In a huge mansion a man is seen sitting on the sofa reading a newspaper. A woman in mid 50s enter with an angry face. She walks upto the man and snatches away the paper from his hands.
Man: Are Juhi yeh kya kar rahi ho? Aaj kitni important news chappi hui hai paper mein.
J: (angrily) kal aap Dr Seema ke saath date pe gaye the?
D: Are voh toh uska husband ke bare mein information collect karne ke liye karna pada tha aur bataya toh tha ki main kaam se jaa rha hoon toh phir...
J: Deepak mission ke liye bhi aap kisi aur aurat ko date kaise kar sakte hain. Aur usko gift mein flowers aur chocolate dene ka kya matlab? Main agar restraunt mein Chinese order karu toh aapko bardasht nahi hai but uss dayan ke saath chinese khane mein problem nahi hui. Aap na mujh se baat mat karna voh toh bhala ho Sid ki usne mujhe bata diya varna kalko aap uss chudail se shaadi bhi kar lete.
D: Juhi dekho tum toh jaanti ho na ki main...
J: Haan janti hoon lekin aap mat bhuliye ki mujhe yeh sab pata kaise laga tha...
D: Dekho Juhi uss baat ke liye main tumse pehle bhi kayi baar maafi mang chuka hoon aur aaj bhi uss baat ka guilt hai mujhe.
J: Janti hoon isliye maaf kar diya tha aapko lekin aapko bhi uss maafi ki kadar karni chahiye na. Aap baar baar galtiyan dohrayenge toh mujhe kya kisi bhi wife ko problem hogi hi. Aap kya hain aapka kaam kya hai yeh main jaanti hoon duniya nahi. Agar Dr Seema ke saath aapko Sid ki jagah kisi aur ne dekha hota ya bhagwan na kare agar humari beti ne hi dekh liya hota toh?
Saying this she left from there....
D(in mind) : Ab isse kaise bataun ki jiss beti ke baare mein yeh baat kar rahi hai voh khud bhi ek agent hai. Pata nahi jiss din yeh sach bahar aayega uss din yeh kya karegi....
D: Yeh Sid ne accha nahi kiya iska badla main leke rahunga. Jabse Delhi se aaya hai naak mein dum karke rakha hai. Issi ka idea tha yeh date vala. Meri hi galti hai jo Maine iske idea ko follow karne ka socha. Pehle hi samajh jaana chahiye tha ki yeh mujhe phasane ki firak mein tha...
In Sid's room:
S: Yaar Monu jabse hospital se aayi hai bas jiju ke saath hi chatting kar rhi hai ab toh mujhse baat karle.
M: Sid come on yaar maine bataya na ki kal usko Deolali jana hoga kisi important kaam ke liye. Tab hum baat hi nhi kar payenge theek se kyunki voh bahut busy rahega. Abhi tu mujhe disturb mat kar teri kapda emergency solve kar toh di now go to your club.
S: Monu I was so happy ki tu engaged ho gayi but ab lag rha hai ki tu engaged hone ke baad pyara stan ho gayi hai.
Monu jo chatting karte hue juice pi rahi thi choke kar gayi aur sara juice sid ke muh pe nikal gaya.
M: Sid you are mad or what? Voh pyara stan nahi paraya dhan hota hai aur main koi paraya dhan nahi hui hoon. Pichle ek hafte se jab se tu aaya hai main tere saath hi toh thi abhi just 5 ghante pehle hi toh tere jiju se baat karna start kiya hai. Ab nahane jaa aur ready hoke club jaa. Aur vaise bhi Mr hotelier aapke paas toh itna bhi time nahi tha na ki aap apni best buddy ki engagement tak attend kar sako aur ab aaya bhi hai itne saal baad toh bhi club jaana voh bhi mujhe chodh ke....
Sid: Monu maine bataya na ki vahan mujhe mere kuch clients se milna hai. Party karne jaata toh tujhe leke hi jaata na. Aur teri engagement miss karne ki taza toh tu mujhe abhi tak de rahi hai. Jiju ki photo dikhana ya apni love story batana toh chodh tune unka naam tak suspense rakha hai. Aur yeh correction toh tu bina juice pehne bhi toh kar sakti thi teri vajah se mujhe phir nahana padega. Abhi just ek hafte pehle hi nahaya tha main.
M: Ewww SID .
S: Kya ewww jab 4th standard mein naak mein ungli daal ke baithi rahti thi tab yeh sab yaad nahi aaya?
Monu ne phir paas mein rakha hua jug Sid pe khali kiya aur apna saman leke vahan se chali gayi.
S: Monnuuu Kamminni tujhe toh main dekh lunga.
M (screaming from the hallway) : Pehle apni Hindi dekh phir mujhe dekhna. Vaise JFYI voh taza nahi saza hoti hai aur pehene na phenke hota hai.
Sid just shook his head in yeh nahi sudhregi and went to take a shower.
Next Day in Deolali SaRanZi and Param reached PSAF and met colonel Batra who told them about Ghar Ghar Mein Soldiers programme.
SaZi whispered to Karan: Sirjis/Janab jis please Batra sirji/sir ko mana kariye varna...
Just then Karan spoke up: We assure you the best results sir.
Aur yeh sunke humare pyare SaZi ki muh aur ankhein phatti reh gayi.
P: Yes sir. Yeh programme ka idea bahut accha aur beneficial hai.
K: Yes sir lekin bas ek problem hai. Bhaiya ke presence mein aapne mujhe kyun head trainer banaya hai? Bhaiya aane vale cadets ko mujh se better train kar payenge.
BS: Karan as we all know ki Param abhi abhi ek important mission se lauta hai plus being the 2nd in command in PSAF uspe already bahut pressure hai. Plus ussi ne recommend kiya tha ki tumhe head trainer banaya jaye.
Karan looked towards Param who blinked his eyes in assurance and said
P: Karan head trainer tumhe Special Agent Major Karan Shergill ki capacity mein banaya jaa raha hai isliye I would appreciate it ki aap apni personal feelings ko side rakhe. Plus maine jaisa kaha ki main hafte mein 2-3 sessions karva karunga and just to let all 3 of you know I will be monitoring the training programme anyways.
K: Yes sir. (In mind) Ab inhe kaise bataun ki mujhe head trainer kyun nahi banna tha....
Outside the cabin-
F: Aap jaise dost hoon toh dushman ki bhi zarurat nahi hai.
S: Haan sirji aapse je umeed toh katai na thi.
F: Are bhaiya yeh Karan toh hai hi ulti khopdi kamse kam aap toh mana kar sakte na?
S: Haan sirji.
K: Faizi Sanju tum log bekar mein overreact kar rahe ho.
P: Haan are yeh bhi toh desh seva hi hai ek mission hai baki missions ki tarah ho jayega.
SaZi: Par yeh mission nahi/na punishment posting hai/hogo bhaiya/sirji.
K: Are yaar Faizi dekh iss mission ke liye nayi ladkiyan aayengi tujhe nayi girlfriends milengi tu enjoy kar na
P: Aur sanju inn namoono ko jhelne kaun bol raha hai inko toh hum punching bags mein daal ke dho denge.
SaZi: Pakka
KaRam: Pakka.
And then SaZi left
P: (doubtfully): vaise Karan do saal pehle tu iss programme ke favour mein nahi the aur isse hold pe bhi dalva diya tha phir tu itna jaldi maan kaise gaye? Mujhe toh laga tha ki tu mana kar dega.
K: Iske khilaf toh aap bhi the na... Maan toh aap bhi gaye. Dekhiye Batra Sir bahut baar iska idea propose kar chuke hai baar baar mana karna sahi bhi toh nahi lagta na. Aur pehle iss plan mein bahut se loops the abki baar ke modified POA mein unmein se kayi loops cover kiye hai. Bache hue hum sambhal lenge.
P: Baat toh sahi hai. Main bhi isi liye hi maana. Par tujhe iss samajhdaari ki umeed nahi thi Mr ulti khopdi.
K: kya bhaiya aap bhi.
Precap: Mission Hidden Secrets
YOU ARE READING
Raaz-e-golmal(Rewritten)
Fiksi PenggemarThis a story based on moran and sid mainly. Its a comedy for us but tragedy for ...... you will get to know as it proceeds. Here, Moran are engaged before Ghar Ghar Mein Soldiers programme. Moran, walnut, sid and Param works for RAW. Besides working...