Nandini tensed about marriage

122 17 6
                                    

Nandini after talking to her mother in phone she came to canteen to talk with Manik

Manik:kya hua Nandini aunty ne tujhe phone kyu kiya tha

Nandini: are yaar pata nahi ab mera kya hoga  idar Harshad ke samne meri bolti band ho jati hai aur udar mere parents shadi ke liye ladke dund rahe hai

Manik: lekin teri college ki padhai ke liye abhi bhi ek saal bachi hai toh tere Mummy papa ko teri shadi ki itni jaldi kyu machi hai

Nandini:manik yaar yeh sab meri choti behen navya ka kiya dara hai

Manik:kyu Navya ne kya kiya

Nandini: Navya ko bachpan se hi shadi karne ka shok raha hai aur ab mere saath navya bhi badi hogayi hai

Manik:toh

Nandini:toh ab Navya Ko jaldi se shadi karne ka Bhoot sawar hogaya hai

Manik: agar Navya ko jaldi shadi karne ka jaldi machi hai toh tu apne mummy papa se bolkar uski shadi kyu nahi jaldi karati

Nandini:manik aisa nahi Ho sakta yaar

Manik:kyu Navya ki shadi tujhse phele hojayegi toh tujhe kya problem hai

Nandini: navya ki phele shadi se mujhe koi problem nahi hai Manik lekin hamare parivar main jab tak badi behen ki shadi nahi hojati tab tak choti behen shadi nahi kar sakti aur ab Navya se pareshan hokar mere mummy papa hath dokar mere piche pade hai

Manik: agar kisi wajah se navya ki shadi tere se phele ho bhi jayegi toh kya bhuchal ajayega

Nandini: mummy papa ko yeh darr lagta hai ki agar mere se pehle choti behen ki ho jayegi toh badi behen ke liye koi ladka shadi ke liye nahi ayega

Manik:yeh kya bakwaas hai yaar tume paane ke liye koi bhi ladka apni jaan tak dene ke liye taiyar hojayega

Nandini:yarr pyaar ke liye apni jaan koun daav par lagata hai

Manik :main laga dunga   apni jaan daav par  mera pyaar paane ke liye apni jaan se bhi khelne ke liye taiyar hu

Nandini:are tu phele kisi ladki ko pasand toh karle maine bachpan se aaj tak tujhe kabhi kisi ladki se pyar karte nahi dekha hai

Manik:yeh bhi toh ho sakta hai ki mujhe kisi ladki se pyar hua ho but tujhe pata na chala ho

Nandini:liar main teri bestfriend hu agar tujhe pyaar hua hota toh mujhe kab ka pata chalta

Manik:(laughing )hahahahaha sach mein yaar tujhse behtar mujhe koi nahi jaanta hai

Nandini:chal tu fatafat apni bike se mujhe apna ghar chod de

Manik: ghar kyu tu toh aaj Natwarlal sweets  jakar harshad saxena ko propose karne wali thi na

Nandini: aaj Harshad Saxena ko propose karne ka plan cancel karna padega yaar aaj mujhe dekhne mummy papa ke koi bestfriends aane wale hai

Manik:aur agar hunone apne bete ke saath shadi karane ke liye ha kar di toh

Nandini:phir Toh main gayi kaam se

Manik: toh ab hum kya karenge

Nandini:phele toh Natwarlal sweets jakar ladkewalo ke liye sweets karid the hain phir sochte hai kya karna hai

Manik: sidhe bolna ki ghar jaane se phele tu Harshad ko dekhna chahti hai

Nandini:yaar tu bakwaas band kar  aur chupchap mujhe Natwarlal sweets le chal

(So guys end with the chapter hope you liked it please give your valuable vote and comments)

(So guys do you agree with Nandini parents thinking )

(What you think who will be the girl who Manik loves but Nandini don't know about it)

(Will Nandini agree for this marriage or not)

(Comment down your views)

Love potion Where stories live. Discover now