chapter 6

166 15 0
                                    

In girls hostel
(Alia , ananya and Shraddha 's room)
(Shradhha and Alia are sleeping meanwhile ananya is not sleeping , she is thinking about something )
Ananya's pov : kaise aaram se so Rahi hain dono aur main itni tension mein hu , abhi uthati hu
Ananya : Alia.... Alia please get up na
Alia : hmmm hmm (while sleeping )
Ananya : kya hmm hmm kar rhi hai uth na (while patting her face )
Alia : hmm kya hai sone de na
Ananya : dekho utho please
Alia : mera dimaag kharab mat kar mujhe sone de (while covering her face with blanket )
Ananya : Alia please utho Shraddha tum hi uth jao
Shraddha : kya hai ananaya itni raat ko kyun shor kar rhi hai sone de na (while covering her ears with pillows)
Alia : vaise bhi kal college hai
Ananya : yaar please utho na mujhe bahut stress ho raha hai
Alia : kal exams hai ?
Ananya : nhi
Alia : toh stress kis baat ka ?
Ananya : arey main kartik ko propose kaise karungi aur agar usne mujhe mana kar diya toh
Shraddha : arey par tu toh parso karne wali hai na propose toh aaj kyun humari neend bigad rhi hai
Ananya : arey parso nhi kal
Alia : kya tu kartik ko uske b'day Wale din propose nhi karne wali thi
Ananya : arey 2 :00 am baj gye hai it means agla din shuru ho gya hai toh iss liye bol rhi hu
Shraddha : omg tu itni raat ko humari neend kharab kar rhi hai
Alia : dekh anu tu so ja main tujhe promise karti hu ki kal main teri madad karungi dekhna kartik tujhe mana nhi kar payega
Ananya : pakka
Alia : hmm
Shraddha : ab toh so ja aur sone de
Ananya : haan haan so jao
Alia : aur tu bhi so ja stress mat le
Ananya : hmm
(She also sleeps )
Next morning
(They get ready for college and went)
In college
(Sid , Varun are playing basketball )
Sid: aaj main tujhe jeetne nhi dunga
Varun : achaa koi nhi dekhte hai
(Varun tossing the ball and tries to put ball in basket but he fails then sid snatched the ball and started tossing in front of basket and he makes goal )
Varun : ohh shit
Sid : woo hooo bola tha na jeetne nhi dunga
Varun : aisa kuch nhi hai main jaan bujh kar hara
Sid : ohhh really
Varun : aur nhi toh kya maine socha ki tu mera itna acha dost hai har waqt meri help karta hai toh chalo iski Kushi ke liye aaj main haar jaata hu
Sid : oh meri drama queen bas kar tu Maan ya na Maan par tu aaj mujhse hara hai
Varun : okay main haar gya par teri Kushi ke liye
Sid : teri toh....
Varun : ok ok relax
(They both started laughing meanwhile Tara , Sara and janhvi come there )
Sara : kya baat hai aaj tum dono bahut kush ho ,hmm.
Varun : arey kuch nhi bas aise hi
Sid : aur girls aaj bahut jaldi aa gye tum log
Tara : kyun hum jaldi nhi aa sakte
Sid : nhi main toh aise hi puch rha tha
Janhvi : subah subah basketball match
Varun : yeah , mind refreshing
Sara : vaise kartik nhi khel Raha tum logon ke sath
Tara to Sara : tujhe bahut yaad aa rhi hai kartik ki
Sara : shhh chup kar
Varun : nhi kal uska birthday hai toh Vo sab ko invite kar rha hai
Tara : aur tum log yahan basketball khel rhe ho tum dono ko toh uski help karni chahiye thi bechara vo akela invite kar rha
(Then Alia and Shraddha come there)
Shraddha : kisne kaha ki vo akela hai
(They turned towards them )
Sid : matlab ?
Alia : matlab uski best friend hai na uske sath
Sara : best friend kaun
Varun : arey Sara ek hi toh hai uski bff ananya
Alia : hmm ,
Janhvi : bye sid bye Varun class mein milenge , hmm . Chalein (to Sara and Tara )
Sid/Varun : bye girls
Sara : bye
(They went )
Sid : inhe kya hua achanak se chale gye
Shraddha : arey hum jo aa gye
Varun : arey nhi aisa kuch nhi hai
Alia : tum bahut side le rhe ho unki
Varun : main kahan side le rha hu main toh aise hi bol rha tha yarr
Alia : ohh really
Varun : Alia...
Alia : acha acha baba sorry I was just kidding
Shraddha : chalo hum log bhi class ke liye jaate hain
Sid : hmm ,chalo.
(They went to classroom)
(In the corridor Anantik is inviting students meanwhile Sara , and janhvi come there and see them together )
Sara's pov : jab dekho kartik ke sath chipki rehti hai . mana ki best friend hai par kartik ko kabhi chodti hi nhi hai , khair mujhe kya ? mujhe inhe sath dekh kar itni problem kyun ho rhi hai , ohh god ! Aise toh main pagal ho jaungi .😒
(Kartik looked at Sara and janhvi )
Kartik : ananya
Ananya : hmm
Kartik : tum baaki students ko invite kar dena main Sara and janhvi ko invitation card dekar aata hu
Ananya : oh sure .
(He goes to them meanwhile ananya looking at them )
Kartik : hi girls
Sara : hlo kartik
Janhvi : hlo
Kartik : so basically kal mera b'day so I really want ki tum teeno kal mere birthday party mein aao vaise Tara kahan hai
Sara : actually vo washroom gyi hai
Kartik : Sara , tum ye invitation card usse de dogi please
Sara : offcourse kartik I will.
Kartik : thanku aur aaoge na tum log party mein
Janhvi : I am sorry kartik main nhi aa paungi mujhe kuch kaam hai I hope you will understand
Kartik : it's ok janhvi I can understand
Janhvi : thanku so much
(Then janhvi's phone rang and she picked the call )
Janhvi : Sara , I will see you in class ,bye .
Sara : ok bye (janhvi goes from there)
Kartik : aur tum Sara
Sara : main  jarur aayungi
(They both looked into each other's eyes )
(Ananya comes there )
Ananya : kartik maine sabhi ko invitation cards de diye
Kartik : oh thanku so much ananya
Sara : ok bye kartik
Kartik : bye .
(She is about to leave when her foot slips and she is about to fall )
Ananya : Sara...(in tensed voice)
(But kartik catches her and they share an eyelock kartik just lost in Sara's beautiful brown eyes )
Ananya : shukar hai , are you ok Sara ?
(After hearing ananya's voice kartik made Sara stand freely)
Sara's pov : isne bol kar Saara scene hi kharab kar diya . Kya hai yaar thodi der aur chup nhi reh sakti thi
Ananya : Sara kahan kho gyi
Sara : hmm , kya ?
Ananya : are you ok ?
Sara's pov : vaise toh sidhe muh baat nhi karti aur aaj meri itni fikar ho rhi hai ohh haan kartik jo hai yahan ek achi ladki nhi banna isse usse dikhane ke liye
Sara : tumhe meri itni fikar kyun ho rhi hai aaj ,hmm.
Kartik : Sara ananya ne aise hi pucha hai sirf
Ananya : arey vo toh main
Sara : vo tum hi thi na jisne meri behen par coffee feki thi
Ananya : I am sorry maine tumse pucha ki tum theek ho , now happy . Aur haan ye baat tum bhi bahut ache se janti ho ki maine uss din coffee kyun feki thi . Bhalayi ka jamana hi nhi hai (after saying this , she leaves )
Sara : bye kartik (she also went )
Kartik's pov : pata nhi inki ye fight kab khatam hogi
(He also goes to class )
(After   2 and 3 classes and some party discussion , they all went to there respective hostels)

(I hope you will love it 🤞)

soty 2Where stories live. Discover now