PART#3 Anubhav on mission

1.3K 105 6
                                    


AS: so team ap dono tyar hain, hum asha hai k ap dono is parsthiti ki ghambhirta ko achay say samjh gay hum gay, yahan humara ek ghalat qadam humaray desh ko 30 saal peechay dhakeel sakta hai, agar dushman apnay mansobay mei safal ho gay toh humara desh ghurbat, muflisi, or bhook kay shinkanjay mei jakar jaey ga, is bar bhi dushman samnay say nahi peeth pechay war karnay k mansobay bana rha hai, uska maqsad humari maishat ko tabba Karna hai, is bar us k nishanay par koi jagha ya koi vaikti nahi balkay humari zarkhez zameenain hain jis par woh chemical war Kar k unhain hamesha k liey banjar Karna chahta hai, ta kay hum apnay awam ki bhook mitanay k liay majboran vaidesh say aanaj export Karen , or humara desh gurbat k intehai darjay par aa jaey, or humara baal baal qarz mei jakar jaey, or jab hum woh qarza utarnay k qabil na rahen toh us k liay humain humari companies government properties sab un k hawalay Karna paray, ek bar phir woh foreigners hum par musallat ho jaen. Hum jantay hain k Jang buhat bari hai or hum sirf teen hai Jo k isay nahi rok saktay, par humaray peechay ek poori team hai, hum yahan sirf un Kay iraday jannay aaey hain, yeh Jo humain information mili hai woh Sahi bhi hai ya nahi or woh log kaisay isay anjam dyn gay un k iraday kiyà hai? Agar woh log itnay baray mansobay k Sath yahan aaey hain toh un Kay sathi bhi zayda hun gay , kyun k itni bari sazish ko anjam dayna ek do k bus ki baat nahi hai, humaray anusar yeh jagha un ka main leading point hai saray plans yahen banaey jatay hain, kyun k yeh jagha intehai pursakoon hain, abadi say dour hari bhari paharon k beech ek Shanti wali jagha jahan aas pass buhat Kam log rehtay hain in logon k liey yahan say Kam Karna asan ho ga, humain unki sazish ka pata lagana ho ga ta kay hum usay nakam bana saken.
Toh inspector Mehak Mishra or inspector Zaid Ali ap tyar hain.

Zaid: ha Anubhav hum tyar hain, Jan day dyn gay par is desh par koi anch nahi aanay dyn gay.

AS: Anubhav nahi sir hum yahan ap k senior hain Zaid.

ZA: sorry sir.

MM: sir mei nay bhi khud say wada kiyà hai apni akhri sans tak or lahu k akhri qatray tak apnay desh ki suraksha karun gi, uski azamat par koi hurf nahi aanay dungi.

AS: humain larna hai saray rishton ko bhool k apnon say paray ho k sirf desh kay bhalay k liey sochna hai, mana k hum apna ghar parivar sab chor k aaey apnay is ghar Bharat mara  ki raksha k liey , ab duniya ka koi bhi rishta koi bhi taqat humain pechay nahi hata sakti humara awaleen maqsad desh ki suraksha hai jus k liey hum Laren gay or Jan daynay say pechay nahi hatein gay.

Mm and ZA: yes sir.

AS: good, Ms Mishra.

MM: ji sir apko pata hai na humain yahan rehna hai toh apni asli pehchan chupa k rakhni ho gi.

MM: yes sir.

AS: dekhain team yeh aaj say humara ghar hai or ain is k samnay dushmanon k rehaish gah hai , hum nay yeh ghar is liey chunna ta k hum us ghar par nazar rakh saken un k movement ko note kar saken , woh log kiyà kartay hain Kaun un say milnay aata hai sab kuch humain jannah hoga, woh log bhi as a family wahan rehtay hain ta k kisi ko koi shak na ho, toh hum bhi yahan ek family members ki tarha hi yahan rahen gay, Zaid ap humaray chotay bhai jab k Ms Mishra ap humari dharam patni k toar par khud ko introduce karwaen hi, it's clear.

Both: yes sir

AS:now get back to work.

****************

Lucknow:

HM: komal Jo sachai thi hum nay tumhain bata di ap faisala tumhara hai Kay tumhain apnay pyar ko qabool Karna hai ya us say dour Jana hai.

Komal sits beside him.

Komal: I hate you Vishnu I hate you so much, tum nay mujhe dhoka diya, jab pyar Sath kiya tha toh tum nay soch bhi kaisay liya k mei tumharay bad zindagi mei kisi aur k sath aagay barh jaungi, mei nay pyar tumharay jism say nahi tumhari rooh say kiyà hai, kiyà hua Jo tumhara jism pehlay ki tarha khubsorat nahi raha chehra bhi jhulas gaya hai par tumhara dil say wohi hai na, waqt har ghao bhar dayta hai or yeh toh zahiri ghao hai yeh bhi bhar jaey ga ek din. Par dil kabhi kisi aur par nahi aa sakta.

Vishnu: kiyà tum sab Jan k bhi mujh say pyar karti ho.

Komal: ha .

Vishnu: yeh Jan k bhi mei kabhi tumhain koi khushi nahi day paunga jis ki tum haqdar ho phir bhi pyar karo gi.

Komal: ha.

Vishnu: par mei umar bhar tum par kaisay boojh ban k reh sakta hun.

Komal: agar tumhari jagha mei yahan hoti toh kiyà tum mujhe chor daytay , agar tumhara jawab nahi hai toh mei tumhain kaisay chor dun,sacha pyar ek bar hota hai Vishnu bar bar nahi or Mera tum say pyar sacha hai.

Vishnu: sach mei tum is Hal mei bhi Mera Sath dayna chahti ho.

Komal: ha or kabhi tumhain nahi chorunga or tum nay kabhi dobara mujhe chornay ka socha toh mei Jan lay lungi.

Vishnu: abhi toh keh rhi thi k mujh say pyar karti ho or meri hi Jan lo gi.

Komal: tumhari nahi apni jan lay lungi samjhay tum.

Vishnu: sorry mei aainda aaisa nahi karunga, I love you.

Komal: I love you too.

************

AS: MS Mishra ap jaen gi un k ghar us ki ghar ki mahilaon k Sath Jan pehchan barhaein gi or r moqa milnay par yeh mike or camera wahan laga aaen gi ek Kam apko buhat swadhani say Karna hoga kisi ko shak na ho or yeh ek bar mei mumkin nahi hai, yeh kab or kaisay Karna hai yeh ap khud tay Karen gi.
Or zaid apko unki beti k sath dosti karni hogi samjh gay ap.

ZA: ji sir

MM: I will do my best don't worry kisi ko mujh par shak nahi hoga. Sir kiyà mei thori dyar aram kar sakti hun, itna lamba safar k bad yahan aai hun thora thak gae hun.

AS: ya sure. Ap aram kar sakti hain.

ZA: or sir mere liey kiyà orders hain

AS: ap bhi ja k thori dyar aram kar lyn sham mei aagay ka plan discuss kartay hain.

ZA: mujhe pehlay aram nahi Karna thori dyar apnay dost say batein karni hai, kiyà ijazat hai apki.

AS: Zaid hum nay tum say pehlay hi Kaha hai yahan humara bus ek rishta hai vardi ka Jo hum nay desh ki khatir pehni hai bus.

ZA: come on Yar Anubhav mujhe pata hai hum mission par hain par Yar yahan say zinda wapis janay k chances bhi nahi hai yeh tu achi tarha janta hai, aaj na Kal unhain humari Sachai pata lag Jani hai or woh humain Jan say mar dyn gay par tab tak hum sari information department tak pohncha chukay hungay, par Yar zindagi k Jo bhi din bachay hai mei apnay dost k Sath spend karna hun, itnay salon bad mila hai tu last 4 saal pehlay hum ek mission par Sath thy yad hai na tujhe.

AS: ha yad hai Zaid achi tarha yad hai woh hum kaisay bhool saktay hain.

ZA: tu nay apni jan daynay k liey koi kasar nahi chori thi shukar hai mei nay samay par tujhe bacha liya, mana k tu buhat bara desh bhakht hai par jab hum dushmanon ko chit kar k wapis ghazi loat saktay hain toh Jan kyun dyn, humain desh k sath Sath khud ki bhi hifazat karni chaheay mana k desh say barh k kuch nahi hai par ghar par humara parivar bhi hai humain desh k sath Sath khud ki bhi Raksha karni hai is bar tu aaisa kuch nahi karay ga samjha.

AS: ha tu bayfikar rah hum is bar bhawanaon mei beh k koi ghalti nahi karen gay kyun k is bar humaray Sahi salamat loatnay ki ek khubsorat wajah hai, jis k liay humain desh k sath Sath khud ki bhi Raksha karni hai pata nahi woh kaisi hogi kis haal mei hogi humaray dhokay nay us par kiyà qehar dhaya hoga, kisay jee rhi hogi woh humaray bina, par us Kay pyar k aagay hum nay desh ko chunna hai or usay humaray hi saghai k roz chor aaya hun.

ZA: Anubhav tu kisi larki ki baat kar rha hai, mujhe yaqeen nahi aa rha Anubhav tu kisi say pyar karta hai us say shadi karnay ja rha tha sach mei, Kaun hai woh mujhe bhi us say milna hai jis nay teri aoch badal di tujhe badal diya Kahan hai kaisi hai woh.

*******************

To be continued.

I AM FALLING FOR YOU ONCE AGAIN:Where stories live. Discover now