part 3 : Kuch Alag Chai pe Charcha

966 44 10
                                    


Note : I feel financial independence is very important for women personally. So, I have added this section and also to make Anu think about her relation with Baa-Bapuji

----------------------

Anuj: Pakhi ka ab mood kaisa hai, matlab tumne us US jane se mana kiya tha.

Anu: wo bachi hai, abhi to samajh gayi hai, dekhte hai aage kya hota hai. Sach kahu to maine ye kabhi socha nahi tha ki meri sweetudi mujh se itni jaldi dur ho jayegi. Zyada duniya dekhi nahi hai, to mujhe to laga tha ki shaadi ke bad hi wo mujh se dur jayegi. Par career bhi zaroori hai, thoda bura lagega par main khud ko sambhal lungi

Anuj: Samajh sakta hu main, beti ki shaadi ke sapne aur tayari to maa-baap uske paida hone ke din se hi kar dete hai

Anu: Haan to, Mr Shah ne Pakhi ke naam bahut sari FD le rakhi hai. main bhi har teej-tyohar main uske liye chote-mote gehne ikathe karti aayi hu. Baa ne hi sikhaya tha mujhe, wo dolly behen ke liye karti thi.

Anuj: haan, Mukku ke paida hone ke bad mere ghar main bhi aisa hi tha. Mummy Papa bhi har festival, birthday pe Mukku ke liye alag se save karte the. Ek baar main mazaak mazaak main bol diya tha, uski dowry ke liye itna sab aur mere liye kuch nahi.

Us din, Papa ke mujhe life ka ek important lesson sikhaya tha. Unhone bola pehle zamane main dowry ek tarika tha apni beti ka future secure karne ka, taki use ek achcha ghar mile. aaj bhale hi zamana badla ho but beti ka future secure karna aaj bhi utna hi zaroori hai. Tab main ye lesson puri tarah se samajh nahi paya tha.

Par jab main kaam karne laga, to dheere dheere samjha. Pata hai Anu, aaj bhi duniya main same job ke liye mard ko zyada salary milti hai, aur aurat ko kaam. Padhai puri karna, ghar se nikal kar naukri karna, phir kam salary main job, less promotion chances, ek aurat ki life mushkil hoti hai. Financial independence is very important today but to achieve that woman must struggle a lot compared to man.

Zaroorat to dono ki ek jaisi hoti hai; par aurat ko salary kam milti hai. Yaha parents ki savings kam aati hai shuruaat ke un saalo main. Phir dheere dheere, wo apne dam par age badti hai, aur kamne lagti hai, aur ek din asman ko chu ti hai.

Jab Mummy-Papa mere liye US shift hue, naya desh, business phir se set karna bahut mushkil tha. Hamari lifestyle affect hui thi, earnings kaam thi, savings zero. Par unho ne kabhi kuch bola nahi, hum saath the wo sabse zyada important tha. Aur papa ko yakeen tha ki main aage jaa kar khud taraki karunga. Un saalon main wo Mukku ke liye kuch save nahi kar paye the.

Anuj continues with a very heavy heart in low gloomy voice: Zindagi ne mujhe kuch sabak bahut bedardi se sikhaye hai. Jab use accident ke baad meri Mukku coma se bahar aayi, mujhe zindagi ne ek kadwa sach shikhaya. Use accident aur treatment main, humari sari saving, yaha tak ki GK ki bhi sari saving sab khatam ho gaya tha. Agar, us accident main mujhe kuch hota to meri Mukku ka kya hota, main soch ke darta hu.

Phir maine khud se promise kiya, aage chal ke main rahu ya na rahu, meri Mukku kabhi kisi pe depend nahi karegi. Mujhe uska future secure karna tha, har haal main. Rishton aur pyaar ki jagah koi nahi le sakta. Par meri Mukku hamesha sar utha ke apne ghar main, haq se apni zinadagi jeyigi. Wo kisi ki mohtaaz nahi hahi, khaas kar paise ke liye to kabhi nahi. Aisa nahi hai ki mujhe uski capability pe doubt that par bada bhai hone ke nate main use wo dena chahta tha. Agar mummy papa hote to wo bhi yahi karte.

Anu: Aap sahi hai, ek aurat ke liye ghar se nikal kar kaam karna hi bahut mushkil hota hai. Waise mujhe nahi pata tha, ki aurat ko pagaar mard se kam milti hai

Anuj: Ye sach hai, aur sirf humare desh main nahi puri duniya main.

-------------------------

Anuj: Bura na mano to ek baat bolu

Kuch Pal MaAn Ke SangWhere stories live. Discover now