PART#4 Haseena knows truth

1.3K 110 5
                                    

KS: maddam sir...

HM not listening to her she is lost in her own world of thoughts. Again she calls her name but still she is not replying. Karishma decides to leave her alone.

HM though: kiyà waqai Anubhav Sir ki bhi koi majboori hogi, humain un say baat karni chaheay ek bar sare doubts clear karnay chaheay, kyun k humaray sawalon k jawab ek wohi hain Jo humain day saktay hain par karishma Singh say toh unhon nay KS say kaha tha k woh hum say saghai nahi Karna chahtay hain, humain or shehar chor k hamesha k liay ja rhy hain, par jab Radhika apnay bhai ki sachai chupa sakti hain toh ks kyun nahi? Par KS aaisa kyun karen gi,, ho sakta hai shaid Anubhav sir nay hi unhain bola ho aaisa Karnay k liey agar Anubhav ko unhon nay vachan diya hoga toh woh kabhi humain ya kisi or ko Sachai nahi batein gi humain kisi aur tarha say pata lagana hoga, kyun k KS apna vachan kabhi nahi torain gi, par is bar Anubhav ki Jo bhi majboori ho hum is bar unhain maaf hargiz nahi karen gay kisi qeemat par nahi karen gay. Kyun I Sacha jab tak humain pata nahi chalay gi hum kisi kashmakash mei rahen gay apni zindagi mei kabhi aagay nahi barh paen gay, har bar yahi soch humara peecha karti rahay gi k is bar hum nay unki ankhain parhnay mei kiyà waqai ghalti kar di thi ya pyar k mamalay mei humara intekhab waqai ghalat tha k jazbaton mei beh k hum nay ek hi shaks say do bar pyar or bharosa karnay ki ghalti kar baithay. Woh humaray jazbaton k Sath do bar kheel gaya or hum bardasht kar gay, saza toh hum apko nahi day saktay par maaf bhi nahi Kar saktay , na ab hum ap say dobara pyar saktay hain na hi nafrat.

Karishma comes again but still she is in her thoughts. She calls her again.

KS: maddam sir.... After few seconds haseena maddam...no reply yet she finally says haseena ji...

HM is surprised to hear haseena ji , a smile spread on her lips and say "Anubhav".

KS: bhaiya nahi hai hum Hain maddam sir Karishma Singh, hum yahan ap say baat karnay do bar aaey hain par shaid ap abhi bhi usi dhokaybaz insan k baray mei soch rhi hain, chor dyn us k baray mei sochna woh ja chukay hain hamesha k liay kabhi wapis nahi aaen gay woh, unhon nay sirf apko hi nahi apni behan ko apni maa ko bhi chor diya hai hamesha k liay.

HM: karishma Singh agar woh waqai dhokaybaz hain toh ap nay unhain bhaiya kyun Kaha abhi, koi baat hai Jo humain nahi pata.

KS: woh humaray min say ghalti say nikal gaya khair chorain is baat ko hum Jo kahnay aaey thy woh kehna hi bhool gay , maddam sir Raksha bandhan hai do din bad toh kiyà humain chutti mil sakti hai us din.

HM: karishma Singh jahan tak humain pata hai k Raksha bandhan k din ek behan apnay bhai ko rakhi bandh k us say apni Raksha ka vachan layti hai or ap k toh ab koi bhai nahi hain Jo thy un say ap rishta toar chuki hain toh phir kisay rakhi bandhain gi ap.

KS: mana k is bar humaray bhaiya humra matlab hai woh dhokaybaz insan eyes filled with tears humray Sath nahi hai par kiya hua ap toh hain na " in low tone ( humaray bhaiya ki parchai humari bhabhi humaray bhaiya ka pyar) hum is bar apko rakhi bandhna Chahtay hain hum chahtay hain k ap ka saya hamesha humaray sir par rahen or ap jis tarha ek team leader ki tarha humari raksha karti hain hamesha karti rahen or rahi baat humaray bhaiya ki woh bhi toh kartay hain Raksha apni Bharat mata ki....

HM: kiyà Kaha ap nay abhi Kahan hain Anubhav, humain bataein Karishma Singh..

KS: pata nahi kahan hain woh hum nahi jantay bus unhon nay itna Kaha tha k woh kisi rishtay mei bandh k nahi jeena chahtay woh apnay desh ki sewa karna chahtay hain.

HM: ap jhoot keh rhi hai Karishma Singh , agar yeh sach hai toh ap k aankhon mei ansoon kyun hai, humain pata hai ap humain sach nahi bataein gi par koi baat nahi hum bhi sach pata kar saktay hain.

KS: maddam sir ap kahey us insan k peechay apna samay barbad kar rhi hai woh shaks phir ek bar apko apnay pyar ka yaqeen dila k phir dil toar jaey ga apka rehnay day, us k peechay Jana bekar hai kuch hasil nahi honay wala apko.

I AM FALLING FOR YOU ONCE AGAIN:Where stories live. Discover now