Manik and Nandini reach at Natwarlal sweetswhere she find her childhood love Harshad saxena was standing at counter
Nandini:yaar Harshad saxena ko dekhe meri dil ki dhadkan tej ho rahi hai manik mujhe nahi lagta ki main Harshad ke pass jakar sweets ka order de pahungi
Manik: ab tu uss sweet wale se mithai mangne ke liye bhi gabrayegi toh tu uska dil kaise mangegi yaar
Nandini : Manik tu counter par jake koi bhi mithai pack karwale please
Manik:are tujhe Harshad ko propose nahi karna hai tujhe bas counter par jakar mithai ka order dena hai
Nandini:manik tujhe kabhi kisi se pyar nahi hua hai na isliye tu meri halat nahi samajh raha hai
Manik:are pagli agar tu aise hi gabrakar bethegi toh Harshad ko koi aur ladki pathakar le jayegi phir bethi rehna puri zindagi harshad ke yaad main ab tu gabrana band kar aur Harshad ko mithai ka order de
Nandini:sahi kaha tune manik main mere Harshad ko kisi aur ladki ke saath nahi dekh Sakti main khud hi order karke aati hu
Manik:rukh main bhi tere saath chalta hu agar Harshad ke samne teri bolti band hogayi toh main mamla sambhal lunga lekin aaj Harshad ko mithai ka order tujhe hi dena hoga
Nandini: thik hai chal agar meri bolti band hogayi toh please mamla sambhal lena
(Nandini and manik both goes to counter )
Harshad: hello Nandini tumara Natwarlal sweets main swagat hai batao aaj tume kounsi mithai khaana pasand karogi
Nandini thinking:hmm kounsi mithai karidu rasgulla ya gulab jamun
(Nandini was thinking which sweet she should buy but at that time a beautiful girl came to shop to buy sweets by seeing this he ignored Nandini and goes near to that girl)
Harshad flirting : hello beautiful mera naam Harshad saxena hai batao tum kounsi mithai karidna pasand karogi
Girl: mujhe aapki dukan ki sabse special sweet dil ka tukda karidna hai
Harshad:dil ka tukda toh Natwarlal sweets ki sabse famous sweet hai agar aap aapka ghar ka address bata do toh main apna dil ka tukda lekar aapke ghar bhi ha sakta hu
By seeing Harshad flirting with a unknown girl manik says in Nandini ears
Manik:yarr yeh Harshad din bhar din Besharam hote ja raha hai yaar sweet
pochane ke bahane kisi anjaan ladki ka ghar ka address mang raha haiNandini:manik Harshad apna kaam kar raha hai kisi costumer ke ghar mithai pochane main besharm wali chiz kya hai
Manik: Nandini tume yeh dikh nahi raha hai kya Harshad tume ignore karke kisi anjaan ladki ke saath flirt kar Raha hai
Nandini: manik tu Harshad ko galat samajh Raha hai Harshad woh ladki ke saath saath flirt nahi kar raha hai woh toh bas woh ladki ki help kar raha hai
Manik: shant hoja Nandini Harshad wapas hamare pass araha hain
Harshad:hello Nandini kya tumne soch liya tume kounsi mithai Chaihiye
Nandini:ha darasal main yeh khena chati hu ki
Harshad:joh bhi khena hai jara jaldi kaho Nandini dukan main aur bhi bahut costumer hai
Nandini by giving shy smile: Harshad mujhe bhi tumara dil ka tukda chahiye
Harshad:mera dil ka tukda
Nandini: ha tumara dil ka tukda MATLAB Natwarlal sweets ki sabse famous sweet
Harshad: sorry mera dukan main raka sara dil ka tukda abhi abhi kisi ladki ne karid liya
Nandini (feeling sad): thik hai toh mujhe phir ek khilo kaju barfi hi de do
Harshad:ok toh tumare liye ek kilo kaju Barfi abhi hi pack karwa deta hu
Nandini: Harshad kya tume mera ghar ka address chahiye
Harshad:for your kind information Nandini main tumare ghar ke pass hi rehta hu shayad tum bhul gayi we are neighbours
Nandini: toh phir Harshad kya tume mera phone number chahiye
Harshad: kyu tumara phone number leke main kya karunga
Nandini:tum chaho toh mera phone number leke jab tum mere ghar awoge sweet dene tab tum mujhe phone karke batha sakte ho main ghar ke bahar recieve karne ke liye kadi rahungi isse tumara time bhi bachega
Harshad: lekin ek kilo kaju barfi toh tum khud akele le ja sakte ho yeh lo yeh mithai ka dabba hatho main pakad kar toh dekho kitna alka hai
Nandini: thanks Harshad yeh mithai ka dibba Toh really halka hai
Harshad:thik hai Nandini Natwarlal sweets se mithai karid ne ke liye thank you main ab dusre custumers ko sambhalta hu aur bahar jane ka rasta thik tumare samne hai bye bye
Nandini: oh thanks Harshad manik chalo Ghar chalte hai
(Manik and Nandini are going at bike to Nandini house)
Manik: Nandini tune dekha na woh kamina Harshad kaise tumare saath bhav kha raha tha
Nandini:yaar manik Harshad ne bilkul bhav nahi khaya
Manik: yaar tu kab tak khud ko bewakoof banayegi tumara phone numbe bhi nahi liya usne aur usne tumare ghar mithai bhi pochane ke liye bhi tayar nahi tha
Nandini:ab tu jale pe namak mat chidak mithai ka dibba really halka tha
Manik: aur last main kitna insulting way main bahar jane ka darwaja dikaya tuje yeh sab samajh nahi araha kya
Nandini:are but mujhe insult karke Harshad ko kya milega
Manik: mujhe nahi pata yaar mujhe lagta hai Harshad Saxena ko tujhme koi interest nahi hai
Nandini: tu aisa kaise bol sakta hai manik tujhe pata hai na Harshad mera bachpan ka pyar hai
Manik: Nandini pyar ko zidd karke hashil Nahi kiya ja sakta hai dekhna tu uss Harshad ke chakkar mein ek din apna dil tudwa kar bethegi
Nandini:thik hai Harshad Saxena ko main baad main dekh lungi abhi toh mujhe ghar par Aane wale ladke walo ke bareme kuch karna hai phele mujhe uspe focus karne de
Nandini: mummy ke rahi thi ghar par aane wale ladke wale papa ke acche dost hai agar dosti yaari main hunone apne bete ki shadi mujhse karane ki decision liya toh bahut badi wali gadbad ho jayegi
Nandini: chalo joh bhi ho jaye shadi toh main ussi se karungi joh mujhe apne se jyada pyar karta ho
Manik:teri mummy sach hi bolti hai tu sacche pyar ke intajar main puri zindagi unmarried hi rahegi
Nandini:shut up manik dekhna meri zindagi mein bhi sacha pyar karne wala jaroor ayega
Manik: dekhenge waise ghar poch kar tu kya karne wali hai
Nandini:pata nahi lekin kuch toh bada karna padega jisse ladkewale khud yeh shadi karne se mana kar de bhale hi yeh duniya idar ki udar hojaye par main yeh shadi rukhwakar hi rahungi
Manik: lekin kaise
Nandini: just wait and watch Mr manik Malhotra
(So guys end with the chapter hope you guys liked it please give your valuable votes and comments )
(So guys how was the behaviour of Harshad towards Nandini)
(Manik thinking towards Harshad is right or wrong)
(What will Nandini do to stop this marriage)
(Comment your views)
YOU ARE READING
Love potion
FanfictionNandini is a college student from childhood she has one side crush on her neighbour Harshad saxena who don't give her a damn look