By listening BC's statement Rajveer was about to fall but Aalekh held him, who was standing just after him.
Aalekh: kya huaa aap ghirne wale the abhi.
Rajveer: thanks for saving me Cadet wo main disblanced ho gya tha bas.
Aalekh: congratulations sir u are going to be the principal of KMA for a month. I am not able to believe it.
Rajveer in mind: jab mujhe hi kuch samajh nhi aaraha hai toh tumhe kaha se samajh aayega. Pehle toh mujhe ye laga tha ki BC ek mahine ke liye Nair ko mere ser par thandav karne ke liye chor ke ja raha hai. Tabhi mujhe isse koye paresani nhi thi par yaha BC mujhe kudh bali ka bakra bana ke ja raha hai. Mujhe kisi pagal kutte ne kata hai kya jo main ek mahine ke liye KMA ka principal banuga.
Rajveer thoughts get disturbed by BC's word.
Brigadier: Captain Rajveer agar tumhe koye bhi problem hai toh report in my cabin after few minutes.
Rajveer in mind: koye ek problem ho tab na bolu abhi mujhe toh pure announcement se hi problem hai. Par mere pass koye option nhi hai BC ke cabin main jaane ke alawa. Isse pehle ki ye sab mujhe compliments pass kare mujhe jaake BC se baat kar leni chahiye.
After saying this he left for his cabin and Rajveer also left with him.
At BC'S Cabin
Brigadier: kya baat hai Captain tum meri announcement se khush nhi dekh rahe ho.
Rajveer: Sir agar aapke announcement main mere khush rehne ki ek bhi wajah hoti toh main jarur khush rehta tha.
Brigadier: par Captain maine toh socha tha agar koye is announcement ko sun ke khush hoga toh wo tum hoge.
Rajveer in mind: kabhi koye insaan apne maut ka warrant sunke khush kaise ho sakta hai.
Rajveer: Sir jo bhi hai main ye baat clear kar dena chahta hu ki main is post ke liye apne aap ko layak nhi samajhta hu aur mujhe nhi lagta hai ki main ye responsibility sambhalne layak bhi hu. Mere hisab se Sir aapko ye responsibility Major Nair ko deni chahiye thi kyu wo KMA ke vice principal hai.
Brigadier: are u out of your mind Captain main us beakal insaan ko itni important responsibility kaise de sakta hu.
Rajveer: Sir I repeat my words he is the vice principal of KMA.
Brigadier: main us beakal insaan ko vice principal ki post se hatana chahta hu aur tum ho ki usko principal bana wana chahte hi.
Brigadier words shocks Rajveer once again.
Rajveer: Sir kya main jaan sakta hu aap aisa kyu karna chahte hai.
Brigadier: koye ek reason ho toh na main tumhe baatau ki main us gadhe Major ko vice principal ki post ke saath saath usse KMA se bhi bahar fekna chahta hu par koye evidence na hone ki wajah se abhi tak bardast kar raha hu main usse.
Rajveer in mind: ye BC ko aaj huaa kya hai ek ke baad ek shock diye ja raha hai mujhe. Kahi main yaha heart attack se na mar jau. Nhi nhi main itni jaldi marna nhi chahta hu. Kuch toh karna parega warna BC aise mujhe shahid karwane pe tula hua hai.
Then he thought for something and got a idea to save himself from BC.
Rajveer: Sir tab aap Naveen ko kyu nhi ye responsibility de dete hai waise bhi Sir wo hamare batch ka best passout hai aur mujhse jada eligible hai wo.
YOU ARE READING
Pyaar Toh Hona Hi Tha
Fiksi PenggemarThe is based on Kanchanjunga Military Academy where soldiers are trained to serve the nation.The story narrates the plot of six youngsters who comes from various backgrounds to take admission in the academy. These youngsters are Naina Singh, Amardee...