Part - 1

2.5K 60 2
                                    

Story is same as serial with slight change.


Abhimanyu neil se kahta hai ki ab chahe kuchh bhi Ho jaaye mein Akshara ko bhool kar ab Aarohi se shaadi karunga, kyunki Ma yahi chahti hai aur Akshara ko maine bahut mauke diye, maine usse bahut poochhne ki koshish ki lekin her baar usne yahi bola ki voh mujhse pyar nahin Karti hai , maine use bahut  manane ki koshish ki lekin voh nahin Mani , mai use acchi ladki samajhta tha lekin voh to mujhe aag mein Aisa hi jalta chhod kar bhag gai thanks to Aarohi usne mujhe bachaya, aur ab to maa Ko bhi Aarohi pasand hai haan mai manta hoon ki main Akshara se pyar Karta Hun per maa ki Khushi ke liye mujhe Aarohi se shaadi karni hi padegi

Neil : Bhai aap Akshara ko galat samajh rahi hai mujhe pura yakin hai voh aapse pyar karti hai bus kuchh toh  vajah hai jiski vajah se voh na bol rahi par please bhai aap apne sath Aisa mat kijiye aap yah sab maa ki Khushi ke liye kar rahe hain lekin aap khud hi sochiye jab aap khud  khush nahin honge to maa kaise Khush hogi.

Abhimanyu : nahin neil mein yeh faisla kar chuka hoon, Akshara hogi acchi ladki lekin use mere pyar ki koi kadar nahin hai, Lekin ab main Puri jindagi uske liye apni maa Ko to taklif nahin de sakta na aur maa chahti hai mein jald se jald shaadi kar loon voh bhi Aarohi se to Maa ki Khushi ke liye mein Aarohi se shaadi karunga aur hum Aaj hi uske Ghar rishta lekar ja rahe Hain aur ab mujhe is bare mein koi behas nahin chahiye, Abhimanyu Birla ki jindagi se Akshara Goenka ka chapter yahi khatam hota hai aur meri tujhse request hai  ki tu is maamle mein ab kuchh mat Karna.

Yeh keh kar Abhimanyu room se chala jata hai.

Neel – nahin bhai mujhe pura yakin hai ki akashra bhi aapse pyar karti hai aur kuchh to vajah hai Jo who yeh sab  chhupa rahi hai aur jahan tak Rahi aapko aag mein se ko bachane ki toh mujhe yakin nahin hota ki Akshara aapko aise chhod ke Chali gai, main is baat ka pata Laga kar hi rahunga chahe iske liye mujhe kuchh bhi karna pade mere liye aapki Khushi sabse jyaada matter karti hai aur main jaanta hun aapki Khushi sirf aur sirf akshra se shaadi karne mein hai Arohi se nahin, lekin mujhe jaldi kuchh karna padega isase pehle ki baat hath se nikal jaaye aur voh bhi aaj hi kyunki agar Aaj Aarohi se bhai ka rishta Tay Ho Gaya to fir unka aur Akshara ka Milana namumkin ho jaega Jo ki main nahin chahta isiliye mujhe aaj hi jakar sari chij pata karni hogi yeh kahkar Neel bhi kamre se chala jata hai.

Goenka villa

Akshar Apne kamre mein packing kar rahi hoti hai kyunki ab woh yahan rehkar kisi Ko dukh nahin Dena chahti isiliye usne socha hai ki voh agar Ho yahan se Chali jayegi tu hi sab theek ho jaayega aur vaise bhi ab abhimanyu bhi us se nafrat karne lag Gaya hoga to isliye achcha hi hai ki voh Chali jaaye aur Aarohi bhi Abhimanyu se bahut pyar karti hai to un dono ki shaadi ho jayegi agar main yahan hongi to Shayad kuchh dikkat Ho jaaye isiliye mujhe yahan se Jana hoga yeh keh kar woh apna backpack karti hai aur apne liye ticket book karva deti hai yeh baat kisi Ko nahin pata ki Akshara ne kya socha hai udhar dusri taraf Neel camp pahunchta hai Jahan per Aag wala hadsa hua tha voh kuchh der search karne ke bad use ek CD milati hai aur voh CD Ko dekhkar hairan Ho jata hai, voh vohi CD hai jisme Akshara Abhimanyu ko bachati Hui Apne pyar ka confession karti hai  aur arohi se bolti hai ki abhimanyu ka checkup kare aur waha se ek kone jaakar baith jaati hai use panic attack ki wajah se behosh ho jaati, kaise arohi abhimanyu ko bachane ka saara credit le leti hai, use bahut gussa aata hai Aarohi per kyuki Aarohi ki wajah se aaj uske Bhai ki yeh halat aur Akshara per bahut daya aati hai. Neel decide karta hai ki chahe kuch bhi ho who apne bhai ko Bata kar hi rahega ki Akshara aur usse pyar karti hai aur Aarohi ko galat sabit kar ke hi rahega kyunki Aarohi ki vajah se hi Aaj Abhimanyu aur Akshara ki yeh halat hai aur voh ek aur baat ka bhi pata karke rahega ki jab Akshara Abhimanyu se itna pyar Karti hai to voh kyon ruk Rahi hai kyon Apne pyar Ko Kabul nahin karti aakhir vajah kya hai yeh sochkar voh Goenka villa ki taraf se nikalta hai.

Dusri taraf Abhimanyu apni family ke saath  Goenka villa jata hai
Neel vansh ko phone karta hai aur usse bolata hai pehli aur aakhri baar tumse kuch maang raha hun kya Tum Mera sath de sakte ho
Vansh ko samajh mein nahin aata ki neil kya bol raha hai toh who puchta hai toh neil bolta hai ki mujhe ek aisa camera chahie Jo tumhare drawing room ki TV se attach ho aur button ki size ka ho aur saamne Wale ko pata na chale cemera hone ka vansh ko kuchh samajh mein nahin aata voh neil se puchta hai toh neil bolata hai ki Bus mein Jo main kahta hun meri baat Mano Aaj sab sahi ho jaega kuchh galat nahin hoga vansh jisko thoda bahut idea hai ki Akshara Abhimanyu se pyar Karti hai Neel ki baat sunkar use is  yakeen ho jata hai aur voh neil ki baat maan jata hai

Woh neil ko ek aisa kya cemera deta hai jo uske button mein Laga Ho jisse aur uska sidha sidha telecast Goenka’s ke drawing room ke television mein hoga yeh sab kuchh Ho jata hai. Idher birla’s Goenka’s ke ghar aate Hain aur Aarohi ko dhanyvad karte hain Abhimanyu ki Jaan bachane ke liye Manjiri Aarohi ko bolati hai ki aaj usne Abhimanyu ko nahin balki mujhe bachaya hai mere liye abhi kya hai beta Tum nahin samajh sakti hai aise hi baatein ho rahi hoti hai ki Neel bhi vahan aajata hai aur vansh kisi  Ko shak hue Bina use Akshara ke room mein pahuncha deta hai Neel dekhta hai ki Akshara Apne kamre mein baithi Hui hoti hai aur yeh bhi notice Karta hai ki kisi ko koi parvah nahin ki akshara unke sath hai ya nahin hai unhen sirf Aarohi ki Khushi ki chinta ho rahi hai yah baat neil ko thodi ajeeb lagti hai per fir bhi woh is baat Ko jaane deta hai abhi uska main mission yeh hai ki Aarohi ka jhooth sabke samne lekar aaya aur Akshara ka sach, tabhi voh uske Bhai ki jindagi barbad hone se bacha sakti hai aur Akshara aur Abhimanyu ek ho sakte hain yeh sab sochkar who Akshara ke kandhe mein hath sakta hai.

Neil ko dekh kar akshara thoda chauk jaati hai per khud ko compose karke puchti hai.

Sangharsh ( Abhira story)Where stories live. Discover now