(Next day)
(Nandini was telling about yesterday groom meeting and about the deal between her and cabir to manik)
Manik:toh tere kehne ka matlab yeh hai ki next month Teri nahi balki navya aur cabir ki shadi hogi
Nandini:ha plan yeh hai ki shadi se pehle cabir navya ka dil jeet lega phir hum aapne parents ko sach bata denge aur uske baad navya aur cabir ki shadi hogi
Manik: Matlab sach mein cabir ko Navya murthy se milte hi pyar hogaya
Nandini:ha Manik sab ko chalte phirte pyar ho raha hai sirf mujhe hi koi ladka dekhta tak nahi
Manik:ab tu sad kyu ho Rahi hai yaar cabir ne tujhe reject kar diya yeh toh khushi ki baat hai na
Nandini: Manik sach kahu toh ab mujhe aisa lagne laga hai ki shayad mujhme hi koi kami hai ya toh main Sunder nahi hu ya main ladko ko girlfriend type ki nahi lagti hu
Manik:aisa nahi hai Nandini tu itni sunder hai ki aur itni acchi hai ki koi ladka chakar bhi tumhe ignore nahi kar sakta
Nandini: manik ke bacche kal toh tu khud bol raha tha ki Harshad Saxena mujhe jaan bhujh ke mujhe ignore kar raha hai
Manik: Harshad toh 1 number ka kamina insaan hai iska matlab yeh todi na ki tujh main hi koi Kami hai
Nandini:aur cabir ne toh mujhe se 2 minutes meet karne ke baad hi shadi cancel karne ka decide kar liya uska kya
Manik:woh Toh cabir ko Navya se pyar hogaya na aur uske saath shadi nahi karne ka tera bhi toh decision tha
Nandini:ha waise main bhi cabir se shadi karna nahi chati thi phir bhi kuch toh problem jaroor hai yaar pata nahi koi bhi ladka mujhe pasand kyu nahi karta hai manik kya main girlfriend banne ke layak nahi hu
Manik:ladko ka bewakoofi ke liye tu khud ko galat mat samajh yaar waise bhi main toh tumhe pasand karta hu na
Nandini:tu toh mera bestfriend hai manik tere pass mujhe se dur bhagne ka aur mujhe ignore karne ka koi option hi nahi hai
Manik:thik hai toh tu ek kaam kar aaj evening tu mere saath chal
Nandini:ab tu mujhe kaha le jaana chata hai yaar
Manik: main tujhe yeh dikhana chata hu ki kisi bhi ladke ko tujhse 2 minute main kaise pyar hota hai
Nandini:kya matlab
Manik: tune speed dating ke bareme suna hai
Nandini:are Speed dating kise nahi pata yaar anjaan ladko se 2 minute milkar fatafat jaan pehchaan karne wali fatafat dating na
Manik:ha aur lovers club iss city ka sabse accha speed dating club hai jaha city ke saare single ladke aur ladkiyan sacche pyar ki talash mein ek dusre se milne aate hain
Nandini:thik hai manik main tumare sath speed dating club chalungi kya tumhe pakka lagta hai waha par mujhe ladke ignore nahi karenge
Manik:mera yakeen kar Nandini aaj lovers club aane wale har ladke ko tujhse pyar hojayega kyuki tum ho hi itni pyari
Nandini:aur agar kisi ne mujhe pasand nahi kiya toh
Manik:tu itna bura kyu soch rahi hai yaar jyada soch mat aur aaj khud chalkar dekhle ki kitne ladko ko tujhse pyar hota hai
Nandini: mujhe toh sirf 1 ladka pasand kar le Toh kafi hai yaar main 1 se jyada boyfriend nahi rakh sakti
Manik:tu please jyada Soch mat aur aaj tu speed dating ke maje le ke dekh
Nandini:thik hai manik tu evening ko mujhe mere ghar se pick kar lena phir saath mein hum lover's club chalenge
Manik: yeh hui na baat
(So guys end with the chapter after long time I updated love potion hope you guys liked it please give your valuable vote and comments now this story will take a turn from now onwards this story will become very interesting)
(Please comment by seeing your comments a big smile come on my face)
(So guys what you think what will happen in lover's club)
(Will Nandini find her true love in lovers club or she will be danger)
(Guys is manik doing right by taking Nandini to lovers club)
(What will happen next any guesses)
(Comment down your views)
YOU ARE READING
Love potion
FanfictionNandini is a college student from childhood she has one side crush on her neighbour Harshad saxena who don't give her a damn look