Part 3

609 39 1
                                    


Int. Restaurant. Night.

Haseena Malik and Anubhav Singh enters the restaurant. They find a empty table, Anubhav pull chair for Haseena to sit. She finds his gesture awkward.

Haseena Malik
Sir hum kar lenge..

Both sits.

ANUBHAV SINGH
Haseena ji, kahiye kyaa khaana pasand karegi aap. Hum order kar dete hai.

HASEENA MALIK
Sir hum dekhkar bataate hai.. tab tak aap order kijiye.

Haseena Malik starts seeing menu, she is still feeling little awkward. Anubhav call waiter to order something.

EXT. Restaurant. Night.

Karishma singh and pushpa singh are standing outside the same restaurant, waiting for lalla (karishma's Husband) who has gone to park car. They are here for family dinner.

KARISHMA SINGH
Ammaa, aapke lalla itna samay kyon lagaa rahe hai. Bhook ke kaaran humaare pet mei chuuhe kabaddi kar rahe hai. Kahaa rh gaye ye.

PUSHPA JI
Ye tum kya humesha aapke lalla, aapke lalla karti rhti ho. Humaara lalla tumhaara bhi to kuch lagta hai. Or humare lalla ko kyon dosh de rahi ho. Bhulo mat humaare lalla ka hi plan tha aaj bhaar dinner karne ka.

KARISHMA SINGH
Haa to hum konsaa kh rahe hai ki humaara plan tha. Humne bs itta kahaa hai hume bhook lag rahi h or vo pataa nahi konse jungle mei gaadi park karne gaye hai.

PUSHPA JI
Der humaare lalla be nahi, der tumne ki thi thaane se aane mei. Hum or humaara lalla to kab se tayaar the jaane ke liye.

KARISHMA SINGH
Haa to humm kyaa kare saasu maiyaa apna kaam chhod de. Kaam bhi to jaruri h na..vo puraa niptaa kar hi to aayenge varna maddam sir se hume daant sunana padega.

Lalla enters.

KARISHMA SINGH
Ye aa gaye.. Kahaa rh gaye the aap. Hume itta zor ka bhook lagaa raha h upar se ammaa ko bhi humaare saath chhod gaye. Inhone taane de dekar humaare kaan mei dard kar diyaa.

PUSHPA JI
Humaari chugli karte waqt tumhaari bookh kahaa chali jaati hai. Ab nahi lag rahi bhook??

Aniket (Lalla)
Kyaa aap dono kahin par bhi shuru ho jaate ho.. hum thodi der ke liye kyaa gaye aap dono ka mahasangram shuru ho gaya. Ab chale yaa ladte rhnaa h..

KARISHMA SINGH
Haa Haa..chaliye..

All three goes inside the restaurant.

INT. RESTAURANT. NIGHT.

Anubhav and Haseena got the food they ordered. Haseena move ahed to take 'Raita' while Anubhav too wants 'Raita'. Their hands touches with each other's and their eyes met.

Just then Pushpa ji, Karishma singh and Lalla enters. As they search for table, Pushpa ji and Karishma notices Anubhav and Haseena lost in each other's eyes. They both are surprised to see them there.

KARISHMA SINGH
Maddam sir.. yaha.

PUSHPA JI
Vo bhi DSP sir ke saath.

They all went to them. Haseena and Anubhav realised Karishma and and pushpa ji are there.

HASEENA MALIK
Aap yahaan

ANUBHAV SINGH
Aap log yaha kyaa kar rahe hai. (notices aniket) Jijaji bhi hai..

ANIKET (LALLA)
Haa hum bhi hai saale sahab. Hum log to family dinner ke liye aaye the. Maaf kijiyega humne aap dono ki date kharaab kar di.

HASEENA MALIK
Date??

KARISHMA SINGH
Date..?? Maddam sir aap to ghar jaa rahi thi naa...

PUSHPA JI
Sahi to kh raha h lalla... ek ladka or ladki saath mei bhaar jaate h to vo date hi to hoti h naa.. Hum bhi shaadi se phle lalla ke papa ke saath aise hi date par jaaya karte the. (She blushes in her style)

Haseena and Anubhav exchanges look. Karishma is not getting what is happening.

ANUBHAV SINGH
Ai..Aisa kuch bhi nahi hai pushpa ji vo..

KARISHMA SINGH
(inturrupts in between) Haa to phir bataayiye kaisaa hai.

HASEENA MALIK
Vo Hum ghar hi jaa rahe the. Raste mei DSP sir ko dekhkar hum ruke to pataa chalaa ki unki gaadi kharaab ho gayi hai sahi hone mei ek ghanta lagega. Phir DSP sir ke kehne par hum yahan aa gaye dinner ke liye. (She became little serious while speaking) Pushpa ji aisa kuch bhi nahi h jaisa aap soch rahi hai.

ANUBHAV SINGH
Haa bas yehi baat h. Chaliye ab aap log bhi aa gaye hai to sab saath mei bhojan karte hai.

PUSHPA JI
Nahi nahi.. aap log khaaiye ..vaise bhi yahaa do hi kursiyan hai ..hum log kahin or baith jaayenge..

Pushpa ji wants them to spend some time together but Haseena Malik is not liking this.

HASEENA MALIK
Kursiya to or aa jaayengi pushpa ji.. Sahi ye hi hoga ki sab saath mei dinner kare.

During dinner Anubhav is showing special attention to Haseena making her uncomfortable.

ANUBHAV SINGH
Haseena ji aapne daal nahi li.. hum daalte hai.

HASEENA MALIK
Nahi sir hum ne le li thi. Hume nahi chaahiye.

ANUBHAV SINGH
Achaa or kuch chaahiye aapko ...Naan..

HASEENA MALIK
Nahi sir hume kuch nahii chaahiye aap pls pareshaan mat hoiye.

ANUBHAV SINGH
Isme pareshaani ki kyaa baat hai Haseena ji kuch chaahiye to bataa dijiyehga.

HASEENA MALIK
Nahi..Humaara ho gaya sir. Hume lagta h ab hume chalnaa chaahiye.. ammi ghar par wait kar rahi hogi.

PUSHPA JI
Lkin maddam sir aap ne thik se kuch khaaya hi nahii..

HASEENA MALIK
Nahi pushpa ji humbe khaa liye .. Ab hum chalte h ...already bht late ho gaya hai

ANUBHAV SINGH
Rukiye Haseena ji hum aapki maatashri ke liye bhojan bandhwaane ke liye kh dete hai.

HASEENA MALIK
Hum jaate jaate pack karaa lenge sir aap please pareshaan mt hoiye... (She turns to Aniket) Or Aniket ji Its ver nice to meet you (smiling).

ANIKET (LALLA)
Same here Haseena ji. Thankyou.

Haseena Malik get up and start leave.

KARISHMA SINGH
Maddam sir (calls Hasina alik from behind).

Haseena Malik turns to her.

KARISHMA SINGh
Maddam sir vo hume aapse kuch baat karna hai. Do minute baat kar sakte hai.

Haseena Malik nodes. They Both went to a corner to talk.

The TeamWhere stories live. Discover now