hame pura yakeen hain."

*****

In the room, there is slight moment in Manyata's hands.

***************""

Guys, I am extremely Sorry for Late Update. I will try to update as soon as possible.

Udayveer's SaviourWhere stories live. Discover now