PART #1 Angry Haseena:

2.8K 134 12
                                    

Next day after saghai, all are busy in their respective works without doing masti and fun.

KS: dekho maddam sir aanay wali hungi tum logon ko pata hai na Karna kiyà hai, na koi un k samnay saghai ya DSP sir k diey dhokay ka zikar karay ga na hi kisi shadi ka, woh pehlay hi buhat dukhi hungi koi unhain pareshan nahi karay ga samjh gay tum log.

sS: ji maddam mei toh samjh gae bus ap cheetay ko bhi samjha dyn Kal say udas or gussay mei bhara baitha hai. Kahen woh kuch ulta sedha na bol day Ms k samnay DSP k khilaf.

CC: santu ji mana k hum sir say buhat hi naraz hain magar hum jantay hain k Ms k samnay DSP sir ka zikar karna unhain or dhukhi kar day ga.

PS: or hum aaj Ms ka dard thora kam  karnay k liay unki maan pasand kheer bana k laen hain. Shama d usay kha k un ka mood thora behtar ho jaey.

KS: ha or hum bhi soch rhy hain k Ms say pehlay ki tarha larna shru kar dyn, isi bahanay unka dimagh humari taraf aaey ga or woh shaid saghai wali baat kuch dyar k liey bhool jaen gi.

SS: Sahi Kaha ap nay Karishma maddam.

PS: par us k liay humain thanee ka mahool pehlay jaisa banana hoga, na chahtay huay bhi muskurana hoga, warna hum sab ko udas deekh k Ms or udas ho jaen gi.

CC: ek dum Sahi Kaha pushpa ji nay.

KS: ha pushpa ji hum bhi ap say sehmat hain is bar. Dekho Ms aa rhi hain sab shru ho jao.

CC: santu ji ap kahey takleef kar rhi hain hum hain na apki madad ap aram say baith k yeah ek dum barhiya jagha dekhain yahan Hawa bhi aa rhi hai Shanti say yeh Kam karen. Or hum ap k liay ek cup chai latay hai badnam say special wala.

KS: pushpa ji ap ka keh rhi thi k hum khana aacha nahi banatay, dekhain lalla ko humray hath ka khana buhat pasand hai samjh ap.

PS: woh khana bhi koi khana hota hai na teel na masala besuad sa pheka khana, bechara humara lalla majboran jhooti tareef karni parti hai usay bhi.

KS: maan liya lalla humari tareef jhooti kartay hain par woh paroos walay shehkar Ji unko toh humaray hath ka khana buhat barhiya lagta hai.

PS: unki bhi majboori hai becharay shehkar Ji unhain ap ko Jo lay k Jana parta hai na apnay kirayadar say kariya wasoli k liey, ek ap hi hain Jo apnay bhaukal say unka kiraya wasool karwati hain isliay. Hum nay dekha hai ap k khana day k aanay k torant bad woh wahi khana apnay tommy ko khila daytay hain.

CC: yeh tommy Kaun hai pushpa ji.

PS: unka kutta or Kaun.

HM grab their attention with her loud voice: ho gae ho ap logon ki larai toh phir Kam par dhayan dyn gay sab.

All: jai hind maddam.

HM: jai hind , Santosh Sharma koi case aaya hai

SS: nahi MS abhi tak toh nahi aaya.

HM: theek hai phir hum apnay cabin mei hain , jab koi Kam ho toh bula lijeay ga.

She leave for her cabin.

PS: Ms akeli hain cabin mei phir kahen beeti yadon ko soch k dukhi na ho jaen Chalo chal k unka dhayan batatay hain hum sab mil kay.

Here haseena is lost in the memory of Anubhav , she recalls all the beautiful moments which they spend together. Tears escaped from her eyes she smartly wipes her tears.

HM to herself: kyun kiyà Anubhav ap nay humaray Sath aaisa, ap jantay hain k hum ap say kis qadar pyar kartay hain phir kyun chor k chalay gay humain ap, jab k ap nay hum say wada kiyà tha k ap humain ab kabhi chor k nahi Jaen gay, kyun toar diya apna wada ap nay or Sath sath humain bhi toar diya Anubhav, humara toh khud par say bhi ap vishwas uth gaya hai Anubhav is bar ap nay sirf apna wada hi nahi tora hai balkay pori ki pori haseena mallik ko toar dala hai, humaray wajood ko khatam kar dala hai, ab bus Jo zinda hai woh SHO Haseena Mallik hai, Jo haseena mallik thi usay ap nay usi roz maar dala tha , ab sho haseena mallik zinda hai Jo sirf apnay farz or desh k liey jeeay gi, apnay liey jeena or sochna chor diya hai us nay, Anubhav par na janay kyun humara dil kehta hai is baat humari aankhain dhoka nahi kha sakti koi na koi wajah zaroor hai ap k janay ki, par humain us say kiyà sach Jo bhi ho par humaray liay toh sach yahi hai k ap humain hamesha k liey chor gay hain.

I AM FALLING FOR YOU ONCE AGAIN:Where stories live. Discover now