Akshara bahut roti hai uski haalat bhi theek nahi lag rahi hai phir bhi woh bolti hai - theek hai main tumhen bataungi lekin tumhen mujhse promise karna padega ki tum yeh baat kisi Ko nahin bataoge
Neil bolta hai ki theek hai main nahin bataunga lekin agar kisi Ko apne aap pata chal jaaye to main kuch nahin kar sakta Akshara bolati hai theek hai toh suno.
Akshara : tumhen pata hai jab main 3 mahine ki thi tab meri mumma Chali gai thi god ke paas mujhe unke bare mein kuch bhi nahin pata Shivay unki shakal aur naam ke, Fir uske kuch mahine baad Papa ne Sirat maa se shaadi karli aur voh meri mumma ban ke aa gai voh bahut acchi thi aur mujhe bahut pyar bhi karti thi, uske kuchh mahine baad Aarohi bhi aa gai, hum sab ek bahut acchi family the, mujhe kabhi pata bhi nahin chala ki voh meri mumma nahin hai kyunki unki aur meri mumma ki sakal same to same thi , yeh to mein 8 sal ki thi tab pehli bar mujhe pata chala ki sirat mumma meri mumma nahin hai, meri mumma toh Naira mumma hein jinki death ho chuki hai, tumhen pata hai us samay mujhe kaisa laga mujhe bahut dukh hua bahut Rona aaya kyunki main apni mumma ke bare mein kuchh bhi nahin janti thi kuchh bhi nahin Shivay unki shakal aur naam ke, kisi ne mujhe unke bare mein kuchh nahin bataya aur use din jab mujhe yeh baat pata chali usi din Aarohi ko bhi yeh baat pata chali us se pehle Mera aur Aarohi ka rishta bahut achcha tha hum ek dusre se bahut pyar karte the lekin Jabse use yeh baat pata Chali sab badal gaya , us din se humara rishta badal gaya woh mujhe step sister maan ne laggayi use mujhe se nafrat hone lagi use laga uski mom ko mai us se cheen rahi hoon, voh har baat mein mujhse competition karne lagi use is baat ka gussa aata tha ki voh is ghar ki no 2 beti hai aur uski mumma papa ki no 2 wife hai, usnein kabhi yeh nahin socha ki voh kitni lucky hai ki uski maa us ke paas hai aur voh unke baare mein sab jaanti hai, mujhe to apni naira mumma ke bare mein kuchh bhi nahin pata tha, na hi kabhi koi unka jikr karta tha aur mujhe pata hai sab log sirf isliye ki kahi Aarohi ko bura na lage is liye koi bhi meri mumma ka naam bhi nahin lete the, yahan tak ki Papa bhi nahin.
Pata hai neil mujhe kabhi pata nahin chal Paya ki meri mumma kaisi thi Kaun thi, sab logon Ko sirf aur sirf Aarohi ki hi fikr thi aur aaj bhi sirf uski khusi sab ke liye sab se pehle hai ,tum mujhe galat mat samjhna mujhe is baat se koi problem nahi hai Lekin kabhi kabhi lagta hai ki kisi ne yeh bhi nahin socha ki at least chahe kuch bhi ho arohi ki mumma uske pass toh hain aur use apni mumma ke baare mein sab pata hai aur aaj bhi is ghar uski mumma ka har birthday manaya jata hai unka naam liya jata per meri mumma ka to koi naam bhi nahi leta mujhe toh meri mumma ki birth date bhi nahi pata, mere pass meri mumma ki koi yaad nahin hai, halaki sirat mumma bhi meri mumma hi thi kyunki maine unhen hi Bachpan se apni mumma Mana tha.
Yeh sab sunke sab bahut dukhi hote hia yaha tak ki harshvardhan birla bhi , Goenka’s ko ab ehsaas ho raha hai ki unhone sirf Akashu ke saath hi nahi balki niara ke saath bhi anyaay kiya hai .
Akshara : tumhe pata hai Neil Aarohi toh meri mama ka naam sunte hi chidh jaati thi isiliye sabne decide Kiya ki voh kabhi bhi Naira mumma ke bare mein baat nahin karenge, dheere dheere sab meri mumma ko bhul Gaye yaha tak ki papa bhi, fir ek din Papa ka plane crash ho gaya us din Papa ki death ho gai aur sirat mumma Mandir gayi thi prathna karne ke liye, hum sab log bhi ghar per prathna kar rahe the lekin Aarohi ne bahut zid ki voh Mandir mein jaake hi prathna karegi maine usko bahut roka bahut samjhaya ki nahin vahan mat jao vahan bahut tufan aur Aandhi aa rahi hai lekin Aaru ne meri ek bhi nahin suni aur who mujhe dhakka maar ke Chali gayi, maine apni sirat mumma ko promise kiya tha ki aaru ka humesha khayal rakhungi aur uski happiness ka bhi is liye main bhi is dar se ki kahin use kuchh hona jaaye uski piche piche Chali gai, aaru Mandir ke andar pahunch gai aur main bhi Mandir ke andar jaane wali thi tabhi seerat Mumma ne mujhe dekh liya voh mujhe lene niche aa rahi thi ki unka pair fisal Gaya aur unki death Ho gai ,
Aarohi ne us din se mujhe is baat ke liye blame karna shuru kar diya jabki logically dekha jaaye to seerat mama ki death ki vajah mein nahin aarohi hai, lekin maine yeh baat kabhi kisi se nahin kahi kyunki sab log sirf aur sirf Aarohi ka hi saath de rahe the, Mimi aur badi mom ne mujhe kaha ki Aarohi bacchi hai usne itni Kam umr mein apni maa ko khoya hai sab sirf Aarohi ki hi parava kar rahe the mere bare mein kisi ne nahin socha ki maine bhi to apni mumma ko khoyi hai voh bhi dusri baar, Aarohi bhi bar bar mujhe hi blame karti thi yahan Tak apni apni zid mein ek din khana bhi chhod diya tha lekin kisi ne ya nahin dekha ki main bhi to din utne dino se bhukhi hoon, aur fir kuch dino baad sab ne mujhe decide karke hostel mein bhej diya mein 12 sal se mein hostel mein thi lekin kabhi kisi ne mujhe ek call bhi nahin kiya, yaha tak ki mere apne bhai ne bhi nahi, yeh soch ke ki Kahi aaru ko Bura Na lag jaaye Kahi uska Dil Na tut jaye, Lekin kisi nahin socha ki Akshara ka bhi to Dil hai aaru mujhse sirf 1 saal hi chhoti hai, dhire dhire mujhe yeh ehsaas ho gaya ki jis din meri naira mumma ki death ho gai us din se sab logon ne meri mumma ke sath sath mujhe bhi bula Diya hai, Lekin fir bhi Mai apni family manti hoon un logo ko aur main un logon se bahut pyar karti hun pata hai neil mujhe kabhi family ka pyaar nahi mila is liya humesha koshish Karti hoon unka pyaar paane ki.Jab mein yaha aayi toh Abhimanyu se meri mulakat Hui aur mujhe usse dekhte hi pyar Ho Gaya, mujhe laga ki voh ek Aisa Insan hai Jo mere sare dukhon ko takleef ko dard ko loneliness khatam Karega lekin chah kar bhi hum donon ek sath nahin ho sakta the yeh baat mein acchi tarike se janti thi, lekin fir bhi main sirf yahi soch ke ki pyaar na sahi friendship hi sahi aur apne pyar ki vajah se main uski friendship to nahin kho Shakti isiliye main uski friend Bani Rahi, kuchh dinon bad mujhe pata chala ki Aarohi bhi abhimanyu ko pasand karti hai, Par main janti thi yeh uska pyaar nahi obsession hai first aane ka, yeh best ko best milna chahiye, voh abhimanyu se pyaar nahi karti kyuki jis Dil mein pyar hota hai na us dil mein aur kuchh nahin hota,
Aarohi ne dhire dhire karke Abhimanyu ki good books mein aane ke liye jhooth per jhooth bolti gai maine use bahut samjhaya lekin use sirf yahi laga ki main use khush nahi dekhna chahti aur use nicha dikhane ke liye yeh kar rahi hun lekin sachchai to yah ki main Sirat mumma se kiya hua apna promise nibha rahi thi aur usi promise ki vajah se aaj tak mein Aarohi ki har galti ko maaf karti rahi aur jahan tak baat Abhimanyu ki hai jis din vo rishta lekar aaya tha usse ek din pehle mujhe kuch Aisa pata chala ki chah kar bhi mein uska sath nahin de sakti kyunki kisi Ko do pal ki Khushi dene ke liye main use jindagi bhar ka gum nahin Dena chahti.
So that's it for today .
Please do like and comment 🙂.
YOU ARE READING
Sangharsh ( Abhira story)
Fanficyeh story abhimanyu aur akashra ke sangharsh ki hai.