Part 16

139 6 0
                                    

Suddenly, the laughing sound came and Abhijeet saw an old man in his 45s. He was probably the same man who forced him to behave like a bindaas. Anger started rising in Abhijeet's eyes. He yelled loudly as much as he could: tum? Tum to wahi ho na? Wahi ho na tum?

The old man or boss said while laughing wickedly: Abhijeet babu, itna ghussa kyun ho rahe Ho? Thore shaant ho jao. Kabhi hans bhi liya karo

Abhijeet said in full anger while tears were flowing from his eyes. His whole face was wet because of the tears: hansne ke qaabil chora hai tum ne? Barbaad kar diya hai tum ne sab kuch. Aakhir kya qasoor hai mera aur mere parivaar ka? Kya bigaara hai mere parivaar ne tumhara?

The old man said in extreme anger in teasing tone while some tears fell from his eyes: kya bigaara ? (Laughing) tum poochte ho ke kya bigaara? Tum poocho ke kya kya nahi bigaara? Sab kuch to cheen liya tumhaare baap ne mujh se. Barbaad kar diya us ne mujhe. Suna tum ne, barbaad kar diya us ne mujhe. Meri zindagi cheen li mujh se us ne.

Abhijeet yelled in extreme anger: Aakhir kiya kya hai mere baap ne? Tum mere baap pe betukke nakli ilzaam laga rahe Ho?

Old man said in mixed emotions of sadness and anger: ye ilzaam nahi sach hai. Samjhe tum. Jab tum suno ge ke tumhara baap ne kya kiya tha mere saath, tum bhi hairaan ho jao ge

Abhijeet asked in tough and angry tone: kya kiya tha papa ne? Aur tum ne mujhe kidnap kyun kiya hai? Mein tumhaari saari baatein maan to raha tha. Jo tum keh rahe the kar to raha tha na phirr kyun? Tumhaare ishaaron pe naach to raha tha. Aadhi saansein le to raha tha. Ghut ghut ke hi to jee raha tha.

Old man said in wicked tone: kyun jhoot bolte ho tum Abhijeet. Tumhe kya lagta hai ke mujhe kuch maloom nahi, shayad tumhaari soch abhi us had ko nahi chui ke tum ne ye samajhne ki galati ki ke, mujhe kuch maloom nahi.

Abhijeet asked in fake innocent tone: aakhir kya chupaya mene tum se? Mein sach keh raha hun, maine kuch chupaaya nahi.

Old man said in wicked and angry tone: Abhijeet, mein jaanta hun ke tum ne woh raaz Kevin ke saamne khol diya hai. Kachi mooli na samjho mujhe Abhijeet. Mujhe saare jahaan ki khabar rehti hai.

Abhijeet got shocked about how the boss came to know about this

Old man said while laughing: chaunk gaye na Abhijeet, maloom tha mujhe ke aise hi shakal bane gi tumhaari ye janne ke baad. Wese, acting bohat achi karte ho, shayad kisi film se offer bhi mil jaaye tumhe lekin kya faida, film to tab karo ge jab zinda raho ge. Aj raat tumhaari aakhri raat hogi. Kuch ghante guzaar lo apni maut se pehle, maut ke intezaar mein, imagine karna ke kaisi feel hoti hai maut. Maza aye ga bohat. Hahaha, bohat maza aye ga

Abhijeet shivered due to fear of death at that moment but tried to stay normal and said in tough tone: papa ne kya kiya tha?

Old man said in story mode in extreme serious tone: wo 1999 ki raat thi. Mein, are apna naam to batana bhool hi gaya na tumhe. Bohat bara bhulakar hun main. Mera naam Aman hai. Mein aur meri beewi Anya apne bistar pe sukoon se so rahe the ke darwaaze pe dastak hui..mein jo neend mein sudh tha bister se utha. Anya bhi mere peeche peeche ayi dekhne ke liye ke raat ke is pehar kon aya hai. Jaante ho darwaaze pe kon tha?

Abhijeet nodded his head in no.

Aman said while going in past: mein batata hun tumhe ke darwaaze pe kon tha

dependent on youWhere stories live. Discover now