Sm1: maine pucha kya ho rha hai yahan
Ananya : arey vo kuch nhi bas
Sm1 : ananya behave I am principle of your college not your friend ye kya arey bol rhi ho , call me sir ok
Ananya :😒
(So the person is principal of college and he is none other than Samir Soni 👇)Samir (while looking at Tara ) : Tara ye kya haal bana rakha hai tumne apne aap ka
Tara : actually sir ananya spilled coffee on me
Samir : what ? Ananya kya ye sach hai .
(Ananya downs her head )
Samir : ananya come to my office right now and Tara apne aap ko saaf Karo jaa kar
Alia : but sir
(Alia was about to say something but ananya holds her hand and nodded)
(Then Samir goes to his office and sara , Tara to washroom )
Alia (to ananya ) : kyun roka tune mujhe bolne toh deti
Ananya : kya hota bol kar hmm. yk Tara is brilliant in studies toh sir usse kuch nhi kehte aur main , mere baare mein toh sab jante hi hai 🙁
Shraddha : but ananya vo studies mein achi hai iska matlab yeh toh nhi ki sir uski galati par react hi nhi karenge this is so unfair
Ananya : chal chod na main office jaati hu vaise bhi agar late ho gyi toh chaar baatein late hone ki bhi Sunni padengi
(Then ananya goes to principal office )
In principal office
(Samir Soni is sitting on chair and ananya is standing in front of him while Ananya's friends are standing by the door & listening )
Samir : ananya your father is the trusty of this college iss liye main tumhari inn harkaton par koi action nhi leta . Tum kab sudhrogi ? You know what tumhari itni complaints aayi hai na mere paas ki main tumhe abhi iss college se bahar nikal du . Tumhare siblings they both are ideal students . Janhvi your sister she is great in studies tumhe toh usse tution Leni chahiye infact your own friends , they are good in studies . Tumhari inhi sab harkaton ki wajah se humare college ki aur tumhare papa ki reputation down hoti hai par tumhe toh usse koi farak nhi padta . Arey mujhe toh Taras aata hai tumhare papa par kyun ki unhe toh lagta hai unke bache padh rhe hai par unhe nhi pata ki unka ek bacha paise barbaad kar raha hai .
Ananya : 😔
Samir : ananya this is my last warning agar agli baar koi bhi complaint aayi toh mujhe tumhe college se bahar nikalne se koi nhi rok sakta samjhi tum . Ab jao apni class mein
(Ananya comes out of the office with teary eyes and see her friends)
Sid : ananya are you ok?
Ananya : I am ok tum log class mein jaao main thodi der mein aa jaungi
( saying this , she left)
Varun : ananya .....
Shradhha : jaane do Varun usse bahut bura laga hai
Alia : bura toh lagega hi na har baar uska comparison uske bhai behen aur friends ke sath hota hai
Sid : aur nhi toh kya jab Hume bachpan mein humare parents bolte the ki dusre bachon se kuch seekho toh Hume kitna bura lagta tha
Kartik : aur ananya ko toh har choti baat par yahi bola jata hai
Varun : pata nhi kab tak chalega ye sab
Shraddha : tum log class mein jao main ananya ko lekar aati hu
Kartik : nhi Shraddha main jata hu
Alia : ye sahi rahega , hum sab class ke liya jaate hai
(They all go to class and kartik goes to college ground where ananya is crying sitting on bench . Kartik goes near to her . She sees him and wipe her tears )
Ananya : kartik tum yahan
Kartik : ananya tum ro rhi thi
Ananya : nhi vo bas aankh mein kuch chala gya tha
Kartik : jhooth bol rhi ho aur vo bhi mujhse (while turning her face towards himself)
(Ananya hugs kartik tightly and started crying , Sara is looking at both of them from far )
Kartik : ananya bas dekho Rona band karo(pating her on the back)
Ananya : kartik kya main itni buri hu (crying)
Kartik : kisne bola ? Tum bahut acchi ho. Chalo ab Rona band karo
Ananya : Aisa mere sath hi kyun hota hai? agar janhvi aur adi studies mein ache hai aur main nhi toh isme meri kya galti hai . Har baar mujhe kyun bola jaata hai ki apne bhai behen se seekho kuch . Main thak gyi hu ye sab sun kar(crying)
Kartik : Tumhari koi galti nahi hai samjhi tum . Har kisi mein koi na koi khoobi hoti hai koi studies mein acha hota hai toh koi sports mein . Jo log in sab mein comparison karte hain vo log galat hai . Aur meri baat suno dekho meri taraf (he kept his hands on her cheeks and wipes her tears)tum bhi toh ek cheez mein mahir ho
Ananya : kis mein
Kartik : ladne mein
(Ananya slightly smile on kartik's comment)
Kartik : hasa karo haste huye hi achi lagti ho naa ki rote huye samjhi tum (he hugs her whereas Sara is fuming in jealousy and she left in rage )
Ananya : thank you mujhe humesha ki tarah sambhalne ke liye . Agar tum na hote toh mera kya hota
Kartik : main hu humesha tumhare sath chalo ab lecture ka time ho gya hai
Ananya : hmm
(They went for lecture)
On the other side
( Sara angrily walks through the corridor and bumps into someone and the person falls on floor )
Sara : sorry mera dhyaan kahi aur tha I am sorry ...., " janhvi"😮
Janhvi : arey mujhe utha toh sahi pehle
Sara : Haan (she helps her to stand)
Janhvi : itne gusse mein kahan jaa rhi thi
Sara : gusse mein …… nhi toh
Janhvi : arey dost hu teri aur mujhe pata hai ki jab tu gusse mein hoti hai toh tujhe idhar udhar ka kuch nhi dikhta
Sara : nhi Aisa kuch nhi hai
Janhvi : pakka ?
Sara : haan par tu yahan kya kar rhi hai
Janhvi: main yahan kya kar rhi hu matlab ye college mein main bhi padhti hu shayad tu bhul rhi hai
Sara : arey tune khud hi toh bola tha ki tu Aaj college nhi aayegi , tujhe toh ishaan ke sath date par jaana tha
Janhvi : jaana toh tha par ishaan ko kuch important kaam aa gya so vo cancel ho gya
Sara : ok
Janhvi : vaise Tara kahan hai
Sara : vo class mein hai main bhi vahin jaa rhi thi
Janhvi : toh chal fir chalte hai
(They both goes for class)(I hope you guys will love it ☺️)
YOU ARE READING
soty 2
FanficSo this is my first FF . The character of this ff is same like the movie but not the whole thing . other characters also added. so, basically this is tiganya FF and one more important thing I just want to say that I don't have hatred feelings for...