After the breakfast all left for the office and our team was with Anubhav in his cabin in the name of Project discussion ...
All were seated in Anubhav's Cabin... Anubhav was on the boss chair and was in a deep thought...
Haseena: Anubhav ap kuch batayege kya chal raha hai apke dimag mein...
Karishma: haa bhaiya aakhir konsa plan hai apke dimag mein...
Nayab: Anubhav...Santosh Sharma aur Cheeta Chaturvedi ko lane ka plan hai?
Ofcourse she too is an IB agent and an agent can read an Agent's mind...
Anubhav: par Bakshi ko ye gyat nahi hona chahiye ki vo dono aa chuke hai
Billu: haa toh bhes badalva denge n...
Anubhav: shriman humara ye arth nahi tha...hum kehena chahate the ki Santosh Sharma aur Cheeta Chaturvedi aur Pushpa ji yaha ayege zarur parantu chupte chupate kisi ke nazron mein aaye bina...
Haseena: ye kaise possible hai Anubhav? Ap chahate hai vo bhes bhi na badle...ap chahte hai vo Bakshi ke ghar bhi aye...ap chahte hai vo Bakshi ke nazron mein na aye...toh phir ayege kaise? invisible hoke?
Anubhav: nahi...Gupt tarike se...Bakshi ke ghar ke rasoiee ghar ke pichle marg mein ek Gupt dwar hai jaha se Bakshi ke purane drugs ke godam ka marg khulta tha parantu vo godam band Kara Diya gaya kyu ki Bakshi ko shak tha ki yaha ki kanun vyavastha ko uss godam par shak hogya hai...
Karishma: Shak toh aise bhi hua hoga n...kahe ki Shak hone ke baad uss bakshi ne godam band karaya hai..
Anubhav: shak nhi hua behena kyu ki vo Godam Bakshi ke naam tha he nahi vo kisi aise vyakti ke naam tha jo ki iss desh mein hai he nahi...aur jab uss godam ke malik ke manager se pucha gaya toh usne saf saf iss baat ka praman diya ki vo godam pichle 12 varsh se Band hai aur kyu ki vo vyakti iss sheher ke jane mane vyapari the sabne ye baat asani se maan li...
Haseena : par vo log yaha bhes badal kar kyu nahi aa sakte...
Anubhav: kyu ki hume iss baat ka sandeh hai ki bakshi ko hum par sandeh ho chuka hai...
Nayab: apko kyu sandeh hua ki Bakshi ko hum pe sandeh hua?
Anubhav: kyu ki ajj subha humne chupke se unki baate sunli thi
Billu: are waah apko bhi chup chup kar baate sun ne ki adat hai ...Maa ki tarah
All glared at Billu
Karishma: tum ko ka lagta hai Bille ? Humare bhaiya ko dusron ki baate sun ne ki adat hai?
Nayab : aur iss waqt Anubhav hum sab se Bakshi ki chugli kar rahe hai
All looked at Nayab
Nayab: a...aisa agar ap sochte hai toh bohot galat sochte hai... Anubhav hume information de rahe hai...
Anubhav: (still glaring at Nayab) Ji sriman hum information de rahe the...
Nayab : ghurna band kijiye aur ye bataiye ki baki logo ko yaha kab aur kaise Lana hai...
Anubhav took back his gaze from Nayab...
Anubhav: Aaj ratri ko 1 baje ke darmiya...
Haseena : 1 baje he kyu?
Anubhav: kyu ki 1 baje tak sab geheri nidra mein hote hai aur 1 se savere ke 4:30 baje tak hume bharpur samay milega uss dwar ke raaz ko pata karne ka...Aur saath he Guari ke Humshakal ka raaz pata karne keliye... Karishma Singh Santosh Sharma, Cheeta Chaturvedi aur Pushpa ji ko Suchit kar dijiye
Karishma: yes sir...
All left except Haseena...
Anubhav: Haseena ji ap nahi gaiee...kuch kam tha?
Haseena: Anubhav ap kuch bhool nahi rahe ?
Anubhav: kya?
Haseena : Are sochiye na
Anubhav thought for a while
Anubhav: Humare vivah ko 7 mahine purn hone mein abhi kuch samay shesh hai , Apka janam din bhi abhi kafi dur hai...are hum kuch nahi bhul rahe hai...
Haseena angrily pouted at him
Anubhav: kya?
Haseena : Anubhav...aj humne apki favourite dress peheni hai apne abhi tak humari tareef nahi ki...
She folded her hand and looked at other side...
Anubhav smiled and then suppressed back his Smiled
Anubhav: accha...(looking at her from top to bottom) Are haa!!
Haseena looked at him
Haseena : Are haa!! Bas Are haa!!
Anubhav: haa toh aur kya bole
Haseena :(complaining) Ya Khuda jab romantic nahi hona chahiye tab umad umad kar pyaar ata hai aur ab jab hum chahate hai ki ap thode romantic ho jaye toh Kam ka keeda Bane baithe hai...Hume na apse baat he nahi karni...Jaiye Kijiye apna kaam
Haseena turned and started moving when Anubhav's words stopped her...
Anubhav: Priye Aj apne ko bindi lagaiee hai n vo humari di huee pasandida dress ko aur bhi Sundar roop de rahi hai...
Haseena blushed and looked at Anubhav...she moved towards him
Haseena: toh apne hume notice Kiya...
Anubhav: Aji apko nahi niharenge toh humari Akhe pyaasi ki pyaasi reh jayegi
Haseena: toh phir pehele humari tareef kyu nahi ki? Hum kab se apki tareef ka intezar kar rahe the
Anubhav: vo kya hai n priye...hum chahate the ki ap humse shikayat kare kyu ki jab ap Shikayat karti hai toh ap aur bhi manmohak lagti hai
Haseena blushed more
Haseena: ap n bohot matalabi hai...hume iss tarah dekhne keliye hume sataya apne...
Anubhav leaned towards haseena
Anubhav: Accha...parantu phir bhi ap iss matlabi vyakti ke saath itne prem se baate kar rahi hai..vo kyu?
Haseena: Ab kya kare Pyaar jo karte hai apse
Anubhav: phir toh ap bhi matalab keliye huee humare saath...Ap humare saath isiliye hai kyu ki ap humse Prem karti hai...
Haseena: Tere Ishq mein matalab lekar na jiye toh kya jiye
Anubhav: (looking into her eyes) Lutaya toh Ashaoo ko humne gairo par hai.....haina??
Haseena smiled and nodded positively and left
__________________________________
Precap: Exploring the Locked room
__________________________________
YOU ARE READING
Rishte - Set After Mission Beherupiya
FanfictionThis story is set after Mission Beherupiya but with a Leap of one year..