Soch Badlo

529 35 23
                                    


HELLO GUYS!!

 HOPE YOU ALL ARE FINE. HERE I CAME WITH ANOTHER CHAPTER.

(IS CHAPTER KO SHURU KARNE SE PHELE MAI BATA DO ISME KUCH AISI BATE HAI JO THORI SENSITIVE HAI KISI CHARACTER KI PERSONAL LIFE PAR NAHI HAI BILKUL BHI BAS FICTION HAI LEKIN REALITY HAI)

LET'S START THE STORY

......................................................................................................................................................................................................................................

Cont. from last........

Everyone turned on hearing the voice and gets shocked. A lady named Malini heard all this. She is the gossip queen of their society and an old beliver, chugli karke bat ko do ka char laga kar batane wali. she came to hall where everyone was present. Everyone goes behind her tried to stop her not to spread false news but it's late. She tells everyone that barat will not come the marriage has been broken and now the drama begins.

Malini: Dekha ap sab logo ne toot gayi na shadi iski mai na kehti thi ke ek din aisa zaroor ayega jab isiki wajah se iske maa baap ki badnami hogi lo agaya woh din

A: Yeh ap kya keh rahi hai Malini ji thora soch kar boliye

Women1: Are kya soch kar bole bilkul sahi keh rahi hai Malini jee

B: Dekheye aplogo ko puri bat nahi pata hai jaisa ap samajh rahe hai waisa nahi hai

Man1: Are rehne dijye Sailesh sahab humne toh phele hi bola tha larki hai itni azadi dene ki koi zarorat nahi hai ek din mu kala karwae gi lo dekh lo ab

A: Ye sab kya bol rahe hai aplog kuch nahi jante hai shadi chor kar larka gaya hai isme hamari beti ki kya galti hai

Lady2: Are sari galti is larki ki hi hai. Har waqt ghumna phirna kabhi yaha toh kabhi waha kabhi is sheher toh kabhi us sheher isi mai kuch hua hoga jo larke ko pata chal gaya hoga isley shadi chor kar chala gaya

Man2: aur nahi toh kya are mai toh hamesha se hi kehta ho larkio ko itni azadi deni hi nahi chahey warna samaj mai mu dekhane layak nahi chorti hai

Man3: isi ley humne toh apni ghar ki betiyo ko itni ijzat hi nahi di hai sirf larke hi bahar jate hai aur sab kam karte hai magar yaha toh ganga hi ulti behti hai

Lady3: Are batao shadi ke din hi shadi toot gayi itna bara apshagun hua hai ab kon karega ise shadi

Lady1: are koi nahi karega ab zindagi bhar maa bap ki dhaleez par bethi rahe gi

Lady2: Are aisi larkiya toh hoti hi caharacterless hai inko apne ghar ki bahu kon banayega

Samrat who was till now listening all this silently his anger has reached on it's peek and his blood is boiling he shouted loudly

Samrat: Bassss........ Bahut hogayi ap sab logo ki bakwas..... Ap logo ka jo jee mai araha hai bolte jarahe hai koi kuch bol nahi raha hai toh matlab kuch bhi bakwas karenge aplog...ek toh is society ka yeh bara masla hai ke masla kuch bhi ho galti kisi ki bhi ho zimedar hamesha larkiyo ko hi tehraya jata hai..... Pati mar jaye toh larki manhos hai apne pati ko kha gayi, Maa na bansake toh larki mai masla hai yehi banj hai, ghar mai jhagra ho toh larki ki wajah se hua, road par accident hojaye toh larki ki galti ke use gari chalani nahi ati, business mai lost hojaye toh larki ki galti ke is ke ashub kadam ghar mai pargaye, rape, harrasment, domestic violence insab mai larki ki galti ke uske kapre chote the,pati ne hath utha diya toh tujhe mu kholne ki kya zarorat thi chup rehti, yaha tak ke agar bechari mar bhi gayi na toh usme bhi log uski hi galti nikal denge..... Pata hai larki ki sabse bari galti kya hai ke woh ek larki paida hogayi is samaj mai use larki paida hi nahi hona chahey tha ya phir paida hote hi mar jana chahey lekin agar is samaj mai jeena hai toh larka paida ho......   kabhi koi yeh kyu nahi kehta ke galti larke ki thi koi unko yeh kyu nahi bolta ke tum insano ki tarha gari chalao raste par nazar rakho larki par nahi, kabhi koi yeh kyu nahi kehta ki agar bacha nahi horaha toh shayad tum mai koi kami ho tum apna ilaj karwao, koi yeh kyu nahi kehta ke agar rat ko larki akele jarahi thi toh use moqa nahi apni zimedari samjho apni bhen beti ki jis tarha suraksha karte ho waise hi uski bhi karo uski izzat karo. Khane mai namak kam hogaya toh mahilao par atiyachar shuru kardete hai agar khud uth kar namak dal lega khane mai toh kya hath toot jaye ge uske. Agar kisis larki ki shadi toot gayi toh isme us bechari ki kya galti hai usko kyu dosh diya jaraha hai.......hum gender equality ke nam par bahut trend karte hai protest karte hai lekin kya sach mai equality hai mujhe nahi lagta kyu ke aj bhi agar koi galti hoti hai toh katghare mai aurat ko khara kardiya jata hai......... Are konse zamane mai jee rahe hai  21st century chal rahi hai larkiya larko se bhi age nikal gayi hai har kam mai unke sath kadam se kadam mila kar chal rahi hai balke agar yeh kahe ge na ke larko se age nikal gayi hai toh kuch galat nahi hoga isme..... Apna nazariya badaliye.......nazariya badlne se kuch nahi badle ga rishte sare wahi rahe ge bas soch nayi hogi........ Aur har cheez ki shuruwat khud se hoti hai tabhi desh taraki karega. Desh ko azad hue 70 sal se zyada hogaye lekin hamari soche azad nahi hopayi hai. hum aj bhi gulami ki soch mai dobe hai please Apni Soch Badle tabhi sab badle ga

Lady1: tum hume kya bol rahe ho kya yeh samaj ise apnaye ga yaha maujod logo se puch lo koi banayega ise apni ghar ki bahu pucho kon bana na chahta hai ise apni bahu batao

No one reply. Samrat look them in disbleif that all his saying gone waste they didn't get affect. Suddenly some people came with kalak and move towards Pakhi and said: Isne sare samaj mai humara mu kala  kiya hai (ME: Excuse me apko kaha badnam kiya hai ap kya lagte hai iske ajeeb samaj ke thikedar) ab iska mu bhi kala hoga. They move towards her but Pakhi didn't move an inch she was lost, everyone's word were echoing in her ear and mind she can't believe what's happening in her life. She was numb she was standing there like a statue. Samrat gets more angry and before they could do anything he held their hands and said

Sam: Meri aai ne mujhe mahilao ki izzat karna sikhaya hai magar aplog mujhe majboor kar rahe hai ke mai apni aai ki parvarish aur unki di hui seekh ko bhool jao aur aplogo se batamizi karo and jerk their hands

Lady: hume kya bol rahe ho tumhare samne pucha na kon karega shadi koi kuch nahi bola koi nahi karna chahta hai Ab bol

Lady: Itna gyan deraha hai hume fark na karne ka toh ek kam kar tu hi shadi karle is se

Samrat: Yeh kya bol rahe hai aplog Mai nahi karsakta yeh shadi mere bhai ki hone wali biwi thi yeh

Lady: hone wali thi na hui toh nahi na ab karle  kya burai hai aur agar nahi karsakta toh hamare raste se hat ja and they pushed Samrat and move towards pakhi

.............................................................................................................................................................................................................................................

THAT'S IT FOR TODAY. HOPE YOU LIKE IT.

IT'S A SENSITIVE ONE. AJ BHI LOGO KI SOCH AISI HAI. I KNOW APLOGO KI SOCH NAHI HAI AISI LEKIN YEH REALITY HAI AUR MAINE BAS WAHI DEKHANE KI KOSHIS KI HAI YAHA AGAR KISI KO HURT HUA HO TOH I AM SORRY

SO WHAT YOU THINK WHAT WILL HAPPEN NEXT? TO KNOW STAY TUNE. WILL MEET YOU ALL SOON TILL THEN

VOTE AND COMMENT

TAKE CARE AND BYE!!

Hum Marjayenge Tere BinWhere stories live. Discover now