Part 1

1.4K 47 1
                                    

Ext. Mpt

The whole MPT was decorated. On the main gate of MPT "Welcome Back Karishma Singh" was written with flowers.

Pushpa ji, Santosh, cheeta, Billu and Ikbal and badnam were dancing on the dhol. Haseena malik is Happy standing on side and clapping. Karishma singh enters.

Everyone
Welcome back Karishma Maddam.

Santosh
Achha hua karishma maddam aap waapas aa gayi, pushpa ji to aap ko itnaa miss kar tahi thi ki aapko imagine kar ke khud hi khud ko taane dene lagi thi.

Pushpa ji
Ama santu kuch bhi mt bolo, hum bhala kyon inhe miss karenge.

Karishma singh is smiling.

Pushpa ji
(cont.)
Miss to tum kar rahi thi. Pura din inhi ke dialogue bolti rhti thi.

Billu
Haa or Cheete ne bhi aajkal Uff maasumiyat bolna kam kar diyaa..

Cheeta
Or maddam Billu ne to do din phle aapki yaad mei khud ko hi chaar kantaap lagaa diye.

Santosh
Haa or maddam sir ne bhi...

Haseena Malik
(intrrupts in between)
Haa..hum sab ne or MPT ne aap ko or aap ke bhaukal ko bht miss kiya. Welcome back Karishma Singh.

Karishma Singh
Dhanyawaad maddam sir. Achha laga jaankar ki aap sab hame itta yaad kar rahe the. Humne bhi aap sab ko or thane ko bht miss kiyaa. Ab hum waapas aa gaye h to Ab sab waapas phle jaisaa ho jaayega.

Haseena malik is thinking something. Something is disturbing her.

Suddenly A car come from behind towards them in high speed. Everybody ran aside but Haseena Malik is still lost in her thoughts. She finally realised car is about to hit her. Karishma singh qickly came and pull her to the safe side. Both fell. Car hit MPT destroying flower rangoli.

Everyone came to Karishma and Haseena to see whether they are OK. They both get up.

KARISHMA SINGH
Maddam sir aap thik h naa. (worrying)

Haseena Malik
Hum thik h karishma singh aap thik h naa.

KARISHMA SINGH
Hum thik h maddam sir lkin iss topa aadmi kaa lagta h apni zindagi se naarajgi chllaa h jo aankhe band karke gaadi chalaa rahaa h.. isko to hum aaj nahii chhodenge.

She goes towards the car in full anger. Everyone goes behind her.

As they reach to the car a boy around 15 years get out of the car and start running.

Karishma singh catches him from his collor.

KARISHMA SINGH
Ama bhaag kahaan rahe ho.. kaa beta umar kaa h tumhaara.. shkl dekh ke to lag nahi rahaa h license milaa hoga ab tak tumhe... Tumhaari himmat ka na daad dena padega... under age hokar gaadi chalaayi to chalaayi...humaare hi thaane pe laake thok di... beta tumhe to hum chhodenge nahi..

She is about to beat him. Haseena malik hold her hand and stops her.

HASEENA MALIK
Rukiye karishma singh... umr to dekhiye iski.. (turns to the boy) or Tum andar aao humaare saath.

Karishma singh is little disappointed but understands. Everyone goes inside.

INT. MPT

Haseena malik is sitting on chair. The boy is sitting opposite to her. Everbody else is standing on side.

HASEENA MALIK
Naam bataao apna.

Sushant
Su..sushant

HASEENA MALIK
umr

SUSHANT
Fifteen. I am sorry ma'am, very very sorry, fir kabhi aisaa nahi hogaa please mere parents ko kuch mt bataana.

HASEENA MALIK
ye gaadi tumhaare abbu ki h??

SUSHANT
No

SANTOSH
Maddam sir isse shaayad abbu smjh nahii aaya... abbu mtlb papa..dad!!

CHEETA
Uff ye.. (looks at karishmaa singh staring her and stop) ..Sorry maddam

Haseena malik stares santosh.

Santosh
Sorry

HASEENA MALIK
Abbu ki nahi to ammi ki?

SUSHANT
Nahi ye vo..

KARISHMA SINGH
Ama bataaoge yaa ek kantaap lagaaye.

SUSHANT
Meri car h.

HASEENA MALIK
Tumhaari?

Everyone shocked.

SUSHANT
aap.. aap pls mere parents ko kuch mt bataana. unhe nahi pata iske baare mei.

HASEENA MALIK
Hum kuch nahi batayenge tumhaare parents ko.. hume puri baat saaf saaf bataao.

SUSHANT
Mere parents bahut strict mei unse jo bhi maangta kartaa hun vo humesha manaa kar dete hai. Mere sab friends bike par school aate h. Maine apne parents se bike maangi to unhone as usual saaf manaa kar diya. Unki wajah se mere saare friends meraa mazaak udaate the.

CHEETA
Babu, ye car tumhe kon diya.

SUSHANT
Around two months ago, mere coaching ke bhaar mujhe ej aadmi mila tha usne mujhe ek bag diyaa or ek address par deliver karne ko kahaa. Maine phle mana kiyaa to usne mujhe 10,000 rs diye (everyone shocked listening that) or bolaa agar or paise chaahiye to mujhe bag uss address par diliver karnaa hogaa. Tab se har week vo mujhe bag deta h deliver karne ko or uske badle bht saare paise. Last tine maine usse car maangi thi.

Pushpa ji
Bag mei aisaa kyaa hotaa h jise diliver karne ke liye vo tumhe itne paise deta h.

SUSHANT
Pataa nahi.. mei kabhi dekhtaa nahi hun. But bag always bahut heavy hotaa hai.

SANTOSH
Maddam sir mjh lagtaa h bag mei bomb hoga.

KARISHMA SINGH
Ama santu bomb hota to kahin fatata bhi to sahi.. aisaa koii news nahi aaya h inn dino.

PUSHPA JI
Ho sakta h drugs ho. Maddam sir, jarur koi badi gang hogi jo bachho ke through drugs supply kar rahi h..

BILLU
Ya aisa bhi ho saktaa h ki chori kaa maal ho. Lkin koii chor chori ka maal bechne ke liye bachhe ko itte saare paise kyon degaa.. Humaare dhandhe mei itti kamaai ka scope nahi h.

HASEENA MALIK
Hume lagtaa h ye kuch or hi chakkar hai. Santosh sharma Sushant se vo saare address le lo jaha usne delivery ki h or ye gaadi or saare paise bhi custody mei le lo.

SUSHANT
Maddam sir, baaki sab to thik h lkin gaadi nahi le sakte.. Humaare thaane mei itni badi gaadi ke liye parking nahi hai na.

CHEETA
Uff ye maasumiyat.

Haseena and Karishma stares them.

SANTOSH
Sorry. Samjh gayi gaadi thaane ke bahaar hi khadi rahegi.

Cheeta is blushing seeing santosh's masoomiyat. Karishma and Haseena ignores them.

KARISHMA SINGH
Maddam sir hum bhi apne network ko abhi kaam par lagaa dete h. Turant saara jaankari hume mil jaayega.

HASEENA MALIK
Ji bilkul. Sushant hum abhi tumhaare parents ko kuch nahii baatyenge lkin agar fir kabhi tumne aisaa kiyaa to hume unhe bataana hi hogaa.. Or agli baar jab bhi tumhe vo aadmi mile seedha humaare paas aana.

SUSHANT
Yes ma'am

He leaves.

HASEENA MALIK
Cheeta Chaturvedi aap abhi saare address par jaakar puchtaach kariye kuch mile to hume bataaiye. Santosh sharma aap or pushpa ji Sushant ke coaching mei jaayiye or kisi bhi aadmi par shak hotaa h to seedha hume inform kijiye. Hume kisi bhi tarah sachhai tak pahuchnaa hogaa. Jo koii bhi ha bht badi gang h or kuch badaa illegal kaam kar rahi h.

The TeamWhere stories live. Discover now