Part 6

538 35 1
                                    


HASEENA MALIK
Chaliye Karishma Singh aapka bhaukal dekhte hai.

Haseena Malik goes towards lockup.. everone follows her. She and Karishma singh go inside lockup. Haseena Malik shows Sketch of Ranjit to them.

HASEENA MALIK
Isko pehchaante hai aap log.

Nobody replies. Haseena Malik looks at Karishma Singh. Karishma gives a tight slap to one of them.

1st person
Ji.. ji.. maddam ye.. ye Ranjit hai... yehi apan sab ko maal supply karta thaa.

HASEENA MALIK
Or ye Ranjit milega kahaan par.

1st person
Pataa nahi maddam..

Karishma singh slaps him.

2nd person
Maadam.. hume..hume sahi mei nahii maaloom vo kahaa rehtaa hai bas..bas uska ek no. hai humaare paas jisse hum usse maal ka order dete hai.

Karishma singh beats him too.

HASEENA MALIK
Rukiye Karishma singh. Ranjit tak pahuchne ke liye uska no. hi kaafi hai. (To them) Ye saara maal Ranjut kaa to nahii lagta..vo kaam kiske liye kataa hai.. Uskaa naam kyaa hai

3rd person
Akki bhaai ke liye.

SANTOSH
(Shocked) Akki bhaai yaani..Akknan Ibrahim.. Maddam sir ye to bahut bada Underworld don hai jiske khilaf smuggling, murders, kidnapping or bhi bahut saare cases darj hai.

PUSHPA JI
Or Maddam sir hum galat nahi hai to iss par sarkar ne 5 laakh ka inaam rakh rakhaa hai.

HASEENA MALIK
Haa pushpa ji bahut saalon se ye Akki bhaai bhaartiya police ki aankhin mei dhool jhok rahaa hai.

Karishma singh can't control her listening all this and again start beating all the seven of them.

Karishma singh
(beating)Kahaa milega ye Akki bhaai.. bataao humko.. hum usse pakad kar laayenge.. choodenge nahi hum use

3RD PERSON
Hume nahii pata maddam vo kahaa milega...hume sahime nahi pata

1ST PERSON
Haa maddam hume nahi pata.

KARISHMA SINGH
Ama bataate ho ki nahi.

HASEENA MALIK
Ruk jaaiye karishma singh. Inhe sahi mei kuch nahi pata. Ye Akknan ibrahim bahut hi shaatir hai. Har kisiko ko uska pataa nahi maalom hoga. Humei uss tak sirf ek hi aadmi pahunchaa saktaa hai vo hai Ranjit.

5th PERSON
Hume maaf kar dijiye maddam hum kasam khaate hai ab se ye dhandha chhod denge.

HASEENA MALIK
Jo gunaah tum sabne kiyaa hai uske liye maaf to hum tumhe nahi kar sakte. Akknan kuch bhi nahi kar paata agar tum jaise log usse ye illegal saaman nahi kharidte. Vo jo chize smuggling karkar desh mei laata hai usse aam jantaa ke haath mei tumhi log pahunchaate ho. To maaf to hum tumhe nahi kar sakte lekin tum log chaaho to tumhaari sazaa kam ho sakti hai.

4th PERSON
Aap jo kahoge hum vo karenge.

HASEENA MALIK
Tumhe vahi karnaa hai jo ab tak karte aa rahe the.. ye sab samaan order karna hai.. lekin Ranjit ko nahi Surya ko.

KARISHMA SINGH
Maddam sir ye surya kon hai.

HASEENA MALIK
Aapke saamne hi hai Karishma Singh (looks at cheeta and smile)

CHEETA
Hum.!!??

HASEENA MALIK
Tum saton ek ek ghante ke gap mei Ranjit se baat karoge or usse kahoge ki ab se tumhe Akki bhaai je saath deal karne mei koii dilchaspi nahi hai kyonki usse behtar deal tumhe koii or de rahaa. Or uss koii or tak tumhe pahuchaata hai Surya.

KARISHMA SINGH
Maddam sir ye koi or kon hai.

HASEENA MALIK
Hum dono.

Everyone shocked.

HASEENA MALIK
Aayiye hum samjhaate hai.

Haseena malik explains her full plan to her team. They all understand what they have to do.


Int. Cloth Godam

The place is quite dark and filled up with cloth materials and cardboard boxes. The single ray of light entring the room is brighting half of the face of the man sitting on a chair with his eyes closed and head resting backside of the chair. Three other men are standing a little away from him. Ranjit enters the Godam. Those three men block his way.

men 1
Aee abhi nahi jaa sakta tu abhi bhaai aaraam kar rahe hain.

Ranjit
Aree jaano do bhaai, bahut zaruri kaam hai. (Calls akki bhai) Akki bhai.. Akki bhai.. Namaste.. inhe hatne ka boliye naa.

Akki bhai raises his head to see Ranjit.

Akki bhai
Aane do re ise. Apne kaam ka aadmi hai.

Men get aside from Ranjit's way. He goes towards Akki bhai.

AKKI BHAI
Jaldi bol.. Sanjit kaise ana huaa.

RANJIT
Bhaii Ranjit.

AKKI BHAI
Haa jo bhi hai.. koii badaa order hai kyaa.?? Kal hi singapore se maal aaya hai... Abhi ke abhi delivery karwa denge.

RANJIT
Bhai...bhaai vo..nayaa order to nahi aaya.. Vo ..lekin..vo..

AKKI BHAI
Aee..puraa din nahi hai mere paas.. saaf saaf bol..itna pasina kaiko aa raha terko.. (doubting him) kyaa manhoos khabar laaya hai bol jaldi... (almost shouting) bol..

RANJIT
Vo.. bhai puraane graahakon ne apne se deal karne se manaa kar diyaa. Koii nayaa gang aaya hai bhaai lucknow mei jo humse badiya deal de raha hai. Saare puraane graahak apne yahaan se udhar shift ho rahe hai.

Akki bhai bring his face near hin.

AKKI BHAI
Itni hi badiyaa gang hai to ... tu bhi shift ho jaa udhar .. Merko kaaiko bataa rahaa hai....

RANJIT
Nahii nahii bhaai aapko dhokaa dene kaa mei soch bhi nahii saktaa.. Jaise hi khabar mili seedhe bhaagkar aap ke paas aaya hun. Vo... dusri gang ke liye jo aadmi kaam kartaa h.. surya naam hai uska.

AKKI BHAI
Surya.. (after a pause) Ab bas chaar din ...chaar din mein uss gang ko pura khatam nahi kiyaa naa to mera naam bhi Akki bhai nahi.. Mere ilaake mei aakar mere hi customer ko chinne ka anzaam ab unhe bhugatna padega. (To Ranjit) Tu uss Surya se jaakar mil... vahi pahunchaayega hume inn naye kaboontron tak.

RANJIT
Ji bhaai. Mei samajh gaya kyaa karnaa hai.

Both smiles.

The TeamWhere stories live. Discover now