N- Kehte hai life aapko kabhi kabhi itna bada dhakka de jaati hai ki usse nikalna naa mumkin sa lagta hai. Lagta hai, abhi zindagi khatam kar le, shene se acha mar jao, waise bhi kisi ko kya hi farak padhta hai ya hoga. Jab aap 18 ke hote ho, toh aap apni life mai bhut kuch naya dekhte ho, seekhte ho, jaante ho. Par jab aap ek aisa sach, ek aisa raaz jaan jate ho toh aapki puri duniya hil jaati hai. Aisa hi, kuch Karishma ke saath hua .Karishma bhi, aapke mere, aur baakiyon ki tarah ek Happy- Go- Girl thi. Kush rehna, positivity baatna, apni life ko puri tarah aur hakk se jeena, uska maksad tha. Par ek din uska sab kuch usse chinaa gaya. Jaruri nai hai, aapka best friend aapke dost mai chupa ho, kabhi woh humare, mentors humare parents, mai bhi chupa hota hai. Par jab sab normal chal raha ho aur aapki khushi achanak se aapse china jaaye toh? Kaisa lagega? Kuch aisa hi Karishma Singh ke saath hua. Ek 10 saal ki bachi ne apne mentor, apne idol apne best friend ya apne best papa ko kho diya. Uss din uske liye sab kuch badal gaya. Sab kuch. Dhoop ki jagah kaale badal ne le li. Roshni ki jagah andhere ne. Chamak woh kya hota hai? Karishma ke liye sab badal gaya. Aur tab hui usse ek aisi problem jiske baare mai kisi ne kalpana bhi nai ki thi.
आप पढ़ रहे हैं
Beyond Reality's Veil
FanfictionKarishma was lonely since childhood, she was bullied by her classmates. But one person always held her back. Haseena Mallik. But what will happen when Karishma will get to know that, it was all in her mind? And Haseena never existed Borderline Perso...