Context: Sonu faints after reading Mayank's message, during the Haldi ritual. After she gained consciousness she was left alone in her room with Ishqi.
Ishqi: Mere baat maanon aur Raj ko sach bata do
Sonu: Kaise Ishqi? Agar Sarla aunty ko pata chala toh woh mere shaadi Raj se hone nahi degi
Ishqi: Kam se kam apne bhaiya ko toh bata do. Usse jaane ka haq hai apne behen ke problems ke bhare mein
Sonu: Nahi, agar maine bhaiya ko bata diya toh main unn ki nazron mein gir jaongi. Kaise bataongi main unhe ke maine unn ki baat nahi maani aur chale gayi uss party mein aur kisi ne mujhe molest- (cries)
Sarla aunty: Kya!? Kisi ne tumhe-
Ishqi: aunty...woh
Sarla aunty: Chup! Main Sonu se baat kar rahi hoon. Sonu bata mujhe yeh sab kab hua?Raj, Ginni, maasi, Rhea, Kapoors and the Malhotras were chilling by the poolside when they heard Sarla aunty's voice so they went to see what the situation was. They all entered Sonu's room to find a furious Sarla and a terrified Sonu while Ishqi was thinking of an excuse in Sonu's defense.
Dadi: Kya hua Sarla ji? Sab teekh hai na?
Sarla aunty: Kuch teekh nahi hai! Puch le apne poti se. Kya keh rahi hai yeh, kisi ne usse molest karne ke khoshish ki?
Dadi: N-nahi aisa kuch nahi hai
Sonu: Nahi dadi, Sarla aunty sahi keh rahi hai. (She walked to Ahaan) I'm sorry bhaiya, uss raat aapne maana kiya tha lekin main phir bhi party mein chali gayi aur...She broke down. Ahaan was mum, he didn't know if to scold Sonu or support her. Raj hugged Sonu tightly. Kartik was teary-eyed while Mayank smirked, everything was going according to his plans.
Kartik: Ishqi, tumhe sab pata tha?
She nodded yes.
Dadi: sab kuch iss ladki ke vajah se hua. Kitni baar tumse kaha, iss ladki se dur raho lekin tumne mere baat nahi maani
Sonu: Inn sab mein Ishqi ke koi galti nahi hai in fact uss ne meri bahot help ki
Kartik: Sonu, sab kuch detail mein batao kya hua tha
Sonu: woh..
Sarla aunty: Mujhe kuch nahi suna! Yeh ladki meri ghar ke bahu nahi ban sakti
Raj: Lekin mom-
Sarla aunty: Decide kar lo main ya Sonu-
Raj: teekh hai, main apne Sonu ko choose karta hoon
Sonu: Nahi Raj. Tum mere liye apne maa ke saath aisa mat karo. Itne saalon se main apne maa ke bina kaise rahi sirf main jaan ti hoon and I don't want you to experience the same.
Sarla aunty: Aaj raat tak ka time hai tumhare paas decide karloSarla aunty left the room in fury. Ishqi walked to Sonu with the intention of consoling her but Ahaan stopped her.
Ahaan: Dur raho mere behen se. Dadi sahi keh rahi thi. You're a bad influence to Sonu. Uss raat tum drunk bhi ho gayi thi. Mayank samjha do apne fiancee ko aaj ke baad main nahi chahta ke mere behen uss hawa mein saas le jis hawa mein yeh saas leti hai
Ishqi got teary-eyed and left the room. Mayank,Maasi and Suman aunty went behind her.
Sonu: Bhaiya please, Ishqi se aise baat mat karo agar woh nahi hoti toh abhi aap mere antim sanskar kar rahe hoti. Main marna chahti thi...lekin Ishqi ne mujhe umeed di, mujhse kaha ke sab teekh ho jayega. Woh mujhse kehte rahe that I should tell someone lekin main dar gayi thi.
Raj wiped her tears, caressed her hair and calmly said
Raj: You could've told me Sonu...
Sonu: I wanted to Raj. I wanted to tell bhaiya also lekin mujh mein himmat nahi thi main sab ki nazron mein girna nahi chahti thi
Dadi: Agar tumne Ahaan ke baat maan liya hota toh ab yeh nahi hota. Ab Sarla ji tumhe ghar todhne wali ladki kahenge
Sonu: Nahi, Sarla aunty mujhe ghar todhne wali ladki ka tag nahi de sakti kyun ki Raj Sarla aunty ko hi choose karenge
Raj: Lekin Sonu agar maine aisa kiya toh hamare shaadi ka kya hoga
Sonu: Tum ek bahot acha ladka ho tumhe toh koi bhi mil jayega shaadi karne lekin ek maa irreplaceable hoti hai. Aaj raat sirf Ishqi aur Mayank ke shaadi hogi. Ab main unse milne jaa rahi hoon, taiyar hone mein help karne ke liye
Dadi: Sonu! Tum Ahaan ke baaton ko phir se ignore kyun kar rahi ho? Uss ne kaha na tum uss kaali billi se dur rahogi
Sonu: Bhaiya ne kaha Ishqi se dur raho apne best friend se nahi