Chapter 4: Concert

3.6K 359 3
                                    

"Shehnaaz, tum sach mein bohut khubsurat ho." Sidharth said looking at Shehnaaz.

Shehnaaz blushed.

"Accha? Aur kya accha hai mujh mein?" Shehnaaz asked.

"Tumhari eyes, nose, lips, jawline sab kuch sundar hai."

"Aur?"

"Your voice. Kitna accha gaati ho tum. Tumhare saath ek concert main zaroor karunga."

"Haaye Sidharth, mujhe toh yakeen hi nahi ho raha ki tum mere samne khade ho aur meri itni tareef kiye jaa rahe ho. Bilkool sapne jaisa lag raha hai."

"Sapna hi toh hai." Sidharth said.

"Kya matlab?" Shehnaaz asked being confused.

Suddenly she heard a female voice.

"Shehnaaz uth jaa beta, aur kitni der soyegi?"

"Sidharth, tumhari awaz Mummy jaisi kyu lag rahi hai?" Shehnaaz said in sleep.

"Arrey teri Mummy hi hoon main. Exams suru ho gaye hai aur yeh ladki abhi tak so rahi hai. Exam mein pass hona hai yaa nahi?" Pammi Ji said.

Shehnaaz woke and sat up.

"Mummy, aap? Kyu subah subah utha diya? Kitna accha sapna dekh rahi thi main. Sab kharab kar diya." Shehnaaz said.

"Haan paata hai. Tabhi toh neend mein muskura rahi thi aur mujhe Sidharth bol rahi thi. Sharam nahi aati, tere exams chal rahe hai aur tu Sidharth Shukla ke sapne dekhe jaa rahi hai?"

"Mummy, main kya jaan bujh ke sapne dekhti hoon? Yeh toh bas aa jaate hai."

"Uss Sidharth Shukla ke baare mein sochna thoda band kar de. Phir nahi aayenge. Chal ab fresh ho ja, main khana lagati hoon." Pammi Ji said and left.

Shehnaaz got freshed, ate her breakfast and went to university.

While returning from university

"Kaisa raha aaj ka exam?" Shefali asked.

"Kitna tough question tha yaar. Pura dimaag kharab hogaya tha." Shehnaaz said.

"Sahi mein. Inn logo ko thode easy questions karne chahiye." Adi said.

"Rohit, tera kaisa raha?" Naina asked.

"Easy. Haan waise ek do questions tough the. Lekin maine sare questions attempt kiye. And I'm sure sab sahi honge." Rohit said confidently.

"Yeh kya hai yaar? Itna tough question easy lag raha hai isko. Meri toh aaj hi halat kharab hogayi hai. Paata nahi padso kya hoga." Shehnaaz said.

"Ek kaam karte hai, aaj sab log mere ghar chale aao. Mil kar study karenge. Phir ek dusre ko padhai mein help bhi kar sakte hai." Shefali said.

"Haan, yeh bilkool sahi rahega." Shehnaaz said.

"Sorry, main nahi aa paunga." Rohit said.

"Kyu bhai? Kya hua?" Adi asked.

"Maa ki tabiyat bohut kharab hai." Rohit said.

"Kyu? Kya hua Aunty ko?" Shehnaaz asked.

"Knee ka pain phir se badh gaya hai isliye. Mujhe unka khayal rakhna padega."

"It's okay. Hum tujhe notes bhej denge." Shefali said.

"Rohit, main bhi tere saath tere ghar chalti hoon. Aunty se bhi mil lungi." Shehnaaz said.

Rohit nodded.

They both went to Rohit's house.

Rohit's mother opened the door and a smile came to her face after seeing Shehnaaz.

First Love Or True Love (Completed)Where stories live. Discover now